Wednesday, September 19, 2018

khel khela hai...

Tumne mere saath khel khela hai...
Dekhna Khuda tumhare saath khel khelega...

#SultanWrites

Barson baad mila...

Barson baad mila...
aur haal-chaal puchane laga...
Yaad hi nahi aa raha tha...
ki kis kitab ka fhata hua panna hai...

#SuNWrites

Ubau... Bhojhal si Subah...

Ubau... Bhojhal si Subah...
Bistar par sau karwate leti hui Subah...
Aankhon mein bhari neendon wali Subah...

Wahi Chai ka garma-garm pyala...
Wahi do Rusk...
Wahi jism mein taazgi fhukti hui Subah...
Ubau... Bhojhal si Subah...

Tumhari yaadein...
Woh kadvi davai si baatein...
Dabi mohabbat ki chingariyon ko kuredati hui Subah...
Ubau... Bhojhal si Subah....

Wahi Shak mein dubi hui...
Wahi bewafai mein sani hui...
Wahi parat-dar-parat tumhare jhoot ki chadi hui Subah...

- RaJWrites

Tuesday, September 18, 2018

Haqiqat se mooh moda nahi jaata...

Ammo kehti thi...

Ghar mein Maa aur Beti ka qamra badi adab ki jagah hoti hai...
Aise dan-danate andar nahi ghusa jaata...

Kabhi Beti ke sar par apna haath rakh kar Baap ko uski kheriyat puch leni chahiye...
Beti paraye ghar chali jaye, tab bhi rishta nahi toda jaata...

Budhape mein koi dekh-bhaal kar na sake par dua jaroor degi...
Maa ko kabhi tanha nahi chhoda jaata...

aur

Koshish karo bacche dada-dadi ke haaton hi pale...
"unki parvarish ne kya tumko bigaad diya tha?"
Biwi, uske gharwalon ke behkane mein aake haqiqat se mooh moda nahi jaata...

#Romil Arora

Yeh aafaton ka samundar kisne banaya hai...

khuda bhi jab tumhe dekhata hoga to sochata hoga...
yeh aafaton ka samundar kisne banaya hai...

#RaJWrites

Anchahi si Subah...

Anchahi si subah...
Tumhari Yaadon ke kaafile ke udate hue gubaar mein main sana hua khada...
Milan ke tadap ki Rimjhim Rimjhim hoti Barsaat...
Khawab mein tumhare labon ko sparsh karne par jism ki mitti se bheeni-bheeni, sondhi-sondhi aati mehak...

Main fir neend ki aagosh mein jaata hua...
Anchahi si subah mujhe jagati hui...

#Romil

अनचाही सी सुबह... 
तुम्हारी यादों के काफिले के उड़ते हुए गुबार में मैं सना हुआ खड़ा... 
मिलन के तड़प की रिमझिम/रिमझिम होती बरसात... 
ख्वाब में तुम्हारे लबों को स्पर्श करने पर ज़िस्म की मिट्टी से भीनी-भीनी सोंधी-सोंधी आती महक... 

फिर मैं नींद की आग़ोश में जाता हुआ... 
अनचाही सी सुबह मुझे जगाती हुई... 

#रोमिल

Monday, September 17, 2018

hum nahi sudharenge...

qasam le lo...
chalo koi vaada le lo...
chahe dil le lo...
ya fir jaan hi le lo...

hum nahi sudharenge...
kyonki
hum aapse itna pyar jo karte hai...
sudharane ka koi chance hi nahi...

- RaJWrites