Wednesday, February 3, 2010

hum to chhup-chhup kar teri baatein kiya karte hai...

hum to chhup-chhup kar teri baatein kiya karte hai
na jaane kaise mehfil ko khabar ho jaati hai...
***
hum to chhup-chhup kar ro liya karte hai
na jaane kaise zamane ko khabar ho jaati hai...
***
hum to chhup-chhup kar unko dekha karte hai
na jaane kaise doston ko khabar ho jaati hai...
***
hum to chhup-chhup kar likhte hai unko khat
na jaane kaise unko khabar ho jaati hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

kya hue?

jo mujhko daite the dard
woh dost kya hue?
saahil par tanha mujhe dekh kar
jo milane aate the log
woh log kya hue?
***
aap hi to kehte the ki
humse aapko mohabbat hain
woh jhooti qasame
woh jhoote vaade
kya hue?
***
jitne khawab the
woh to jal chuke hain
khawabon main aane wale
kya hue?
***
main jin ka rasta dekhata raha ta-umar
woh intezaar karwane wale humsafar
kya hue?
***
jo subah-subah aate the tera sandesha lekar
woh khat pahuchane wale log 
kya hue?
***
ab to sochata hu ki kuch pal so jayun
woh chain se apni goad main sulane wale
kya hue?
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, February 2, 2010

~ada~

Kyon pareshan hote ho Romil
Jo saahil par aakar usne saath chod diya tumhara
Tumhi to kehte the uski har ada mashallah hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

MOHABBAT-E-SAAGAR

LOG KEHTE HAIN WOH MOHABBAT-E-SAAGAR HAIN ROMIL
MAGAR USNE APNE DARR SE HUMKO PYASA HI LAUTA DIYA...
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

dil ki basti...

Baadi mehnat se basaiye hain maine dil ki basti Romil
Itna aasan nahi hota barbaad hokar aabad hona...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, February 1, 2010

waafa

woh meri waafa dekh kar hans kar bola Romil
ek aur aa gaya qurbaan hone...
***
unki galiyoon main yeh soch kar hum chale jaate hain Romil
gulab nahi to pathar marane ke bahane hi woh khidki main aayenge aur unke chand se chehara ka deedar humko ho jayega...
[written by romil arora - copyright reserved]

HAMARI MOHABBAT MAIN...

HAMARI MOHABBAT MEIN WOH PATHAR SE HEERA BAN GAYE ROMIL
ITNI KEEMATI BEEKE KI HUM USKO KHAREED NA SAKE...
[written by romil arora - copyright reserved]