Saturday, December 5, 2009

Sathiya yeh tune kya kiya...

Sathiya yeh tune kya kiya...beliya yeh tune kya kiya...
Maine kiya tera intezar...itna karo na muje pyar... (2)

Sathiya yeh tune kya kahan...beliya yeh tune kya kahan...
U na kabhi karma intezaar...maine kiya hai tumse pyar...(2)

Itni mohabat seh na sakunga...
Sach mano zinda raha na sakunga...

Tujko sambhalu yeh mera zimma
Main hu to kya gum jaane tamanna...

Ab jeena-marana mera janam tere haath hai...
Maine kahan na sanam...ab tu mere saath hai...

To phir samhal...le me chala...
La.lla.la

Jana kahan...aa dil me aa..
 la.lla.la.la.lla.la.la.lla.la...


Dil ke chaman ka hasna to dekha...
Jagi nazar ka sapna to dekha...
Aise hue hum ek jaan ek dil tu hai ki main hu
Kehna hai mushkil..

Chota basanti hai tu..tan hai gulabi mera..

Do rang milen ke baad hote nahi hai juda..


To phir sambhal...le me chala...
La.lla.la

Jana kahan...aa dil me aa...
La..lla..la...

La..lla..la...La..lla..la...La..lla..la...La..lla..la...

Saathiya yeh tune kya kiya... beliya ye tune kya kaha...
[not written by me]

Friday, December 4, 2009

aacha nahi lagta..

Miloge kab itna to bata do sanam
tere vaade par intezaar karna aacha nahi lagta...
***
Milta hain sukoon dil ko uske khat padane se
har roz magar aansoo bahana aacha nahi lagta...
***
Ek rishta usne banaya tha humdono ke beech
us rishtee ki roz-roz duhai dena aacha nahi lagta...
***
Maazhi kehta hain kab tak tu yuhi samundar main bhatakta fhirega
magar kaise samjhaye uske bina saahil aacha nahi lagta...
***
Kiska chehara dhoondata rehta hain aasman main
ab to chand ko dekhana bhi aacha nahi lagta...
***
Rooh kehti hain gair ka hokar bhi woh tera hain
lekin ab usse apna kehna aacha nahi lagta..
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, December 3, 2009

tere liye...

________________________
Agar tum kaho to
yeh zindagi loota de
tere liye GUNN hum duniya bhula de...
***
Agar tum kaho to
sabka saath chod de
tere liye SHEE hum har rishta toodh de...
***
Agar tum kaho to
chehare se paagal-pan ka naaqab haata de
tere liye NAAZ hum khud ko mita de...
_________________________

Hamari sanson mein aaj tak...

~GHAZAL~
Hamari sanson mein aaj tak woh heena ki khushboo mehak rahi hai
Labon pe naghme machal rahe hain, nazar se masti jhalak rahi hai...
*****
Woh mere nazdeek aate-aate hayaa se ek din simat gaye the
Mere khayalon mein aaj tak woh badan ki daali lachak rahi hai...
*****
Sada jo dil se nikal rahi hai woh sheron-nagmon mein dhal rahi hai
Ke dil ke aangan mein jaise koi gazal ki jhanjhar jhanak rahi hai...
*****
Tadap mere beqarar dil ki kabhi to unpe asar karegi
Kabhi to woh bhi jalenge usme jo aag dil mein dehek rahi hai...
*****
Hamari sanson mein aaj tak woh heena ki khushboo mehek rahi hai
Labon pe naghme machal rahe hain nazar se masti jhalak rahi hai...
*****

NOOR JEHAN 

[not written by me]

Wednesday, December 2, 2009

teri ibadat ke liye...

na daulat, na mohabbat ke liye
main zinda hu NAAZ teri ibadat ke liye...
***
har koiye jee raha hain yahaan sirf apni aarzoo ke liye
main zinda hu tera khawab poora karne ke liye...
***
GUNN, SHEE se mohabbat ki thi maine
unke noor main tera noor dekhane ke liye...
***
waqt ke saath-saath chalta rehta hu
har gum par bhi muskurata hu
sirf teri khushi ke liye...
***
main zinda hu NAAZ teri ibadat ke liye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, December 1, 2009

sab ek se hain...

sab ek se hain NAAZ...
kya GUNN
kya SHEE
ek sa dard...
ek sa dhoka...
ek sa mujhe tanha chod dena...
ek sa meri bebasi par muskurana...
***
NAAZ tere jaise hi waafadaar hai teri kabr...
choote-choote paudhey lagau to phool khila daite hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Kisi nazar ko tera intezaar aaj bhi hai

Kisi nazar ko tera intezaar aaj bhi hai
Kahan ho tum ke ye dil beqaraar aaj bhi hai

Wo waadiyan wo fizayein ke hum mile the jahan
Mere wafa ka wahin par mazaar aaj bhi hai

Na jaane dekh ke kyun unko ye hua ehsaas
Ke mere dil pe unhe ikhtiyaar aaj bhi hai

Wo pyar jis ke liye hum ne chor di duniya
Wafa ki raah mein ghaayal wo pyar aaj bhi hai

Yakin nahi hai magar aaj bhi ye lagta hai
Meri talaash mein shayad bahaar aaj bhi hai

Na puch kisne mohabbat ke zakhm khaye hain
Ke jinko soch ke dil sau-gavar aaj bhi hai

Wo pyar jis ke liye hum ne chor di duniya
Wafa ki raah mein ghaayal wo pyar aaj bhi hai

Kisi nazar ko tera intezaar aaj bhi hai
Kahan ho tum ke ye dil beqaraar aaj bhi hai
[not written by me]