Wednesday, August 21, 2013

Ishq ka ab woh zamana nahi raha

Ishq ka ab woh zamana nahi raha 
Woh hai mera magar diwana nahi raha
*
Uske khokhalepan ko zaara gaur se dekho
Nazaron mein ab woh ishq-e-dariya nahi raha
*
Yeh kisne cheen li muskaan-e-baarish usse
Khushiyon mein bhi sukun-e-chain nahi raha
*
Romil, Meri zubaan pe shikwa-e-sanam-e-sitam tha, hai aur hamesha rahega
Nazdikiyan chahe jitni bhi badh jaye magar woh junoon-e-ishq nahi raha.

#Romil

इश्क का अब वो जमाना नहीं रहा 
वो है मेरा मगर दीवाना नहीं रहा 

उसके खोखलेपन को जरा गौर से देखो 
नजरों में अब वो इश्क-ए-दरिया नहीं रहा 

यह किसने छीन ली मुस्कान-ए-बारिश उससे 
खुशियों में भी सुकून-ए-चैन नहीं रहा 

रोमिल, मेरी जुबान पे शिकवा-ए-सनम-ए-सितम था, है और हमेशा रहेगा 
नजदीकियां चाहे जितनी भी बढ़ जाए मगर वो जुनून-ए-इश्क नहीं रहा.

#रोमिल

Purani hi sahi, magar tasveer sacchi hai

Purani hi sahi, magar tasveer sacchi hai
Shayad yeh bhai-behan ko fir bachpan ke dino ki yaad dilaye.

Maa ki shawl hai ise sambhal kar rakho
Shayad yeh thandak ke dino mein maa ki goad ka ehsaas dilaye.

aur

Mat fhado in khaton ko Romil
Shayad yeh ishq mein fir rulane ke kaam aaye.

aur

Is dupatte, Is salwar-suit, Is saree ko mat fhekana tum Romil
Shayad yeh aajkal ki haseenao ko bhartiyein tehzeeb, bhartiyein sanskar seekhaye.

#Romil Arora

Tuesday, August 20, 2013

Bas itni si dua karo...

Romil, bas itni si dua karo ki umeed na toote meri
hokar majboor dil se baahon mein aakar gire woh meri 
Keemat chahe fir jo ho...

Sunday, August 18, 2013

Beta, Chidiyon se jeevan-kala seekho.

Maa kehti thi...

Beta, Chidiyon se jeevan-kala seekho
Bhor mein, Suraj se pehle jaagna seekho
Har pal chechahate-gungunate rehna seekho
Din bhar mehnat karna - ucchai par udna seekho
Jhund mein rehna - Sabke saath milkar kaam karna seekho
Sandhiya hote hi, waqt se ghar laut aana seekho
Khud apne liye ghosala banana seekho
Apne bacchon ko dana-roti kheelana seekho
Waqt se so jaana seekho...

Beta, Chidiyon se jeevan-kala seekho.

#Romil Raj

Thursday, August 15, 2013

Main taqdeer ko aajmana chahta hoon

Main taqdeer ko aajmana chahta hoon
Fir ishq ki bimari chahta hoon

Dube hue jahaaz se kya wasta
Main ab nai kashti ki sawari chahta hoon

Halaki door tha magar rooh-e-sukun sa tha
Main fir waisa hi mehboob, dost chahta hoon

aur

Romil, nahi chahiye yeh saagar, yeh nadi, yeh jharane
Main ek muddat se moksh ka pyasa hoon, ganga ki boondh chahta hoon.

Monday, August 12, 2013

Chand ki bewafai dekar kar

Dekh kar chand ki bewafai
Kisi roz chakor ne mara hoga uske haseen chehare par pathar
Isliye to Romil, Chand ke chehare par daag nazar aata hai.

#Romil

देखकर चाँद की बेवफाई
किसी रोज चकोर ने मारा होगा उसके हसीन चेहरे पर पत्थर
इसलिए तो रोमिल, चाँद के चेहरे पर दाग नज़र आता है...

#रोमिल

Sunday, August 11, 2013

INTEZAAR DIL KO EID KE DIN KA REHTA HAI

INTEZAAR DIL KO EID KE DIN KA REHTA HAI
ISI BAHANE HI USE GALE LAGAYENGE YEH KHAWAB SA REHTA HAI.

KAISE MEHFUZ RAKHOGI KHUD KO GHAR MEIN
PATA BHAWARON KO HAR PHOOL KA REHTA HAI.

KIS-KIS KO BHARA HAI TUMNE APNI BAAHON MEIN
KAHAN HISAAB JAWANI KE DINO KA REHTA HAI.

AUR

SHAYARI TO SABHI KAR LETE HAI AAJ-KAL MIYA
KAHAN ROMIL, SABKE DILON MEIN WOH DARD, 
JUBAN MEIN WOH LEHZA REHTA HAI.