Monday, April 2, 2018

Tu mere haaton ki lakeron mein nahi...

Tu mere haaton ki lakeron mein nahi...
Mere naseeb mein nahi... Qismat mein nahi...

Par...

Tu mere chehre ki parchai mein to hai...
Tu meri juban ke shabdon mein to hai...

#Romil

तू मेरे हाथों की लकीरों में नहीं... 
मेरे नसीब में नहीं... किस्मत में नहीं... 

पर 

तू मेरे चेहरे की परछाई में तो है...
तू मेरी जुबान के शब्दों में तो है... 

#रोमिल

Maut to waqt pe hi aayegi...

Maut to waqt pe hi aayegi...
Usse pehle teri bewafai mujhe nigal jayegi...

aur

Yeh Deep apni dhun mein Jal raha hai...
Ise jalne do...
Jab andherein qareeb honge tab ise apni qeemat samajh aayegi...

- Sun

Bandishe do tarah ki hoti hai...

Ammi kehti thi...

Bandishe do tarah ki hoti hai...

Ik insaan ko bigaad deti hai...
Dusari insaan ko sawaar deti hai...

04th April

#Romil Arora

Sunday, April 1, 2018

Gar hum udne ke liye pankh dete hai to...

4th April... Maa ka Birthday...

Ammi kehti thi...

Gar hum udne ke liye pankh dete hai to...
Pankh katarna bhi jante hai...

Humko kamzor aakna tumhari galatfehmi sabit hogi...
Hum khandani log hai...
Isliye apna mizaz nurm rakhte hai...

aur

Bachane aayenge Faristee unko...
Jo apne ghar mein Quran rakhte hai...

#Romil Raj

Shor wale juban pe lagaam bhi rakhte hai...

Sagar se keh do...
Shor wale juban pe lagaam bhi rakhte hai...

Apni gehrai pe itna mat itrao...
Hum Sagar ko khangalne ka hunar rakhte hai...

aur

Sahil se milkar yeh lehrein palat jaati hai...
Yeh log ab bhi Sagar par aetbaar rakhate hai...

aur

Humko dunai-e-ajab se kya lena-dena
Hum Bande-e-Khuda hai...
Khuda se kaam rakhate hai...

#Romil

सागर से कह दो... 
शोर वाले जुबान पे लगाम भी रखते हैं... 

अपनी गहराई पे इतना मत इतराओ...
हम सागर को खंगालने का हुनर रखते हैं... 

और 

साहिल से मिलकर यह लहरें पलट जाती हैं 
यह लोग अब भी सागर पर एतबार रखते हैं 

और 

हमको दुनिया-ए-अजब से क्या लेना-देना 
हम बंदे-ए-खुदा हैं... 
खुदा से काम रखते हैं... 

#रोमिल

Kaha gaya guzaar do zindagi uske saath to guzaar di...

Humne kabhi kisi se Sikayat nahi ki...
Bas yahi Galti umarbhar ki...

Kaha gaya guzaar do zindagi uske saath to guzaar di...
Kabhi khud ki khawaish jahir nahi ki...

Khilati hai...
Pilati hai...
Fir Halal karti hai...
Tangein fhelati hai... Kehti hai pyar karti hai...
Jism diya use magar kabhi Rooh se usse mohabbat nahi ki...

aur

Utar jayenge kai sareefjaado ke naqaab...
Humne khamosiyon ki parat jo utar di...

#Romil Arora

Rab... Sar dekh kar Sardari deta hai...

Rab... Sar dekh kar Sardari deta hai...

RadhaSoami