Wednesday, May 12, 2010

Unki berukhi se pata chali yeh baat...

Unki berukhi se pata chali yeh baat Romil,
Woh hamari baaton ko dil se bhi lagaya karte hai...

Tuesday, May 11, 2010

NAAZ...

NAAZ... MERE TOOTE HUE GHAR MAIN AB BHI IMAAN KA SAMAAN HAIN...

TERI QASAM
AB BHI QURAN HAIN...
*
Us rabb ko manana bahut mushkil hain

Na jaane kaun-kaun se jatan karne padate hain...




Par meri NaaZ ko manana bahut aasan hain
"Sajade main sar jhukao
Dil se usko bulao
Bas thoda sa tum muskurao
Aankhon se uske naam ko lagao..."

phool rastee par bikhare hue nahi dekhe jaate...

phool rastee par bikhare hue nahi dekhe jaate
tere aankhon mein samundar nahi dekhe jaate...
*
kuch baat to jarur hai jo tum baat nahi karti
warna doston ki mehfil mein dushman nahi dekhe jaate...
*
saalon beet gaye hai
uski ek bhi khabar nahi mili Romil
kya juda hone ke baad
haalchal bhi nahi liye jaate...

#romil arora

Monday, May 10, 2010

ROSHANI CHHOD JAYUNGA...

AAYE KHUDA
FHARISTEY ZAMANE MEIN BAHUT AA CHUKE
KAHI SE KOI INSAAN BHEJ DE...
*
MAIN TERI MEHFIL MEIN KUCH IS TARAH ASAR CHHOD JAYUNGA
CHIRAG HU
BHUJA BHI DIYA GAYA TO ROSHANI CHHOD JAYUNGA...
*

Sunday, May 9, 2010

KAANCH

Kaun hota hain kiska is zamane main Romil

KAANCH sa rishta hain pal bhar main tooth jayega...
______
Mujhko rehne do apni tanhai-e-duniya main
Jo bikhar chuka hain woh na fhir judh payega...

Waqt khamosh hain uske jaane ke baad
Ab waqt aayega to toofan saath layega...

Is tarah toota ki khanak chod gaya Romil
Na jaane yeh KAANCH KA RISHTAA kab tak dil se lahoo bahayega...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, May 8, 2010

yaad hain woh beetein hue pal...

yaad hain woh beetein hue pal...
subah-shaam tere saath betaiye pal...
***
rickshaw se tera school aana
woh mera cycle se tera peecha karna...

woh chalte-chalte school ki seediyoon main
sandal ka tera tooth jaana
woh baagh kar mera tere pass aana...
woh tera dena... sweet si smile...

yaad hain woh beetein hue pal...

subah-shaam tere saath betaiye pal...
***
gira hua rumaal tera pakar
haawan main paagalon sa udana
tujhe dekhkar fhir
chupke se usko apne peeche chupana...

woh haaton main likhana tera-mera naam
usko baar-baar hooton se chupama...

tere daddy ka mujhpar gussa karna
teri mummy ka pyar se khana khilana

yaad hain woh beetein hue pal...

subah-shaam tere saath betaiye pal...
***
woh darte-darte tujhko gulab dena
woh tera laine se inkaar karna

udaas hokar mera cycle stand par baithana
woh tera kitab main chupake se love letter dena...

meri pasand ki frock pehanna
woh kehna teacher se school dress shukhi nahi aaj...

yaad hain woh beetein hue pal...
subah-shaam tere saath betaiye pal...
[inspired...written by romil aror a- copyright reserved]

Jo baat marane ki

Jo baat marane ki karta hain Romil
Usse keh do pehle jeene ka saleka to seekhe...