Sunday, August 11, 2013

EID KE DIN BHI INTEZAAR SA RAHA

EID KE DIN BHI INTEZAAR SA RAHA
DIL MEIN BAS KHAYAL USKE DEEDAR KA RAHA.

MEHANDI SE SAJI HATHELI
PAIRON MEIN PAJEB
SAFED SITARON WALA SALWAR-SUIT
GOTEDAR DUPATTA
NAZARON MEIN EK KHOOBSURAT SA KHAWAB TAJMAHAL SA RAHA.

KAR DIYE SARE QATAL MERE ARMANO KE
FIR BHI NA JAANE KYON ROOH KO USPAR AITBAAR SA RAHA.

WOH MERI THI, MERI HAI AUR MERI HI RAHEGI
YAHI JAWAB, UMAR BHAR SAWAL SA RAHA.

- SULTAN

Friday, August 9, 2013

chalo purani kitab ko ek baar palat kar dekh lete hai

chalo purani kitab ko ek baar palat kar dekh lete hai
kahi koi panna padne se to nahi choot gaya hai.

nadi mein tairati hui laash mujhe yeh samjha gayi
kyon woh shaks ishq mein dubne se darr gaya hai.

woh accha hai ya bura hai
bas saathi is janam ka hai
kahan hai woh pyar jo saath upper aasman tak gaya hai.

aur

38 saal ki umar ho gai hai
fir bhi lagta hai jaise mujhmein abhi bahut sa bachpan reh gaya hai.

#Romil

चलो पुरानी किताब को एक बार पलट कर देख लेते हैं
कहीं कोई पन्ना पढ़ने से तो नहीं छूट गया है.

नदी में तैरती हुई लाश मुझे यह समझा गई 
क्यों वो शख्स इश्क में डूबने से डर गया है.

वो अच्छा है या बुरा है 
बस साथी इस जन्म का है 
कहां है वो प्यार जो साथ ऊपर आसमां तक गया है. 

और 

38 साल की उम्र हो गई है 
फिर भी लगता है जैसे मुझमें अभी 
बहुत सा बचपन रह गया है. 

#रोमिल

kuch aise hi...

kuch tarikhein
bachpan mein lagi choot ki tarah hoti hai
umar ke saath, gaav bhar jaate hai
magar nishani nahi jati hai.
****

log sach hi kehte hai Romil
tum apni bezhati
dusaron ka ehsaan
aur
apne maa-baap ko kabhi nahi bhulate.
****

itne saalon ki meri aashiqui mein fark bas itna sa pada hai
pehle use main apni mohabbat mein yaad karta tha
aaj use main apni nafraton mein yaad karta hoon.
****

sirf juban hi nahi leti naam tera
saansein bhi padti hai paigam tera
bina tujhe dekhe
bina tujhe chuye
meri rooh ko ek sukun sa rehta hai 
khuda se kam nahi hai meri zindagi mein auda tera. 

#romil raj

Tuesday, August 6, 2013

Iski baaton mein hai itni mishari bhari

Iski baaton mein hai itni mishari bhari
Dekhana Romil, ise ek din khuda ka farista le jayega.

Maut to aayegi aur chali jayegi
Magar iska naam kitabon mein reh jayega.

Salam likho 
Bas Salam likho aur bhej do khat
Romil, Padane wala khud khat ka mazmoon samaj jayega. 

aur

Shaadishuda ho tum,
Kisi gair ki amanat ho tum, 
Mera naam na liya karo
Warna yeh mohabbat ka samundar tumko ek din tabah kar jayega.

#Romil Arora

jab bhi rona to behisab rona

jab bhi rona to behisab rona
kabhi taqdeer ko
kabhi khuda ko
to kabhi sanam ko de ilzaam rona.

logon ko parvah nahi hai kisi ke aansuyon ki
jab bhi rona
khuda ke saamne
khude ke darbar mein rona.

tere diwane hai itna to hum bhi haq rakhte hai
hatheli par goad kar tera naam chumana, fir rona.

aaj bhi yaad hai mujhe bachpan ka woh kissa
bichadte hue Romil tera, mere seene se lag kar rona. 

#Romil

जब भी रोना तो बेहिसाब रोना 
कभी तकदीर को 
कभी खुदा को 
तो कभी सनम को दे इल्ज़ाम रोना 

लोगों को परवाह नहीं है किसी के 
आंसुओं की 
जब भी रोना 
खुदा के सामने 
खुद के दरबार में रोना 

तेरे दीवाने हैं इतना तो हम भी हक रखते हैं 
हथेली पर गोदकर तेरा नाम 
चूमना, फिर रोना 

आज भी याद है मुझे बचपन का वह किस्सा 
बिछड़ते हुए रोमिल तेरा, मेरे सीने से लगकर रोना

#रोमिल

Saturday, August 3, 2013

aaj apne janamdin par, bigad baitha woh bhagwan par

aaj apne janamdin par
bigad baitha woh bhagwan par

bola...

muft mein baithe ladoo khate ho
aur mere kisi kaam bhi nahi aate ho.

yeh phoolon ki mala, 20/- rupiya ki ho gai hai
dhoop-agarbatti par bhi mehangai ki chadar chhad gai hai
yeh dekh kar bhi kuch rupiya kamane ka jugad nahi batate ho.
muft mein baithe ladoo khate ho...

mandir aane-jaane mein waqt lagta hai
auto wala bhi man-mafik kiraya wasool karta hai
meri pareshaniyon-dikkaton ko tum suljha nahi paate ho.
muft mein baithe ladoo khate ho...

apne liye to badiya AC lagwaye hue ho
hum bhakton ke liye ek fan bhi nahi chalwate ho
muft mein baithe ladoo khate ho...

aur kya kahon tumse
kehte-kehte thak chuka hoon
na tum sunate ho
aur
na Romil tum kehne se baaz aate ho...

muft mein baithe ladoo khate ho...
aur mere kisi kaam bhi nahi aate ho...

#Romil

आज अपने जन्मदिन पर 
बिगड़ बैठा वो भगवान पर... 

बोला... 

मुफ्त में बैठे लड्डू खाते हो 
और मेरे किसी काम भी नहीं आते हो 

यह फूलों की माला ₹20 की हो गई है 
धूप-अगरबत्ती पर भी महंगाई की चादर चढ़ गई है 
यह देखकर भी कुछ रुपया कमाने का जुगाड़ नहीं बताते हो 
मुफ्त में बैठे लड्डू खाते हो 

मंदिर आने-जाने में वक्त लगता है 
ऑटो वाला भी मन-माफिक किराया वसूल करता है 
मेरी परेशानियों-दिक्कतों को तुम सुलझा नहीं पाते हो...
मुफ्त में बैठे लड्डू खाते हो... 

अपने लिए तो बढ़िया एसी लगवाए हुए हो 
हम भक्तों के लिए एक पंखा भी नहीं चलवाते हो 
मुफ्त में बैठे लड्डू खाते हो...

और क्या कहूं तुमसे 
कहते-कहते थक चुका हूं 
ना तुम सुनते हो 
और 
ना रोमिल तुम कहने से बाज़ आते हो...

मुफ्त में बैठे लड्डू खाते हो 
और मेरे किसी काम भी नहीं आते हो...

#रोमिल

Thursday, August 1, 2013

Bas dil ki suno aur milane chale aao

Romil, Bas dil ki suno aur milne chale aao
Rishta banne ke intezaar mein rahoge to sadiyaan beet jayengi.

***
Romil, yeh ajeeb dooriyon se rishta banta ja raha hai
woh shaks utna hi kareeb hota hai, jitna woh dur hota ja raha hai.