Tuesday, March 31, 2009

mohabbat marati nahi kabhi...

judai ki raat chahe jitni bhi baadi kyon na ho
mohabbat marati nahi kabhi...
~*~
dard, gum chahe jitna bhi mile ho
mohabbat marati nahi kabhi...
~*~
chahe yeh qayanat khatam ho jaye
chahe yeh suraj fhir na ugge
chahe yeh chand doob jaye
mohabbat marati nahi kabhi...
[written by romil arora - copyright reserved]

Jahan Main Qais Zinda Hain To Laila Marr Nahi Sakti!

Jahan Main Qais Zinda Hain To Laila Marr Nahi Sakti!

Monday, March 30, 2009

yaad teri marham lekar aati hain...


bahut muskil hain intezaar ka safar
yaad teri marham lekar aati hain...
~*~
aansoo bhehate rehte hain maire, teri judai main
yaad teri marham lekar aati hain...
~*~

baithe-baithe udasi ke mahool main bhi muskura deta hu
yaad teri marham lekar aati hain...
~*~
itefaq se jo aa jaye kabhi chand mere andhere ghar main
yaad teri marham lekar aati hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

pal-pal, har pal...

har ek saans ke saath tujhse milane ki umeed badati jaati hain
pal-pal, har pal yeh mohabbat badati jaati hain...
~*~
chand ko dekhata hu to tera chehara yaad aane lagata hain
pal-pal, har pal tujhe dekhane ki umeed badati jaati hain...
~*~
barsat ka paani jab mere badan par padata hain tujhse lipatane ki chah badati jaati hain
pal-pal, har pal yeh beqarari badati jaati hain...
~*~
ban jayunga musafir teri manzil paane ke liye
pal-pal, har pal yeh aarzoo badati jaati hain....
[written by romil arora - copyright reserved]

izhaar-e-mohabbat

kitna dilchasp izhaar-e-mohabbat apna tha
woh to kareeb nahi the
isliye allah se kar daite the...
[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, March 29, 2009

GHAR - ek khawab

GHAR - ek khawab
"pyar ke bhandhan main bhandha ghar, chota sa hona chahiye...
jisme subah-subah puja aarti ki aawaz poore ghar main sunaiye daine chahiye...
jab rasoi main khana bane to uski mehak bahar ke gate tak aane chahiye...
living room main chal rahe tv ki aawaz study room tak sunaiye daine chahiye...
jab bhi koiye samaan ghar ke liye kharedana ho, usse pehle ghar main jagah banaiye jaane chahiye...
parivar main koiye bhi gum aur khushi ko chupa kar na rakh paye, ghar main itne kamare nahi hone chaiye..."
[written by romil arora - copyright reserved]

dushman bana baithe...

tumse waafa karte karte
doston ko dushman bana baithe
~*~
rait par naam tumhara likhate-likhate
haawan ko dushman bana baithe
~*~
teri judai main tumko yaad karte-karte
khud ko apna dushman bana baithe...
[written by romil arora - copyright reserved]