Wednesday, February 4, 2009

"Mera Awadh" "Mera Lucknow"



Kabutaron ka aasmaan main udana
Chaat par patangbazi karna
Mohabbat ke naazar se jalwa-e-husn ko dekhana
Ada par mehboob ke marr jana
Sadagi, Tehzeeb se saalam kehna
Mandir ki aartiya, Majhid ki aajaan, Gurudware ki gurbani, Sufiyoon ki aawazon ka gunjana
Yeh hain mera dil-e-sakoon
"Mera Awadh"
"Mera Lucknow"
[written by romil arora-copyright reserved]

Tuesday, February 3, 2009

mujhpar reham aaya

bhala usko nahi, mujhpar reham aaya...
mujhe to apne haal-e-dil par reham khana chahiye tha!
.........................
mohabbat ki hawaa mujhe uda ke le chali...
mujhe to apna kadam rok lena chahiye tha!
[copyright reserved-written by romil arora]

ab bas mere sher hi hai teri dillagi ke liye...

ab bas mere sher hi hai teri dillagi ke liye
hum to marr chuke hai teri khushi ke liye!
[copyright reserved-written by romil arora]

dil se...

meri aashiqhi nahi
isse meri dillagi hi samaj
itna to yakeen hoga tujhe
tere husn ka charcha to hua!
[copyright reserved-written by romil arora]

aitbaar karna...

Kasam toodh kar kehte ho
Meri kasam par aitbaar karna!
Bewafai karke kehte ho
Meri wafa par aitbaar karna!
Judai dekar kehte ho
Meri saath par aitbaar karna!
[copyright reserved-written by romil arora]

Bachpan ke mausam fir nahi aate...

bachpan ke mausam fir nahi aate
ki jaane wale log fir nahi aate
magar dil kyon rehta hai yaadon mein gumsum
toote hue shaakh par phool nahi aate!
[written by romil arora- copyright reserved]

Monday, February 2, 2009

Lucknow....


Woh ladka hi kya Lucknow ka jo Shayar na ho
Woh ladki hi kya Lucknow ki jo Shayari na ho!
~
Woh ladka hi kya Lucknow ka jo Tehzeebdaar na ho
Woh ladki hi kya Lucknow ki Jiske Aankhon Main Haaya na ho!
~
Woh ladka hi kya Lucknow ka jo Ishq na kare
Woh ladki hi kya Lucknow ki jo Aashiq na bana de!
[written by romil arora-copyright reserved]