Thursday, August 23, 2018

Badi khushnaseeb hoti hai...

Badi khushnaseeb hoti hai woh Beti...
Jiska Baap uske kandhe se kandha milakar khada ho jaata hai...

(Tarjuma...
Kehte hai ek aurat ki zindagi mein tamam mod aate hai...

kabhi koi manchala use chhed deta hai...
kabhi uski koi khawaish, udaan zamane ko na-manzoor hoti hai...
kabhi uska dil kisi se mohabbat kar baithata hai...
To kabhi sasural se, shauhar se use dagaa mil jaata hai...

Gar Baap, Beti ke kandhe se kandha milakar khada ho jaata hai na to woh har mushkil, pareshani, dikkat ko paar kar jaati hai...)

Rahi baat meri... Mujhe apni NaaZ par  NaaZ hai... NaaZ hai... NaaZ hai...

Wednesday, August 22, 2018

Har masle niptaye ja sakte hai... Basharte...

Har masle niptaye ja sakte hai.
Basharte...
Sunne wala baat sunni chahe
aur
Kehne wala baat kehni chahe...

Tarjuma

Woh kahavat hai na... "Jab tak baccha rota nahi hai, tab tak maa bhi dudh nahi pilati hai.."...

Waise bhi har rishta maa-beta wala nahi hota hai, jo maa, bete ka chehara dekhkar samaj jaye ki bete ke mann mein kya chal raha hai...

Daur badal raha hai, aaj office se ghar aao to Pani nahi puchhate, balki haath mein jhoola hai ki nahi yeh dekha jaata hai... Kya lekar ghar aaye ho yeh pehla sawal hota hai...

Khair rehne do...

Rahi baat meri... Main to sunne-kehne-samajhane mein believe karta hun... Isliye be-sir-pair ki baatein jyada ho jaati hai... hahaha... Dimaag mein baatein ya dil mein gubaar nahi rakhta... Waise bhi swashta abhiyaan chal raha hai, dustbin ki cheez ko dustbin mein dalo... hahaha...

samjhaute laazmi the... aakhir kab tak...

samjhaute laazmi the.
aakhir kab tak.
aakhir kab tak.

rishton ko nibhane ki parampara mein khawaishon ko darkinaar kiya jaye...
aakhir kab tak...

sirf dikhavat ke liye chehare pe muskaan ko sajaya jaye...
kab tak...

face pe glow na dikhe,
sirf bistar ki chadarein hi raat ki dastan bayan karti rahe...
aakhir kab tak...

is internet dunia mein good morning ka suraj jalate rahe, jab ki mann mein andhera pasra rahe...
kab tak...

mohabbat na ho
par ghar sajate rahe, sawaratein rahe...
kab tak...

#Romil Arora

Umar bhar...

Umar bhar shaadi ka fhanda gale mein latkaye rehne se behtar hai...
Azaadi lekar akele tanhai mein raho...

Fhande mein rahoge to ghut-ghut ke marr jaoge...
Tanhai mein kam se kam khud se baatein to kar sakoge...

- RaJ

Sirf thoda gussa hi to karta hoon. Aur koi eib thodi nahi hai.

Sirf thoda gussa hi to karta hun.
Aur koi eib thodi nahi hai.

Tarjuma

Rahi baat meri... Bas gussa aa hi jaata hai, sochata hun na karu par sab baatein yaad aati hai aur gussa sar pe sawaar ho hi jaata hai.

Mera baap bhi aisa hi tha, na aav dekha na taav ho gaya gusse ke ghode pe sawaar. 

Gussa karta hun par dil ka khula hun, isliye fir sab pehle jaisa normal ho jaata hai... Par kab tak aisa chalega.

#Romil

Juta hamesha haath se hi nahi mara jata... Balki jubaan se bhi maara jata hai

Juta hamesha haath se hi nahi maara jata...
Balki jubaan se bhi maara jata hai...
Aur jubaan se maare gaye Joote ki chhap seedhe yahan dil pe lagti hai...

Tarjuma
Kehte hai shabdon mein bahut taqat hoti hai takht tak palat dete hai. 

Shabdon ki chhot bahut gehri lagti hai. Insaan chahkar bhi apne Dil se shabdon ke chhap ke nisaan nahi mita pata hai.

Koshish karni chahiye hamesha aache aur sacche bol hi bole, apne mooh se nikale. 

Izzat to tumhari bhi thi... Par tumne karwai nahi...

Izzat to tumhari bhi thi
Par tumne karwai nahi.

Tarjuma

Izzat hone aur karwane mein bada fark hai, jis tarah pagdi to sabhi pehan lete hai, par pagdi ki laaj har koi nahi nibha pata hai.

Jhooti khushi, khudgarz rishton ke liye izzat ko daav pe nahi lagaya jata hai.

Sirf alishaan koti mein rehne, mehangi gaadiyon mein ghumane, sone-chandi-heere ke jevarat pehen lene se milne wali izzat se kya fayda jab saath rehne wale logon ki aankhon mein tumhare liye izzat na ho.