Saturday, July 21, 2018

Sach se Rubaru - Prem kabhi mangata nahi, kabhi hisaab-kitaab nahi karta...

Sach se Rubaru...

Baba ji kareeb aaye aur bole...
"Premi kabhi mangata nahi, kabhi hisaab-kitaab nahi karta..."

Teri jagah us Kul-Maalik ke charno mein pakki hai pagle... 

Beta, waqt hone pe teri Rooh ko lene bahut si mahaan roohani hastiya aayenge, tu taye kar kiske saath jaana hai tujhe...

NaaZ keh rahi thi ki Sultan ko ek jahaan de do... Maine use bhi samjhaya ki "Beti, Maharaj Ji kehte the ki apne mann mein Dera basao..." Apne mann mein Satguru ko, us Kul-Maalik ko basa lo, wahi sabse bada jahaan hoga... Jo Meerabai ne kiya... Jo Kabir Das, Surdas, Sai Bulleshah, Hazrat Sultan Bahu, sabhi Santon ne Kiya... Apne mann mein Dera basao...

RadhaSoami Ji

RSSB - Ek Baar, Santon ki is mahaan parampara ka zikr karte hue...

Ek Baar, Santon ki is mahaan parampara ka zikr karte hue Maharaj Ji ne Satsang mein kaha, 

"Main Sangat se arz karna chahunga ki mere rishtedaaron ya mere parivar ke sadasyon ko kabhi bhi rupiya-paisa ya cheez na de(n), agar ve maange(n) ya unhe(n) jarurat ho to bhi na de(n). Agar main bhi kuch mangu(n) to mujhe bhi inkaar kar den. Bade Maharaj Ji ne hamare liye kaafi chhoda hai."

- Maharaj Ji

RadhaSoami Ji...

Friday, July 20, 2018

RSSB - Sangat yeh sab sewa kisi puraskaar ya fhal ki umeed se nahi(n) karti...

"Sangat yeh sab sewa kisi puraskaar ya fhal ki umeed se nahi(n) karti. Yeh to Prem se prerit hokar karti hai. Sewa prem hai; sangat badle mein kabhi kuch nahi mangati aur use chahe jo asuvidha ho, vah kabhi koi shikayat nahi karti. Vah hamesha santust rehti hai, hamesha sewa karne mein khush rehti hai."

- Maharaj Ji

RadhaSoami Ji...

Radio.. Jaan-e-Jaa O meri Jaan-e-Jaa... Ek Haseena Thi Ek Deewana Tha... O Hansini, meri Hansini...

"Ho milenge do diwane
Banege fir afsaane
Karega apna charcha yeh jahan...
Dhin dhinak dhin
Nisha...
Jaan-e-Jaa O meri Jaan-e-Jaa"

Radio pe soundtrack apni full mode pe tha...

Maine kahan tha...
"Do cup cappuccino laana... Heart shape bana dena aur suno 01 packet biscuit bhi lete aana... Woh tum log angeri mein kya kehte ho Chocolate Cookies...

Mera order bas itna... Baki angreji mein apna order Mallika-e-Huzur khud denge...

Aur suno Sir mat kaha karo... Mujhe Jyada to tumhari pay-scale hogi... Main to jobless hu yaar... hahaha..."

Tumne bola tha...
"Shut-up mouth... Just Shut-up...

Bhaiya aisa karna aap One Garlic Sandwich with Italian sauce and One Choco Laava Cake... Coffee to isne order de hi de hai...

Ab bolo kyon office timing mein disburb kiya? Self-service hai khud laana padega order"

Order laate hue Maine jawab diya tha...
"Cafe wale ko payment deni hai isliye tumko disburb liya.... Hahaha...

Yaar main tumko Mummies dikhana chahta tha... Yummy Mummies....

Inko zara gaur se dekho... Eye_tonic lo... Do-teen bacchon ki mummies ke baad bhi kitni yummies hai...

Santor se inke roop-rang ka pata hi nahi chalta...

Ek tum ho... Jiska abhi ek bhi Baby nahi hai... Apna look dekh lo... Apni body diagram dekh lo"

Tumne kaha tha...
"Mujhe yahan tumne meri beizzati karne ke liye bulaya hai?

Is tarah agar ghurega na Yummy Mummies  ko to tu khud bhi Jutti Sandal khayega aur mujhe bhi padwayega..."

Radio pe Ek Haseena Thi, Ek Deewana Tha ka instrumental song baj rahi thi...

Maine bola tha...
"To tumko kya lagta hai... Yeh heart shape coffee, yeh hard se baked hue cookies khilane ke liye bulayuga...

Are isse aachi coffee to apna Anna cafe wala banata hai... Woh bhi pure coffee beans se... Saath mein special fry masala idly pieces, ghar ki haari-pudina-mircha wali chatani (sauce) ke saath...

Zara ie-tonic lo... Dekho in yummy mummies ko...

Tumne jawab diya tha...
"Tu beta aaj bas ghar pahuch... Teri khair nahi... 

Saari ie_tonic ki battiya bhuja dungi...

Ab tu raat mein bed pe aana aur kehna Teddy Bear Jappi chahiye... Deti hu tujhe Jappi...

Yeh rupiya rakha hai payment kar dena...

Aaj teri khariyat nahi hai, bas tu ghar mein miliyo..."

Maine tumse kaha tha...
"Yaar main to sirf tumko Yummy Mummy banana chahta tha..."

Radio fir soundtrack change kar chuka tha...
"O hansini, meri hansini
Kaha udd chali
Mere armano ke pankh laga ke 
Kaha udd chali...
O hansini, meri hansini..."

- raj

Apne lafzon pe qayam rehna seekho...

apne lafzon pe qayam rehna seekho...
sach ko sareaam kehna seekho...

tum khush raho apni na-pasand ke saath...
tum khush raho apne Maa-Pita ki pasand ke saath..
tum khush raho apni family ke saath...
Par kisi aashiq ki zindagi ke saath khelana na seekho...

- RaJ

36 years old abnormal person...

pehle tohmatein lagai gai...
fir use begana kar diya gaya...
fir baar-baar beizzat kiya gaya...
fir use pagal qarar de diya gaya...

ishq ka isse haseen kya ant hona tha...

- raj

RadhaSoami Satsang Beas - Shabd - Beautiful Voice