Friday, September 12, 2008

dosti..


Abhi kahan tumko yeh ehsaas hai
mujhse dushmani karne walon,
meri maut ke baad hi tumko yeh ehsaas hoga,
main kitna aacha dost tha tumhare dosti ke liye!
[written by romil arora - copyright reserved]

Raatein...


Sheetal
Raatein Hai,

Hamari
Baahon Main Aao,

Apne
Shoolon Se Badan Se

Humko Jalao!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Main woh phool tha...

Main woh phool tha jise pairon se raunda jaana tha,
Magar usne mujhe apni zulf mein sajaa liya!
[written by romil arora - copyright reserved]

Kal ki raat....



Kal ki raat qayamat se guzare....

Jo fasaale banate the, woh pighal gaye baahon main hamari!

Jo ehsaaso main jeete the, woh lipath gaye jism main hamari!

Jo daaman chudane ki baatein karte the, woh khud simat gaye daaman main hamari!

*******
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, September 11, 2008

Sach Keh Raha Hai Deewana Dil



Sach Keh Raha Hai Deewana Dil

(Sach keh raha hai deewana dil
Dil na kisi se lagaana) - 2
Jhoothe hai yaar ke vaade saare
Jhoothi hai pyaar ki kasmein
Maine har lamha jisse chaaha, jisse pooja
Ussi ne yaaron mera dil
Toda toda, tanha tanha chhoda
~*~

Sach keh raha hai deewana dil
Dil na kisi se lagaana
Jhoothe hai yaar ke vaade saare
Jhoothi hai pyaar ki kasmein
Maine har lamha jisse chaaha, jisse pooja
Ussi ne yaaron mera dil
Toda toda, tanha tanha chhoda
~*~

Sundar sundar voh haseena badi
Sundar sundar main to khone laga
Uske nashe mein bin piye baheka, aah
Sundar sundar voh haseena badi
Sundar sundar main to khone laga
Uske nashe mein bin piye baheka
Ek din usse bhoola doonga main
Uske nishaan mita doonga main
Chaahoonga na main us patthar ko
Jaa usse bata de

~*~
Oh, sach keh raha hai deewana dil
Dil na kisi se lagaana
Jhoothe hai yaar ke vaade saare
Jhoothi hai pyaar ki kasmein
Maine har lamha jisse chaaha,
jisse pooja
Ussi ne yaaron mera dil
(La lai lai lai lai la le
La lai lai lai lai la) - 2
Maine har lamha jisse chaaha, jisse pooja
Ussi ne yaaron mera dil
Toda toda, tanha tanha chhoda

~*~
Mausam mausam tha suhaana bada
Mausam mausam maine dekha usse
Hua main paagal bas pal bhar mein,
aah Mausam mausam tha suhaana bada
Mausam mausam maine dekha usse
Hua main paagal bas pal bhar mein
Aake basi hai voh mere mann mein
Uski kami hai ab jeevan mein
Voh door hai meri nazron se
Kyoon usse main chaahoon
Oh, sach keh raha hai deewana dil
Dil na kisi se lagaana
Jhoothe hai yaar ke vaade saare
Jhoothi hai pyaar ki kasmein
Maine har lamha jisse chaaha,
jisse pooja
Ussi ne yaaron mera dil
Toda toda, tanha tanha chhoda
(not written by me)

Ashirwaad

Muskurane Ka Ashirwaad Diya Hai Tujhe,
Hamare Ashirwad Ki Laaj Rakhna,
Hamesha Muskurate Rehna!
Jab Kabhi Bhi Hamara Janaza Nikle,
Rona Mat,
Bas Muskura Ke Humko Vida Karna!
[written by romil arora - copyright reserved]

Kasme Wade Pyar Wafa


Kasme Wade Pyar Wafa


Koyi kisi ka nahi ye jhoothhe,
Naate hain naato ka kya
Kasme waade pyaar wafaa sab,
Baatein hain baato ka kya

-

Hoga masiha ...
Hoga masiha saamne tere,
Phir bhi na tu bach paayega
Tera apna?
Tera apna khoon hi aakhir tujhko aag lagaayega
Aasmaan mein ...
Aasmaan me udne waale mitti mein mil jaayega
Kasme waade pyaar wafaa sab, baatein hain baato ka kya

-

Sukh mein tere ...
Sukh mein tere saath chalenge,
Dukh mein sab mukh modenge
Duniya waale ...
Duniya waale tere bankar tera hi dil todenge
Dete hain ...
Dete hain bhagwaan ko dhokha,
Insaan ko kya chhodenge
Kasme waade pyaar wafaa sab,
Baatein hain baato ka kya
(not written by me)