Saturday, April 3, 2010

kaun kiske saath marta hai yahaan

kaun kiske saath marta hai yahaan RoMiL
log dafna ke chale jaate hai...
***
dus-dus rupiya mein bik jaate hai jism RoMiL
log sirf ek chamadi ke saudagar ban kar reh jaate hai... 
***
kyon tadapte ho uske intezar mein RoMiL
log raah mein thokar maar kar nikal jaate hai...
***
jisko apna samajhate ho tum RoMiL
wahi apne, tere qaatil ban jaate hai...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

aaina hu main...

aaina hu main
mujhse kaise nazar chura payoge.
tune hi to mera ghar jalaya hain
apne jale hue haath kaise chupa payoge.
***
koiye bhi padh lega tumhara chehara
mera naam ispar se kaise haata payoge.
dard main hu fhir bhi haal nahi puchate ho
us khuda ke samne sajda kaise kar payoge.
[written by romil arora - copyright reserved] 

Friday, April 2, 2010

chalo sunau tumko uski bewafai ki kahani...

chalo sunau tumko uski bewafai ki kahani
ajnaabi hokar bhi rahi woh jaani-pehchani...
______
do qadam saath na de saki
jo kehti thi janamo-janamo saath nibane ki kahani...
______
baatein to jaise shehad thi uski
jo aaj bhi karti hain dil par haazaron nishani
______
kasoor hamara hi tha jo yakeen kar baitha
jisko sunao
wahi kehta hain bewakuf teri hi to thi nadani...
[written by romil arora - copyright reserved]

zikr

uska zikr hote hi aankhon main aansoo aa jaate hain
shaam dhalate hi chehare par dukhon ke badal chah jaate hain
itna pathar hoga us bewafa ka dil RoMiL
jo paaon zaara rakh di phoolon par to chaale aa jaate hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, April 1, 2010

saath chhod gaya woh

saath chhod gaya woh baaton-baaton mein
fir na mila mujhe khawabon mein
khayalaton mein...
***
kisse kahe apna dard Romil
koi na mila mujhe tanha raaton mein...
***
uski qasmo se kuch aisa sajaya ghar ko Romil
dil ko jala kar roshan hota raha
andheri raaton mein...
***
bewafai karke kehta hai woh Romil
apni lakeer hi nahi thi tere haaton mein...
[written by romil arora - copyright reserved]

barson beethe...

barson beethe uske iqraar main
barson beethe uske intezaar main
is umeed se aaj tak zinda hu Romil
kabhi na kabhi to woh kheecha chala aayega
mere pyar main...
[written by romil arora - copyright reserved]

Khabar nahi thi woh

Khabar nahi thi woh is tarah bewafa ho jayega
Apne janaze par bhi mujhe na bulayega...
***
Khawaish thi ki usse apni baahon main saja kar rakhu
Pata nahi tha woh is tarah baahein khol kar udha jayega...
***
Aarzoo thi ki uska diwana kehlau
Pata nahi tha woh pagal bana jayega...
***
Issi jahan tak rakhana chahata tha uske saath rishtee
Pata na tha woh jannat tak ka rishtaa jodh jayega...
[written by romil arora - copyright reserved]