Monday, July 28, 2008

!*!Rabb Se Jyada, Usse Chahana Mujhe Hai!*!

!*!Sanam Ke Sajde Main Sar Jhukana Mujhe Hai,
Rabb Se Jyada, Usse Chahana Mujhe Hai!*!


!*!Itni Mohabbat Kyon Main Sanam Se Karta Hu, Rabb Sab Janta Hai,
Mere Haal-E-Dil Ko Pehchanata Hai,
Bas Uske Pehlo Main Marr Jaana Mujhe Hai,
Rabb Se Jyada, Usse Chahana Mujhe Hai!*!


!*!Meri Har Chahat Uske Liye,
Yeh Duniya Bhi Jannat Bana Du Uske Liye,
Har Veerani Main Phool Khila Du Uske Liye,
Saare Fiza Ko Rangeen Bana Du Uske Liye,
Bas Uski Khushi Main Fanaa Ho Jaana Mujhe Hai,
Rabb Se Jyada, Usse Chahana Mujhe Hai!*!


!*!Sanam Ke Sajde Main Sar Jhukana Mujhe Hai,
Rabb Se Jyada, Usse Chahana Mujhe Hai!*!

[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Gunehgar Hai Hum.....

!!Apni Barbaadi Ke Khud Gunehgar Hai Hum,
Mohabbat Jo Ki Thi, Khud Sazadar Hai Hum,
Ab Kisse Kahe Haal-E-Dil Apna,
Jalte Hue Ghar Ke Chirag Hai Hum!!

#Romil

अपनी बर्बादी के ख़ुद गुनहगार है हम,
मुहब्बत जो की थी, ख़ुद सज़ादार है हम,
कब किससे कहे हाल-ए-दिल अपना,
जलते हुए घर के चिराग़ है हम...

#रोमिल

Tarafate Hum Rehte Hai.....

Aapki Jhalak Paane Ke Liye Sanam Khayal Hum Dekhate Hai,
Magar Khayalon Se Raahat Nahi Milte,
Mil Jata Hai Sirf Zaara Sa Sakun,
Magar Saari Raat Tarafate Hum Rehte Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

dosti aur pyar....

"Dosti Hamesha Hoonton Par Muskaan Laati Hai
Sang-Sang Haashati Hai
Gaale Lagati Hai, Saath Milati Hai
Pyar Badati Hai
Waafa Karti Hai
Aashiq Ko Saccha Insaan Banati Hai
"


"Pyar Hamesha Aankhon Main Aansoo Lata Hai
Tanhai Main Rulata Hai
Judai Lata Hai, Dooriyan Badata Hai,
Dushmani Badata Hai
Bewafai Karta Hai
Aashiq Ko Pagal Banata Hai
"


!!fhir bhi duniya-e-jahan dosti ko samaj nahi pati hai,
hamesha isse pyar ka naam daite hai,
jab ki dono ek dusare se juda hai,
dono ka apna alag-alag rang-roop hai,
fhir bhi duniya dosti ki kadar samaj nahi paati hai,
hamesha pyar ko dosti se baada samajhati hai!!
[written by romil arora - copyright reserved]

~~Yaadon Ki Galiyaan Yaad Hai Mujhe~~


~~Yaadon Ki Galiyaan Yaad Hai Mujhe~~
Woh Gudda-Gudiya Ki Shaadi Rachana
!*!Yaad Hai Mujhe!*!
Woh Baarishon Main Khoob Jhoom Kar Nachana
!*!Yaad Hai Mujhe!*!
Woh Saawan Main Jhuula Jhulana
!*!Yaad Hai Mujhe!*!
Woh Chotey-Chotey Haanton Main Mehandi Rachana
!*!Yaad Hai Mujhe!*!
Woh Choti-Choti Baaton Par Ruuth Jaana, Fhir Ek-Dusare Ko Manana
!*!Yaad Hai Mujhe!*!
Woh Agey-Agey Mera Doodana, Peeche Sab Saathiyoon Ka Doodana, Woh Mil Kar Rail Gaadi Banana, Sabka Fhir Zor-Zor Se Chillana,
!*!Yaad Hai Mujhe!*!
Naaz...Main Kuch Bhi Nahi Bhula...
Yaadon Ki Galiyaan Yaad Hai Mujhe

[written by romil arora - copyright reserved]

Saath Nibha Na Saka.....


Ya Rabba, Sanam Hamara Humko Jaan Na Saka,
Majboori Woh Hamari Pehchan Na Saka,
Kehta Tha Zindagi Bhar Pyar Karega,
Jo Do Kadam Saath Nibha Na Saka!
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, July 26, 2008

!!Sacha Pyar Tumse Hi Karte Rahenge Sanam!!

Janta Hu Tujhe Na Pa Sakenge Zindagi Bhar,
Fhir Bhi Sacha Pyar Tumse Hi Karte Rahenge Sanam!


Janta Hu Haal-e-Dil Zindagi Bhar Kisi Ko Na Bata Sakenge Sanam,
Dil Hi Dil Main Rote Rahenge Hum,
Fhir Bhi Sacha Pyar Tumse Hi Karte Rahenge Sanam!


Zindagi Main Sanam Ko Pa Lena Hi Sabse Badi Kamyabi Hai,
Hum Zindagi Bhar Apni Haar Ko Yaad Rakhenge Sanam,
Fhir Bhi Sacha Pyar Tumse Hi Karte Rahenge Sanam!
[written by romil arora - copyright reserved]