Saturday, October 20, 2018

Dhamkiyan...

Bas aise hi...

(Uski dhamkiyan bhi badi ajeeb hoti hai... Nahi manoge to Block kar dungi... Kya Block hona chahte ho... Tum nahi sudharoge, tumko Block hi karna padega... hahahaha 

Aisa lagta hai jaise mujhe Add karke to khoob pyar-ishq-mohabbat loota rahi ho... Mujhpar Duaoon-Salamati ki baarish kar rahi ho... Jaise mujhpar Rupiya-Sona-Chandi baras raha ho...

Badi aai dhamkiyan dene wali...

Tumhare case mein to hum Modi Bhaiya-Yogi Bhaiya ka kehna na maane... To tumhari dhamkiyon ki kise parwah hai... Badi aai Block karne wali....

Bas tasveer ki thodi dikkat hogi... Par ibadat ke liye uska naam hi kaafi hai...)

#RaJWrites

Friday, October 19, 2018

Radio.... Yeh dil na hota bechara... Raat kali ek khawab mein aai....

Radio... Thande hote mausam ko apne nagmo se thoda garam kar raha tha...

"Yeh dil na hota bechara,
Kadam na hote aawara,
Jo khoobsurat koi apna humsafar hota..."

(Koi HaQ to uspar banta nahi fir bhi bematlab kutte ki tarah bhokata rehta hun... 

Roz-Roz... Be-parda... Gair ke saath soti ho... Yeh sab likh-likh kar sochata hun, kahi aisa na ho ki mujhe Mental Sex Addict Syndrome ho jaye... 

Har baar, Roz-Roz yahi sab likhna, sochana... Isse kuch Haasil nahi hoga, balki Mental Disorders ho jayega...

Behtar rahega yeh sab discontinue karo... Kehne se uspar koi fark to padna nahi hai... HaQ mera uspar koi banta hi nahi hai... Ishq hai usse isliye itna tadapta hun warna mujhe kya fark padega ki kis-kiske saath involve hai... Ab Shivani ho, Sharan ho, Nani ho, Sandhya ho sab involve hai mujhe koi fark thodi na padta hai... Bas isse Ishq karta hun to takleef hoti hai jab yeh kisi aur ke saath involve hoti hai...)

Radio apne madhur tarane prastut kar raha tha...

"Raat kali ek khawab mein aai...
Aur gale ka haar hui...
Subah ko jab hum neend se jaage...
Aankh tumhein se chaar hui..."

#RaJWrites

Subah Uthate Hi...

Subah uthate hi...
Mujhe dhundhati hai nigahein uski...
Raat jaise kisi bechaini mein kati ho uski...

Jism be-parda gair ki baahon mein...
Rooh saari raat bhatakti rehti hai uski...

Na mujhe koi Haq...
Na ijajat di hai usne...
Fir bhi nazrein takti rehti hai tasveer uski...

#RaJWrites

Thursday, October 18, 2018

Darr Accha Hai...

Darr Accha Hai...

(Mujhe usse bahut Darr lagta hai... Pata nahi kyon... Itna darta hun aaj tak kabhi usse khulkar fone pe mohabbat-e-izhaar kar hi nahi paya... Na hi kabhi apne dil ki bhadaas nikaal paya... Sacchi.... Darr jaata hun... Waise faltu-besir pair ki bakwas khoob likhata rahunga par jab woh fone karti hai mere pass to shabd hi nahi hote hai usse baat karne ko... hahahaha

Jab woh daantati hai ya samajhati hai to jee chahta hai bas kaan lagakar ghanton uski daant, uski salah sunta rahu.... Waise mujhe usko gussa dilane mein bada mazaa aata hai... Bandi ek baar bhadak jaye to bas aesi-teshi karke chhodati hai... Par aacha lagta hai uska gussa bhi...

Mujhe nahi yakeen hai ki main kabhi Dil khoolkar usse baatein kar payunga... Par ghanton uski aawaz sunna chahta hun...)

#RaJWrites

Tumne apni...

Tumne apni Beti ko 
heere-moti, sone-jewarat ke TajMahal mein Dafan to kar diya hai...

Magar khayal rahe us TajMahal mein Mumtaz akeli hi Dafan rahegi... 
Uske saath Shah Jahan Dafan nahi hoga... 

Ab yeh dooriyan janmo-janmo tak rahegi...
janmo-janmo tak nibhegi...

#SuNWrites

Hasrat hai tumhe Sar se Paav tak Chumane ki...

Hasrat hai tumhe Sar se Paav tak Chumane ki... 
Sar se Paav tak apne labon ke nishaan banane ki...

Hakeekat mein na sahi...
Khawab mein na sahi...
Teri Tasveer mein hi sahi...

#Romil Raj

ध्यानाकर्षण

ध्यानाकर्षण

मैं, आपको यह फिर से बताना चाहता हूँ की इस ब्लॉग पर मेरे द्वारा लिखी गए सभी पात्र/ सभी नाम/ सभी बातें/ सभी कहानियाँ पूरी तरह से काल्पनिक हैं. यह लेखक के दिमाग की उपज हैं/ रचना हैं. यह लेखक की व्यक्तिगत राय हैं.

ब्लॉग पर मेरे द्वारा लिखी सभी बातों का किसी जीवित और मृत्य इंसान से जोड़ना पूरी तरह से गलत होगा. अगर यह महसूस होता हैं या ऐसा लगता हैं की यह बातें किसी से जुडी हैं तो यह इत्तेफाक हो सकता हैं या संयोगवश हो सकता हैं.

आपका

#रोमिल