Wednesday, February 11, 2009

hum garibon ne apni zindagi baiche...

subah baiche
raatein baiche
do pal ki saanson ke liye
humne apne khawab baiche...
~~*~~
aansoo baiche
bebasi baiche
dusare ki khushi ke liye
humne apni khushi baiche..
~~*~~
kisi ne dosti baiche
kisi ne imaandari baiche
fakr se jeene ke liye
hum garibon ne apni zindagi baiche...

#Romil

सुबह बेची 
रातें बेची 
दो पल की सांसों के लिए 
हमने अपने ख्वाब बेचे 

आंसू बेचे 
बेबसी बेची 
दूसरों की खुशी के लिए 
हमने अपनी खुशी बेची... 

किसी ने दोस्ती बेची 
किसी ने ईमानदारी बेची 
फक्र से जीने के लिए 
हम गरीबों ने अपनी जिंदगी बेची... 

#रोमिल

rabb hi jaane inke fhasane


yeh haseenaiye, yeh inke bahane
rabb hi jaane inke fhasane
~
yeh daaman fherana, yeh mehakta chehara
dil main bhare matlabi taarane
~
dekhe jab kaatil naazaron se yeh
lag jaye kadam ladkhadane
~
mohabbat ke naam par zehar daite
na pucho inke kisse, inke fhasane
yeh haseenaiye, yeh inke bahane
rabb hi jaane inke fhasane
[written by romil arora-copyright reserved]

Tuesday, February 10, 2009

aur baat hoti!

Qismat par mera bas hota to aur baat hoti!
har pasand ki cheez hamari hoti to aur baat hoti!

apne to bahut hain mere duniya mein, apne, apne hote to aur baat hoti!

vaada to mein lakhon kar sakta hu, vaada poore karne ki himmat pass hoti to aur baat hoti!
[copyright reserved-written by romil arora]

kuch log....

kuch log hamare saath wafa se rahe
fhir bhi bewafa se rahe
~
chirag ne jalaya hain ghar mera
fhir kyon dushmani haawan se rahe
~
khud hi mohabbat ka rog humne paala hain
fhir kyon gila mehboob se rahe
~
hazaron zulmo-sitam diye hain mujhe khuda ne
fhir kyon khafa dua se rahe!
~
zindagi ne pal-pal par mera saath choda hain
fhir kyon umeed maut se rahe!
[copyright reserved-written by romil arora]

hum to bachpan se akele hai...

hum to bachpan se akele hai
tanhaiyon mein khele hai
~*~
khilaune nahi the pass hamare
khud ke sapno se khele hai
~*~
duniya hasti rahi hamare dukhon par
kismat ne ajab khel khele hai
~*~
kaise kahe zindagi ne kya haal bana kar rakh diya
maut bhi maze se khele hai! 

#Romil

हम तो बचपन से अकेले है
तन्हाइयों में खेले है...

खिलौने नही थे पास हमारे
ख़ुद के सपनों से खेले है...

दुनियां हस्ती रही हमारी दुःखों पर
किस्मत ने अजब खेल खेले है...

कैसे कहे ज़िन्दगी ने क्या हाल बनाकर रख दिया
मौत भी मज़े से खेले है...

#रोमिल

Monday, February 9, 2009

kuch is tarah...

ya mit jaiye ya mita dijiye
mohabbat kuch is tarah se kijiye...
~*~
har taraf ho bas teri hi ashiqui ka charcha
kuch is tarah se khud ko badnaam kijiye...
~*~
rabba khud dua kare tere jaisa banda paane ko
mehboob ki bandagi kuch is tarah se kijiye...

#Romil

या मिट जाए या मिटा दीजिए 
मोहब्बत कुछ इस तरह से कीजिए... 

हर तरफ हो बस तेरी ही आशिकी का चर्चा 
कुछ इस तरह से खुद को बदनाम कीजिए... 

रब्बा खुद दुआ करें तेरे जैसा बंदा पाने को 
महबूब की बंदगी कुछ इस तरह से कीजिए...

#रोमिल

hum dil kisi se laga na sakenge...

jiyenge magar muskura nahi sakenge
hum apni khamoshi kisi ko bata na sakenge
~
zindagi bas ab tanha rahege
mehfil main hum zindagi guzar na sakenge
~
khushiya aayenge, zindagi ko mehkayenge
magar hum khushiyaa mana na sakenge
~
hain dil main yeh aarzoo fhir kisi se mohabbat ho
magar hum dil kisi se laga na sakenge!
[copyright reserved- written by romil arora]