Friday, November 13, 2009

Raat bhar so na saka main, tere aane ke intezaar mein raha main...

raat bhar so na saka main
tere aane ke intezaar mein raha main...
~*~
jab dikha nahi mujhe chand
ghane badalo ko dekh ro paada  main...
~*~
yunhi hi tarafta raha
bebas rota raha
rabb se shikayat karta raha
kyon usse juda hua main...
~*~
yunh to zinda hu
saansein le raha hu 
muskura bhi raha hu
teri judai se mann hi mann jaale ja raha hu main...
~*~
ek baar kareeb aakar to dekh
tere bagair NaaZ
main nahi hu main...
[written by romil arora - copyright reserved]

tujhse milana...


dil to chahata hain har pal tujhse milana
tere pass waqt na ho
hum to sochate hain har pal tujhse milana...
~*~
tujhe na yaad ho mere haanton ko pakad kar
raah main chalana
mera haath to chahta hain ab bhi tujhse milana...
~*~
kadam thak chuke hain chalte-chalte
ab tanha chala nahi ja raha hain mujhse
fhir bhi kadam chahte hain tujhse milana...
~*~
tumhain na sunaiye de yeh dil-e-aawaz mere
magar yeh saansein kehti hain
naaz mujhe tujhse milana...
naaz mujhe tujhse milana...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, November 12, 2009

kab ka marr chuka hu...


meri saanson ko chalta dekh yeh na samaj main zinda hu naaz
kareeb aakar dekh main kab ka marr chuka hu...
[written by romil arora - copyright reserved]

aarzoo thi meri tujhe apne haanton se dulhan banau...


aarzoo thi ki tujhe apne haanton se dulhan banau
supurd karke kisi farishtee ke
main teri yaadon main zindagi bitau...
~*~
bicha kar gulabo main dosti-e-wajood
main toote hue dil ke kaantein apne saath le jau...
~*~
roshani se saaji rahe teri mehfil
main andheron main kahi kho jau...
~*~
tujhse judai ka gum main apni aankhon main chupau
aansoo ko dil main rakhu, hoonton se muskurao...
~*~
naaz...aarzoo thi meri tujhe apne haanton se dulhan banau...
[written by romil arora - copyright reserved] 

Wednesday, November 11, 2009

rabb se keh do...


rabb se keh do mere gunahon ko maaf kar de
mujhe jannat main jagah de de...
meri naaz hain wahan
uska saath mujhe de de...
[written by romil arora - copyright reserved]

tere liye...


tujhse mulaqat fhir hogi naaz 
yeh umeed hi kaafi hain mere jeene ke liye...
~*~
teri tasveer na ho mere pass
tera naam ki kaafi hain naaz, teri bandagi ke liye...
~*~
tujhe na ho meri baaton se lagan-laagi naaz
main tujhse karta hu baatein apni khushi ke liye...
~*~
na ho jannat main jagah mere liye naaz
main saadiyon tak karta rahunga tera intezaar apne liye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, November 10, 2009

kabhi na bhool payega...


dil kehta hain yeh dosti ka silsila yuhi chalta jayega
mujhse aaye dost tu juda hokar kahan jayega...
*
main apni yaadon se chiraag jalata jayunga
dekhata hu rabb waqt ki aandhiya kab tak chalayega...
*
mujhe yakeen hain tu ek din laut kar jarur aayega
meri suni zindagi main fhir khushiyoon ka phool khelayega
*
har pal yeh saansein yuhi tujhko pukarati jayegi
kab tak meri aawaz ko tu ansuni karta jayega...
*
yeh aankhein chahe band ho jaye
yeh jubaan na fhir kabhi bol paye
yeh saansein chahe tham jaye
magar yeh mann kabhi tujhko na bhool payega
aaye meri naaz teri wafaon ko kabhi na bhool payega...
[written by romil arora - copyright reserved]