Wednesday, April 7, 2010

jis naam tu mujhe bachpan...

jis naam se tu mujhe bachpan mein bulaya karti thi
us naam se fir mujhe bula...
aa meri aankhon mein baandh kar patti
tu kahin chup jaa...
pehan kar haanton mein kangan
mere kaanon ke pass tu khankhana...
ai meri tamanna ke sitare
meri andheri zindagi mein prakash fhela...
[written by romil arora - copyright reserved]

chup-chup kar deewaron sang rona padata hain

chup-chup kar deewaron sang rona padata hain
har khawab ko mita kar sona padata hain
koiye nahi hota gum main apne saath
bas rabb se gila karna padata hain...
***
chehare ko jhooti haansi ke saath sajana padata hain
raaston ko apna ghar banana padata hain
kis liye tumhain maaf kar du Romil
waafa ka ilzaam to umar bhar shehna padta hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, April 6, 2010

Har shaam guzar jaati hain intezaar main...

Har shaam guzar jaati hain intezaar main
Itna nasha hain taire pyar main...
***
Aankhein band karu to tera chehara nazar aata hain
Itni siddhat hain mere pyar main...
***
Durr se dekhate ho, haal bhi nahi puchate mera
Itne bhi dushman nahi hue hain, hum pyar main... 
***
Duniya-e-jahaan ko apni barbadi ka afsaana sunane wale
Saache aashiq hi mit jaate hain pyar main...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saans laine ki rasam ada karte ho....

Saans laine ki rasam ada karte ho
bas zindagi-guzar basar karte ho...
***
Intezar ki bediyon ne is tarah baand rakha hai tumko
tum rooh aur jism se juda-juda firte ho...
***
Uski bewafai ne tood kar rakh diya hai tumhe
tum zamane se khafa-khafa rehte ho...
***
Khatam karo yeh mohabbat ka tamasha Romil
kyon apni laash ka bhoj dhoye-dhoye firte ho...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, April 5, 2010

woh bhi magruur hai to hum bhi kuch kam nahi...

woh bhi magruur hai
to hum bhi kuch kam nahi Romil
dekhte hai Suraj kiska asmaan mein nikalta hai...
***
apni dhun mein raha hu hamesha
rab ki panah mein raha hu hamesha
yeh to mohabbat ne sar jhukana seekha diya Romil
warna magruur raha hu hamesha...
[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, April 4, 2010

Hamare liye naqaab...

Hamare liye naqaab kar lete hai woh
zamane bhar se be-naqaab milte hai woh...
***
Naam badalne walon se shikayat kaisi
pal bhar mein to kapdon ki tarah emaan badal lete hai woh...
***
Apna mat kehna usko warna tu pachtayega
apna bana kar loot lete hai woh...
***
Na karo itni mohabbat tujhe Rab ka wasta deta hu
sar jhukane wale ka sar qalam kar dete hai woh...
***
Jinko tum apni nazron mein basa kar rakhate ho Romil
Apne paav ki juuti, garibon ki izzat ko samajhate hai woh... 
[written by romil arora - copyright reserved]

ek diwane ko...

jitne mooh hoti rahe apni utani baatein Romil
paagal bana kar rakh diya ek diwane ko...
***
chaha hi kya tha is zamane se waafa ke siwa
har nazar ne paagal samjha is diwane ko...
****
woh baar-baar badalte rahe apna naam, bewafai ke saath
hum jab apna diya naam pukare to log paagal samjhe is diwane ko...
***
zamana puchata hain humse is duniya main kya dekha
hum kehte hain mehboob main rabb
to paagal samjhe is diwane ko...
[written by Romil Arora - copyright reserved]