Sunday, August 26, 2018

Gajab ke Bande ho...

NaaZ keh rahi thi ...

Chalo Rakhi bando mujhe... Hamesha protect karti hu tumhein... Sarafat se Rakhi bando...

Gajab ke Bande ho tum...

Jab saara Hindustan kuch na kuch kaam kar raha hota hai. Tab Janaab 12:00 baje bistar se uthate hai...  Bistar ko bhi manusiyat ka adda bana rakha hai ... 

Fir Lakhnavi Nawab ki tarah Chai piyenge... Farik Insaan...

Nawabon ki Malika-e-Husn ki tarah to Janab bathroom mein itna waqt lagate hai...

Banda din mein Khuda ko pareshan karta hai... Are ek hi ko kar lo, pata nahi kitne Khuda ko pareshan karta hain...

Kahil Insaan 3-4 baje pehla niwala khata hai...

Chiraag lekar dhundhane nikalenge tab bhi tum jaisa poore Hindustan mein nahi milega...

Na zindagi ki fikar... Na kuch kar guzarne ka junoon... 

Sacche Ishq ne dunia kayam hone se aaj tak kisi ko aabad nahi kiya hai... Nikamma-nakara hi bana diya hai .... Yaad rahe...

Sultan naam hi sahi hai tumhara...

Meri kisi baat pe agar Kaan pe Juu rengi ho to gaur farmaiyega...

Aur in shadyantrakariyon se kaho... NaaZ keh rahi thi... Abhi Hum Zinda hai, mat kare bekaar ki azmaayise... Kham kha mehangi padh jayegi...

#Romil

Use apna banane ki zid, khudgarzi jo hoti na...

Use apna banane ki zid, khudgarzi jo hoti na... 
To ab tak uski talash kar chuka hota...

Maine to mohabbat ki hai har pal, hamesha...
Isliye intezaar kar raha hun.
Uske tootkar meri baahon mein bikharne ka...

(Aaj kal paise ka khel hai, paisa fheko location, address sab trace ho jaate hai... Fir chahe email id ho ya fir mobile number...

Par kabhi khawaish hi nahi mehsus hui usko dhundhane ki... Milne ki chahat to har pal thi, junoon bhi tha use baahon mein bharne ka par woh milna kya jo jabardasti ka ho.... Kuch faisale saamne wale par chhod dena chahiye...)

- RaJ

Kaun jaane kis halaat mein lekar jayegi...

kaun jaane kis halaat mein lekar jayegi...
yeh zindagi ek din dum ghot ke hi jayegi...

do qadam tum chalo
do qadam hum
ajnabiyat ki deewar bhi ahista-ahista deh jayegi.

aur

tamam haq, hukuk ke baad bhi apna rishta mukammal na ho saka
khuda ne jodi bhi kya khoob banai hai.

aur

kabhi-kabhi aisa lagta hai yeh sab alfaaz...
farik insaan, bekaar, susta, kahil, nikamma-nakara, undisciple, unmature, unhappy...
mujhe dekhkar hi yeh ezaad hue hai...

#Romil Arora

Har Roz Gunah Karta Hun...

Apne Shauhar ki gair maujoodagi mein 
gair mardon se baatein karti ho...
aur
Duhai izzat ki deti ho...

Shauhar ki gair haazri ka fayda dilfhek auratein uthati hai...
Izzatdaar auratein nahi...

Aur Rahi baat meri...

Janta Hu...
Kisi gair aurat ka khayal bhi dil mein lana Khuda ki nazar mein gunah hota hai...

Har Roz gunah karta hu...
Har Roz sharminda hota hun...
Har Roz maafi mangata hun...

Ab to lagta hai jaise gunah karne ki aadat si pad gai hai...

- RaJ

Ek minute suno...

Ek minute suno...

Tumse Mohabbat Thi.
Hai.
aur Ta-Umar Ba-Dastur Kayam Rahegi.

Ab meri baat aur meri zindagi mukammal ho chuki hai...

Ab blog se tasreef le ja sakte hai.

- RaJ

Saturday, August 25, 2018

Tumhe Dil se nikalne se behtar hai, Dil ko hi nikaal diya jaye...

Tumhe Dil se nikalne se behtar hai...
Dil ko hi nikaal diya jaye...

(Ab jo kaam asaan nazar aata hai pehle usko anjam diya jaye...

Kyonki tumne to poore Dil ke plot par hi kabza kar rakha hai...
Kam se kam isme purani un haseenao ki kuch yaadein, aadein, baatein, mulaqaatein, najakatein, besharmiyaan, dil farebiyaan, gustakhiyaan, nadaniyan bhi to rehne deti.

Shauhar ke Dil Ko sukun se nahi rehne dena...

Bagiche mein tamam phool lagaye jaate hai, yeh baat alag hai ki Gulab sabse azeez hota hai...

hahahaha)

#Romil

तुम्हें दिल से निकालने से बेहतर है 
दिल को ही निकाल दिया जाए... 

(अब जो काम आसान नजर आता है पहले उसको अंजाम दिया जाए... 

क्योंकि तुमने तो पूरे दिल के प्लाट पर ही कब्जा कर रखा है 
कम से कम इसमें पुरानी उन हसीनाओं की कुछ यादें, अदाएं, बातें, मुलाकाते, नज़ाकतें, बेशर्मिया, दिल फरेबियां, गुस्ताखियां, नादानियां भी तो रहने देती... 

शौहर के दिल को सुकून से नहीं रहने देना...

बगीचे में तमाम फूल लगाए जाते हैं यह बात अलग है कि गुलाब सबसे अजीज़ होता है...

#रोमिल

Shak aur Khauf ka wajood sirf dil mein hota hai...

Shak aur Khauf ka wajood sirf dil mein hi hota hai.

(Shak bhi dil mein paida hota hai, Khauf bhi... Agar ek baar Banda Khauf ka saamna kar le to fir khauf ka wajood hi mit jaata hai...

Usi tarah Shak rishton ko kha jaata hai, sirf apni mohabbat pe yakeen, aitbaar hi Shak ke aaina ko tod pata hai.)