Wednesday, March 10, 2010

Do Sahilon Ke Beech...

do sahilon ke beech itni gehrai kyon hoti hai Romil
saari duniya hoti hai apne pass fir bhi kisi ek ki talash kyon hoti hai Romil
waise to marr kar koi wapas nahi aata Romil
fir bhi aankhon mein kisi ke laut aane ki chahat kyon hoti hai Romil!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, March 5, 2010

Bahut sambhal kar rakha tha...

Bahut sambhal kar rakha tha uske khaton ko
Woh hi usko humse chheen kar le gaya...
***
Jisko padh kar dil ko qarar aa jata tha
Woh dil-e-qaraar chheen kar le gaya...
***
Wohi hum hai, wohi mohabbat hai
Woh yaadon ki jageer chheen kar le gaya...
***
Taqdeer ke aaina mein sajaa kar rakhi thi jiski mohabbat-e-siddat ki tasveer Romil
Woh humse woh tasveer chheen kar le gaya...
[written by romil arora - copyright reserved]

na kaho mohabbat ka din....

na kaho mohabbat ka din fhir se aayenga
dil main zakhm khane sa din fhir se aayenga...
***
beethegi har raat aansoo ke saath
takiyoon se lipath kar rone ka din fhir se aayenga...
***
mehfiloon se bachkar nikalenge
tanhai ka din fhir se aayenga...
***
hoonton par haansi, dil main gum chupa hoga
khud ki laash ko kandha daine ka din fhir se aayega...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, March 4, 2010

bewafa se bhi wafa kejeiye...

bewafa se bhi wafa kejeiye
aaise mohabbat-e-naamaz ada kejeiye..
***
na kisi se aankh churaya kejeiye
har dushman ko bhi gale lagaya kejeiye...
***
jo aa jaye kisi ke gum main aankhon main aansoo
amrit samaj kar pi jaaya kejeiye...
***
saada roshan rahega suraj tere ghar ka
dusaron ke ghar main gyan ke deepak jalaya kejeiye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Badnaam-e-mohabbat mein waafa ka koi mool nahi hota...

Badnaam-e-mohabbat mein waafa ka koi mool nahi hota Romil
Jitna bhi ro lo, pathar par koi asar nahi hota!
[written by romil arora - copyright reserved]

Zindagi bhar jisse ladta raha main Romil
Marne ke baad usi ke saath dafan kar diya!
[written by romil arora - copyright reserved]



zindagi ko kuch is tarah ...

zindagi ko kuch is tarah sajana padata hain
dil main gum ho, hoonton ko muskurana padata hain...
***
aarzoo to rehti hain hamesha yaar ko dekhane ki
yaar dekh jaye to nazaron ko jhukana padata hain...
***
chahe jitni bhi ho jaye dushman duniya
chirag ko andhiyoon main bhi jalana padata hain...
***
Kyon dil par laite ho logon ki baat Romil
mohabbat main to khud ko pagal bhi kehna padata hain...
[written by romil arora - copyright reserved] 

~Intezaar~

Jiske aane ka hum umar bhar intezaar karte rahe Romil
Woh hamari gali se gujare aur kehte hain pata maloom nahi!
[written by romil arora - copyright reserved]