Monday, July 23, 2018

RSSB - Prem Vash Sewa Kar Rahi Hai...

Sangat us samay gehre khaddo(n) mein, mitti bharne ki sewa kar rahi thi. Dakshin Africa ke ek purane Satsangi Maharaj Ji ke pass baithe the. Kuch mahilao(n) ko apni tokri mein bahut thodi mitti le jaate hue dekhkar us Satsangi ne kaha, "Inki sewa ka kya fayda hai? Yeh to zara-si mitti le ja rahe hai..."

Maharaj Ji ne jawab diya, "koi kitni mitti le jaata hai iska mahatva nahi hai. Mahatva to iska hai ki vah kitne Prem ke saath mitti le ja raha hai. Yeh mahilaye(n) to prem vash sewa kar rahi hai."

- Maharaj Ji

RadhaSoami Ji...

RSSB - kabir maala manhi(n) ki, aur sansari bhekh. Maala fhere Hari milee(n), to gale rehatt ke dekh...

Kabir Sahib farmaate hai ki mann ki maala sacchi hai, aur malaye(n) to nakli hai(n), sansar ke dikhave hai(n). Yadi bahar ki mala fherne se Hari mil sakta hai to rehatt ko, jiske gale mein din-raat maala firti rehti hai, Hari milna chahiye tha...

"kabir maala manhi(n) ki, aur sansari bhekh.
Maala fhere Hari milee(n), to gale rehatt ke dekh."

radhasoami ji...

Main Teri Ho Gayi. Lyrical Video. Milind Gaba. Happy Raikoti.


Manzil kuch nahi hoti... Safar hi sab kuch hota hai...

Manzil kuch nahi hoti... 
Safar hi sab kuch hota hai...

Jo rastee ki parvah karunga to manzil bura maan jayegi...

Jab bhookh lagti hai tab...

Jab bhookh lagti hai tab mooh mein mohabbat nahi daali jaati hai... Roti daali jaati hai... aur Roti ke liye paise lagte hai..

Pehe lagde he kaake... Pehe...

- raj

Sunday, July 22, 2018

Ratte-Rataaye se sab jawab hai uske pass...

Ratte-Rataaye se sab jawab hai uske pass...

maa-baap ki pasand...
meri na-pasand...
rishtedaaro ki baaton ka darr...
samaaj ki fikar...
bhavishya savaarne ki jaldbaazi...
ab to family hai... ab kuch ho bhi nahi sakta...
haan... tumhari gunehgaar hu...
tum shaadi kar lo...

Seedhe-Seedhe keh kyon nahi deti tum mere qaabil nahi the...

- raj

Radio... Aye Khuda har faisala tera mujhe manjoor hai... Upper wale yeh kya hua..

Radio aaj alag hi mood mein baj raha tha...

"Har dua meri kisi deewar se takra gai...
Beasar hokar meri fariyad wapas aa gai...
Is Zameen se aasmaan shayad bahut hi door hai...
Samne tere tera Banda bahut majboor hai...

Aye Khuda har faisala tera mujhe manjoor hai...
Samne tere tera Banda bahut majboor hai..."

Maine pucha tha...
Yeh sab kya teemjhaam lekar baithi ho?

Tumne kaha tha...
Socha khud hi kar lu... Beauty Parlour ka kharcha bach jayega...

Maine fir tumse kaha tha...
Kahi aisa na ho Beauty Parlour ka kharcha bachane ke chakkar mein tumhara Thobada aur Body Part hi kharab ho jaye... Private part dekh ke... hahaha...

Tumne kaha tha...
Maine chamaat maarni hai tere zor naal chehare utte... Subh-Subh bola kar...

Waise soch rahi thi ki is weekend holiday pe ghar ho aau, 1-2 din leave bhi le lungi... Kuch purani saheliyon se bhi mil lungi... Arsa ho gaya baat nahi hui...

Aap chaloge saath?

Maine bola tha...
Nahi... Wahi sab ulte-seedhe sawal-jawab karenge... Kya kar rahe ho? Income kitni hai? Car li ki nahi? Passport banwaya? New Zealand kab ghumne ja rahe ho? Aisa karo Switzerland hi visit kar aao... 
Wagaira-Wagaira wahiyaat se sawaal...

Tumne fir kaha tha...
Yeh jo tumko wagaira-wagaira wahiyaat se sawaal lagte hai... Yahi society ki haqiqat hai samjhe..

Waise aapka nahi mann hai to main bhi nahi jaati... Aap pareshan mat ho...

Maine kaha tha...
Tum chali jao... Enjoy yaar... Insaan ko khud ki bhi zindagi jeeni chahiye... Main nai jayunga...

Tumne kaha tha...
Tum ho na meri zindagi... Thik hai akele hi chali jayungi... Lo ek side ka complete bhi ho gaya... Kool look lag raha hai na... Dekho na...

Waise tumhare haaton mein barakkat bahut hai... 

Nahi sach keh rahi hu... Tumhare haath mein barakkat bahut hai... sach mein... Kabhi koi kami nahi hoti...

Maine bola tha...
Haan Janta hun...

NaaZ kehti thi... Logon ka ek rupiya, ek rupiya ke barabar hoga aur wahi ek rupiya mere liye 1,000 rupiya ke barabar hoga... Yani 1000 guna ibadat ka sabaab milega mujhe...

Rab mujhe 1000 guna jyada idabat ka fhal baksheesh karta hai...

Jyadatar log isi liya pareshan rehte the... Ki na koi aamdani iski fir bhi sab kharche chal rahe hai iske...

Rab di Mehar hai... Daya hai...

Maa ke saath bhi aisa hi tha... Pata hi nahi chala ki kab zindagi ka waqt kat gaya... Badi barkatein thi Maa ke haaton mein...

Aaj log mujhe dekhkar, pass bulakar kehte hai ki beta tera weight itna loose kaise ho Gaya? Itna weight loss kaise ho gaya?

Maa ke samay bournvita+dudh, dahi, lassi, shake, kheer, ghee, kulfi ki Nadi behti thi ghar mein... Jab ki aamdani bahut kam hoti thi...

Tumne kaha tha...
Maine kabhi tumko khaane-peene ke liye roka-toka nahi... Samjhe... Taana mat maaro...

Maine kaha tha...
Sach keh Raha hu... Isme taana marne ki kaun si baat hai... Haqiqat hai...

Radio agale soundtrack pe pahuch chuka tha...

"Upper wale yeh kya hua...
Mere siwa tu sab ka hua...
Socha Bhala na kabhi mera...
Aisa kya bigada maine tera..."


- raj