Tuesday, March 3, 2009

dil se...

shaam aane ko hain
teri yaad fhir satane ko hain...
*
agar hota waqt mera ghulam
main chand ko kabhi aane na deta apne dwaar...
[written by Romil Arora-copyright reserved]

Apna Naseeb Bhi Kamal Ka Hai..

Apna Naseeb Bhi Kamaal Ka Hai Romil
Woh humko apna bhi kehte hai
Chot Lagne par haal bhi nahi puchate hai...
[written by Romil Arora-copyright reserved]

Monday, March 2, 2009

aansoo...

ek aansoo bhi nahi bahaye usne meri judai main romil,

jisse aankhon ko hum jheel kahan karte the...

[written by romil arora - copyright reserved]

yaad teri aaye...

yeh dopahar ka aalam
yeh gum-e-tanhaiyee
yeh behate hue aansoo
yaad teri aaye...
~*~
udate hue panchiyoon ne jaise koiye baat sunaiye
haawan yeh lehraiye
dopahar lekar karwat
yaad teri aaye...
~*~
baadalon main ghataiyeen chahe
chand se chan kar chandani aaye
juganu bhi tim-timaye
yaad teri aaye...
[written by romil arora-copyright reserved]

teri yaad


subah-subah yeh shaam kyon ho gaye
teri yaad ke diye jale aaise...
~!~
jal utha yeh dil mera kyon
aansoo ki barsaat ho gaye ho jaise...
~!~
saahil par baitha yeh soch raha hu
samundar ki gehraiye hain kitne
saari umeedon ki kashtiya duubh gaye ho jaise...
~!~
udha gaye hain sab khawab mere parinda bankar
teri yaad ki purvaiyaa chali aaise...
~!~
subah-subah yeh shaam kyon ho gaye
teri yaad ke diye jaale ho aaise...
[written by romil arora-copyright reserved]

nazar...

shukr khuda ka itna hai woh aaye nazar to sahi
mere saath nahi, kisi aur ke saath hi sahi!
[written by romil arora-copyright reserved]

Sunday, March 1, 2009

sach se rubaru


"log paagal kehne lage mujhe..."
"anjaan se ishq kar liya
log paagal kehne lage mujhe...
~*~
anjabi ka intezaar kar liya
log paagal kehne lage mujhe...
~*~
dekha nahi usse
fhir bhi khuda jaisa hi aitbaar kar liya
log paagal kehne lage mujhe...
~*~
duniya se durr ho gaya yeh soch kar
ki gum uska paaluuga, tohfa samaj kar
log paagal kehne lage mujhe...
[written by romil arora-copyright reserved]