Monday, July 14, 2008

yeh zindagi jee nahi jaati.....

Sirf umeedon ke sahare zindagi jee nahi jaati,
Yaadon ke sahare khushiyaa jee nahi jaati,
Kab tak haal-e-dil duniya ko hum sunate rahe,
Aashk bahate-bahate yeh zindagi jee nahi jaati!
[written by romil arora - copyright reserved]

meri qismat yaad aai...


Aaj fhir teri yaad aai,
Fhir teri bewafai yaad aai.

Kis tarah toota tha gharonda mera,
Fhir mujhe meri majboori yaad aai.

Aaj mehandi se rangeen haath jo maine dekhe,
Fhir mujhe tere mehandi yaad aai,

Toota tha phool baharon mein kis tarah,
Fhir mujhe meri qismat yaad aai!

[written by romil arora - copyright reserved]

Matlab Puchata Hai....

Jo Maire Khawabo Se Duniya Bana Laita Tha,
Aaj Woh Mujhse Maire Baaton Ka Matlab Puchata Hai,

Jo Naazaro Se Maire Baat Samaj Laita Tha,
Aaj Woh Mujhse Maire Isharo Ka Matlab Puchata Hai,

Jo Ajnabi Ban Kar Mujhse Roz Milta Tha,
Aaj Woh Mujhse Mulaqat Ka Matlab Puchata Hai!

[written by romil arora - copyright reserved]

Waqt jaise-jaise beetata hai.....

Waqt jaise-jaise beetata hai,
tumhari yaad badati jaati hai,

Itna maayush ho jaata hu main gum-e-dil se,
ki aankh maire aansoo se bhar jaati hai,

Dusare se waafa tere dekh kar,
mujhe tere ruswaiya yaad aati hai,

Jo sun laite the dil ki dhadkan kabhi,
Aaj tumhe maire dard-e-aawaz bhi nahi sunaiye deti hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Bahaar se ik phool tod kar dekha diya maine.....

Kitab-e-mohabbat ko jala diya maine, 
Na apno se na begano se koi gila kiya maine,
Jab pucha kisi ne gum-e-dil ki haalat,
Bahaar se ek phool tod kar dekha diya maine!
[written by romil arora - copyright reserved]

Paani Pila Do Mujhko.....


Phir Kahi Durr Se Aawaz Do Mujhko,
Zakhmo Se Fhir Ubahar Do Mujhko,
Tum To Naadi Ho Mohabbat Ki,

Tumhe Mohabbat Ki Kya Jarurat,
Main Pyasa Musafir Hu,

Thoda Sa Paani Peela Do Mujhko!
[written by romil arora - copyright reserved]

Kaise-Kaise Sitam Sehane Padate Hai.....

Ek Sirf Humko Pagal Keh De,
Koiye Baada Ilzaam Nahi,
Duniya Wale To Mohabbat Karne Walon Ko Bahut Kuch Kehti Hai,

Kuch Rote Hai Chupke-Chupke,
Kuch Dil Hi Dil Main Aansoo Bahaya Karte Hai,
Kuch Tarafate Hai Raaton Main Jag-Jag Kar,
Kuch Awara Ban Kar Ghuma Karte Hai,
Mohabbat Karne Waloon Ko To Na Jaane Kaise-Kaise Sitam Sehane Padate Hai!

Duniya Wale To Mohabbat Karne Walon Ko Bahut Kuch Kehti Hai!
Mohabbat Karne Waloon Ko To Na Jaane Kaise-Kaise Sitam Sehane Padate Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]