Monday, November 30, 2009

Hum ussi din samaj gaye the....


Hum ussi din samaj gaye the "NAAZ"
Jis din "GUNN" ne humse ucchi aawaz main baat ki thi...
Meri saari umeed khaakh ki thi...
Jiske shabdon main rehti thi hamesha mithas
Uske shabdon main karwahat thi...
Meri mohabbat-e-basti barbaad thi..
~*~
Hum ussi din samaj gaye the "NAAZ"
Jis din "SHEE" ne kisi gair se mulaqat ki thi...
tez haawaon main meri jazbaat ki dhajiya ujaad di thi...
~*~
Ro diye hum dekh kar tera bhi mizaz "NAAZ"
tune bhi rabb ki suni
mere ehsaaso ki na tujhe koiye fikar thi...
na mere khawabon ki koiye aehimiyat thi...
[written by romil arora - copyright reserved]

jis tarah...

Woh humko dekh kar muskuraye is tarah
Jaise koi purani kitaab mein dilchasp shayari padi ho jis tarah...
***
fir humko dekha ehsaas ki nazron se
thoda sa muskuraye
thoda sa lab hilaye
aur haans kar chal diye
jaise anjaan se milta ho koi anjaan jis tarah...
***
hum sochate rahe
aakhir apni jaan-pehchan kaise hai
fir yaad aaya
hum to unki purani kitab hai
jo kisi almaari (almirah) mein padi rehti ho jis tarah...
purani kitab mein likhi ho shayari jis tarah... 

#Romil

वो हमको देखकर मुस्कुराये इस तरह 
जैसे कोई पुरानी किताब में दिलचस्प शायरी पढ़ी हो जिस तरह... 

फिर हमको देखा एहसास की नजरों से 
थोड़ा सा मुस्कुराए 
थोड़ा सा लब हिलाए 
और हंस कर चल दिए 
जैसे अनजान से मिलता हो कोई अनजान जिस तरह...

हम सोचते रहे 
आखिर अपनी जान-पहचान कैसे हैं 
फिर याद आया 
हम तो उनकी पुरानी किताब है 
जो किसी अलमारी में पड़ी रहती हो जिस तरह... 
पुरानी किताब में लिखी हो शायरी जिस तरह...

#रोमिल

Saturday, November 28, 2009

Zinda Rehti Hain Unki MOHABBATEIN

Duniya Mein Kitni Hain Nafratein
Phir Bhi Dilo Mein Hai Chahtein

Mar Bhi Jayen Pyar Wale
Mit Bhi Jayen Yaar Wale
Zinda Rehti Hain Unki MOHABBATEIN
***
Mar Bhi Jayen Pyar Wale
Mit Bhi Jayen Pyar Wale
Zinda Rehti Hain Unki MOHABBATEIN
[not written by me]

mohabbaton ka beeta hua...


mohabbaton ka beeta hua pal aacha tha
pyasi dharti par boondon ka girana aacha tha...
***
meri zindagi main pal bhar ke liye hi tha saath uska
fhir bhi "GUNN" ka aana aacha tha...
***
main janta tha "SHEE" mera saath kabhi nahi degi
fhir bhi saari-saari raat uske liye jagana aacha tha...
***
"NAAZ" jaise faristee ka fhir dharti par aana, mumkin na tha
fhir bhi usko paane ki dhun main paagalon sa roz fhirna aacha tha...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, November 27, 2009

yaadon ke ghar...

jab bhi yaadon ke ghar se guzarata hu
zuban par aa jata hain naam tera...
***
har pal teri hi umeed main khoya rehta hu
kisse puchu, kaun batayega kya hain haal-e-dil tera...
***
woh zamana, woh mohabbat bahut yaad aati hain
"SHEE" meri baaton main raat bhar jagana tera...
***
zamane ki khaak channe ke baad mili thi manzil mujhko
"GUNN" mere khatoon ko padh kar muskurana tera...
***
apni qismat par naaz karta tha
naseeb ko chuum liya karta tha
"NAAZ" mujhe jab apna kehna tera...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, November 26, 2009

haal-e-dil

Chalte-Chalte raston mein "NAAZ" ke khayalo mein kho jana
aur khud se hi apna haal-e-dil kehna...
***
Yaad hai mujhe "GUNN" ka roz khat likhna
aur khat mein haal-e-dil kehna...
***
Mujhse "SHEE" ka raat bhar phone par baatein karna
aur baaton mein haal-e-dil kehna...
***
Kho diya hai tune "ROMIL" mohabbat-e-rab "NaaZ"
Ab kisse haal-e-dil sunna
Ab kaisa haal-e-dil kehna...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, November 25, 2009

abhi kahan zamana tumne dekha...

abhi kahan zamana tumne dekha hain 'ROMIL'
abhi to aur zamana kharab aayega...
***
hamari hokar 'SHEE', aaj kal gair se karti hain baatein
isse bura kya zamana aayega...
***
rang layegi ek din meri wafaiye jarur
mera mehboob 'GUNN' mujhse jarur milane aayega...
***
"NAAZ" ke siva kaun sath dega mera
farishta kahan baar-baar insaan ka roop lekar aayega...
[written by romil arora - copyright reserved]