Saturday, March 31, 2018

Sar chaddkar mohabbat ka asar bolta hai

Sar chaddkar mohabbat ka asar bolta hai...
Jab apne seene mein mehboob ka dil bolta hai.. 

Tum lakh kar lo parda...
Sach to tumhari nazaron se bolta hai...

Aksar milte ho baat nahi karte ho...
Lub khamosh rehte hai par jism bolta hai...

aur

Main sirf qatil hun, gunehgar nahi...
Uska yeh zameer roz usse bolta hai...

31st March

- RaJ 

Tasveer teri fhat jaati hai...

Mere ashkon mein teri tasveer utar aati hai...
Jitna bhi chupana chaho Ishq ki khushbu fhal jaati hai...

aur

Hum tummein aur Teri tasveer mein koi fark nahi samajhate hai...
Jab-Jab teri bewafai yaad aati hai...
Tasveer teri fhat jaati hai...

31st March...

-RaJ 

Jalandhar wali Mai...

31st March

Kahi ho na jag hasai, mujhe apne dar pe rakh lo...
Mujhe apne rang mein rang lo...
Main tere dar pe aa gaya hun...

Sajde mein Sar rakha hai...
Jholi fhela rakhi hai...
Tere deedar ko aa gaya hun...

Jalandhar wali Mai...
Teri Jai Ho...

- RaJ 

Bas GuNn ke Ishq ka maara hai

31st March...

Bas GuNn ke Ishq ka maara hai...
Yeh bechara nahi aur kisi vipadha ka maara hai...

-RaJ

Friday, March 30, 2018

Parinda awaal darje ka maine paya...

Yeh baithe-baithe kahan kho gaye ho tum... 
Kaun sa gunah yaad aaya...
Jo tumko Khuda yaad aaya...

Bade arse se yeh kahi chupa pada tha... 
Aaj yeh aansoo dhulak aaya... 

Aag apne hi lagate hai zindagi mein... 
Hawan dene ka kaam gairon ke hisse aaya...

aur

Muddaton baad koi shaks mila hai apne sa...
Jise maine khud se Shikayat karte hue hai paya... 

Giraft mein uski chuthkar woh fhurr se uda gaya... 
Parinda awaal darje ka maine paya...

aur

Hazaron aaine tootkar bikhar gaye... 
Magar woh sach na bola...
Ik shaks maine bhi bada fankar paya...

- Romil RaJ

Main zinda hun magar jism ke makaan mein nahi hun..

Ghar mein hun magar aabad nahi hun... 
Main zinda hun magar jism ke makaan mein nahi hun... 

aur

Uthao apni hari-gulabi pattiyon ki numaish... 
Darwaza khula hua hai bahar... 
Main insaan hun koi bika hua samaan nahi hun... 

- Romil RaJ

Pani ke katre nahi sirf...

Pani ke katre nahi sirf...
Ismein lahu ka rang bhi shamil ho...
Mohabbat ho ya fir Jung ho sab kuch jaeez ho...

Jalo to is tarah Jalo...
Mohabbat mein jalo to is tarah jalo...
Ki dhua bhi na ho...

Siyasat aisi karo...
Mohabbat mein Siyasat aisi karo...
Jiska main chahane wala hun, uska koi aur qadrdaan na ho...

Junoon usko haasil karne ka rakho...
Jiske chaaron tarah deewar hi deewar ho...

aur

Zamane se keh do...
Qais abhi tak zinda hai...
Tum haaton mein pathar taiyaar rakho...

Laila...Qais ki hokar hi maregi...
Aye Khuda... Apne fariston se keh do thoda sa abhi shabr karo...

- Romil RaJ