Saturday, May 8, 2010

Bade yaad aate hai tere janaze ke phool...

Bade yaad aate hai tere janaze ke phool

meri majbooriyon ke phool
teri berukhi ke phool...
*
Har koi dekhata hai mujhe hairat se
lagta hai tumne aasmaan mein fhela diye hai
hamari mohabbat ki phool...
*
Udhar tum bhi bechain
idhar hum bhi bechain
charon taraf fhele hai apni beqarari ke phool...
*
Suukh gaye hai, kaho kisse kahe
aaj bhi kitabon mein rakkhe hai 
tujhe dene ko phool...
*
Guzar gaya woh zamana Romil
jab hum bhi diwana hua karte the
dil se lagaye rehte the tere likhe khaton ke phool...
*
Bade yaad aate hai tere janaze ke phool
meri majbooriyon ke phool
teri berukhi ke phool...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, May 5, 2010

chahe mausam toofano...

chahe mausam toofano ka kyon na ho

parinde kabhi be-ghar nahi dekhe jaate...
*
woh humse mohabbat na kare
yeh unki marzi hain
unki zulfein kisi ajnabi ki shano main nahi dekhe jaate...

kasoor

kasoor yeh tha ki humko roshani se mohabbat thi...
saaza yeh mili ki
ta-umar rehna pada andheron mein...

#Romil

कसूर यह था कि हमको रोशनी से मुहब्बत थी...
सज़ा यह मिली की
ता-उम्र रहना पड़ा अँधेरों में...

#रोमिल

Tuesday, May 4, 2010

Shauk tha

Usko mera saaya banne ka shauk tha

Aur mera shauk uske saath chalne ka tha
Woh yeh baat janta nahi tha
Badan se Chaar Kadam Aagey Saaye Chalte hain...

Badan se Chaar Kadam Aagey Saaye Chalte hain...
[inspired...written by romil arora - copyright reserved]

irada nahi...

hum lakh bure hain, bure hi sahi

aacha banne ka koiye irada nahi...
*
haaton par zakhm padh chuke hain itne
ab kisi se haath milane ka irada nahi...
*
raaste chahe jitne bhi muskil kyon na ho
apna qadam peeche hatane ka irada nahi...
*
unki berukhi chahe umarbhar rahe humse
hum unko bhool jaye, aisa apna irada nahi...
[INSPIRED... WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Saturday, May 1, 2010

kabhi-kabhi

kabhi-kabhi woh ajnabi sa lagta hain
hain apna, fhir bhi paraya sa lagta hain...
mujhse apna rishta toodh laine wale
tera naam ab bhi mujhse juda-juda sa lagta hain...
***
chahe jitni bhi dhak lo apna chehara 
naaqab unpar nahi jachata
jo chehara chupane ka hunar rakhata hain...
***
main tujhe bewafa bhi keh nahi sakta
mohabbat main mehboob ko khuda kehne wala bhi kuch usool rakhata hain...
[written by romil arora - copyright reserved]