Thursday, August 9, 2018

09th August - Chand...

Chand bhi tumhari tarah hai...
Aasmaan mein akela, tanha fir bhi saare jahan ko roshan karta hua...

Utna hi paak...
Behintiyan mohabbat ki roshni barsaata hua...
Gaur se dekho ise, khule aasman mein kitna tanha, akela hai fir bhi kisi se koi shikwa, koi gila nahi...

- RaJ

09th August - Chiraiya...

Kaash tum bhi is Chiraiya ki tarah hoti...
Fhurr se udd kar mere pass aa jaati...

Na koi sarhadein...
Na koi deewarein...
Bas khula aasman sang tumhari udaan...
Haawaon ko cheerati hui...
Sabse bachti-bachaati... Sabko peeche pachadati...

Meri Chiraiya...
Mere Pass Hoti...

- RaJ

09th August - Mehandi...

Yeh mehandi pe sirf mera hi naam kyon likha hai...

Ab Itni na-insaafi kyon apne naam ke saath...

Chalo badao apna haath... 
RaJGuNn ko ek kar de...

Yeh ab hai na perfect...
"GuNnRaj"

- RaJ

Wednesday, August 8, 2018

Tumne umar ka labada odh rakha hai, Maine odh rakhi hai tajurbon ki chadar...

Tumne umar ka labada odh rakha hai...
Maine odh rakhi hai tajurbon ki chadar...

Tumhein khudgarzi ne Shehanshah bana diya...
Mujhe Ishq ne bana rakha hai fakeer-e-azam...

Tumne muskurahaton se saja rakha hai chehara...
Maine gumon se roshan kar rakhi hai Dil-e-basti...

Tumhe pasand hai dariyaaon mein gota lagana...
Maine mohabbat-e-sagar se kar rakha hai kinara...

Tumne haq se liya nahi kabhi mera naam...
Maine fark hi nahi samjha Khuda aur Sanam mein...

- RaJ

Mohabbat kya Main to tere Dil mein khud ke liye Humdardi bhi paida na kar saka...

Mohabbat kya 
Main to tere Dil mein khud ke liye
Humdardi bhi paida na kar saka...

मोहब्बत क्या 
मैं तो तेरे दिल में खुद के लिए 
हमदर्दी भी पैदा ना कर सका...

Tarjuma...
Devdas movie ka kai scene yaad aate hai... 
Paro ka Chandramukhi ke Kothe pe jaana...
Dev ke liye Diya jalana...
Aur last scene Dev ki maut ke samay kaise Paro ka bhagate hue jaana...
Ishq mein Humdardi to paida kar hi di thi...

12 barson mein pehli baar phone karke kaha Happy Friendship Day... Woh bhi kiske kehne pe... Chalo rehne do...
Waise kabhi mahine-do mahine mein pucha hi nahi ki zinda ho sirf ya Zindagi bhi jee rahe ho...

Maa hospital mein rahi haal tak nahi pucha... Maa ki ruksati pe bhi baat nahi ki... Baap ke jaane par bhi baat nahi hui...
aur 9 barson baad kehti hai "Worried" thi...

Sach to yeh hai kabhi Mohabbat thi hi nahi...
Sirf Khudgarzi thi...
Khudgarzi...

- Romil

Tuesday, August 7, 2018

RSSB - Santon ki deh ke libaas mein Parmatama chhipa hua hai...

Jab Maina ko Manush ki bhasha seekhai jaati hai tab uske saamne ek bada sheesha rakh diya jaata hai, jiske peeche ek aadmi chipkar baithata hai aur bolta hai. Maina sheeshe mein apni akriti dekhkar samajhati hai ki mera hi koi bhai-bandhu saamne baitha hai aur bol raha hai. Is prakaar Maina dheere-dheere Manush ki boli seekh jaati hai. 

Isi prakaar Santon ki deh ke libaas mein Parmatama chhipa hua hai jo unke dwara bolta hai. 

Parmatama to aseem aur nirala hai, lekin use dehdaari jeevon pe prakat hone ke liye deh dharan karni padti hai. 

RadhaSoami Ji

Yakeen...

Gunah sirf itna tha ki main yakeen kar baitha...
Tum mujhse mohabbat karti ho...
Sazaa yeh mili ki ... ta-umar kisi ki mohabbat pe yakeen na rakh saka...

- RaJ