Tuesday, March 31, 2009

mohabbat marti nahi kabhi...

judai ki raat chahe jitni bhi baadi kyon na ho
mohabbat marti nahi kabhi...
~*~
dard, gum chahe jitna bhi mila ho
mohabbat marti nahi kabhi...
~*~
chahe yeh kaynat khatam ho jaye
chahe yeh suraj fir na uge
chahe yeh chand doob jaye
mohabbat marti nahi kabhi...

#Romil

जुदाई की रात चाहे जितनी भी बड़ी क्यों ना हो 
मोहब्बत मरती नहीं कभी... 

दर्द, ग़म चाहे जितना भी मिला हो 
मोहब्बत मरती नहीं कभी... 

चाहे यह कायनात ख़त्म हो जाये
चाहे यह सूरज फिर ना उगे 
चाहे यह चाँद डूब जाये 
मोहब्बत मरती नहीं कभी...

#रोमिल

Monday, March 30, 2009

yaad teri marham lekar aati hain...

bahut muskil hai intezaar ka safar
yaad teri marham lekar aati hai...
~*~
aansoo behte rehte hai mere, teri judai mein
yaad teri marham lekar aati hai...
~*~

baithe-baithe udasi ke mahool mein bhi muskura deta hoon
yaad teri marham lekar aati hai...
~*~
ittefaq se jo aa jaye kabhi chand mere andhere ghar mein
yaad teri marham lekar aati hai...

#Romil

बहुत मुश्किल है इंतजार का सफर 
याद तेरी मरहम लेकर आती है... 

आंसू बहते रहते हैं मेरे, तेरी जुदाई में 
याद तेरी मरहम लेकर आती है...

बैठे-बैठे उदासी के माहौल में भी मुस्कुरा देता हूं 
याद तेरी मरहम लेकर आती है...

इत्तेफाक से जो आ जाए कभी चांद मेरे अंधेरे घर में 
याद तेरी मरहम लेकर आती है...

#रोमिल

pal-pal, har pal...

har ek saans ke saath tujhse milane ki umeed badati jaati hain
pal-pal, har pal yeh mohabbat badati jaati hain...
~*~
chand ko dekhata hu to tera chehara yaad aane lagata hain
pal-pal, har pal tujhe dekhane ki umeed badati jaati hain...
~*~
barsat ka paani jab mere badan par padata hain tujhse lipatane ki chah badati jaati hain
pal-pal, har pal yeh beqarari badati jaati hain...
~*~
ban jayunga musafir teri manzil paane ke liye
pal-pal, har pal yeh aarzoo badati jaati hain....
[written by romil arora - copyright reserved]

izhaar-e-mohabbat

kitna dilchasp izhaar-e-mohabbat apna tha
woh to kareeb nahi the
isliye allah se kar daite the...
[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, March 29, 2009

GHAR - ek khawab

GHAR - ek khawab
"pyar ke bhandhan main bhandha ghar, chota sa hona chahiye...
jisme subah-subah puja aarti ki aawaz poore ghar main sunaiye daine chahiye...
jab rasoi main khana bane to uski mehak bahar ke gate tak aane chahiye...
living room main chal rahe tv ki aawaz study room tak sunaiye daine chahiye...
jab bhi koiye samaan ghar ke liye kharedana ho, usse pehle ghar main jagah banaiye jaane chahiye...
parivar main koiye bhi gum aur khushi ko chupa kar na rakh paye, ghar main itne kamare nahi hone chaiye..."
[written by romil arora - copyright reserved]

dushman bana baithe...

tumse wafa karte karte
doston ko dushman bana baithe
~*~
rait par naam tumhara likhte-likhte
hawa ko dushman bana baithe
~*~
teri judai mein tumko yaad karte-karte
khud ko apna dushman bana baithe...

#Romil

तुमसे वफा करते-करते 
दोस्तों को दुश्मन बना बैठे... 

रेत पर नाम तुम्हारा लिखते-लिखते 
हवा को दुश्मन बना बैठे... 

तेरी जुदाई में तुमको याद करते-करते 
खुद को अपना दुश्मन बना बैठे...

#रोमिल

khat ...

kehte fhirte ho bhool gaya hu main usko Romil,
raat mein, chiragon mein 
chup-chup kar jo khat padte rehte ho woh kiske hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

vaada...

tere jhoote vaade ke badolat hi to aaj tak zinda hai
gar tera vaada saccha hota to khushi se marr nahi jaate...

#Romil

तेरे झूठे वादे के बदौलत की तो आज तक जिंदा है 
ग़र तेरा वादा सच्चा होता तो खुशी से मर नहीं जाते हैं... 

#रोमिल

Saturday, March 28, 2009

dil se


dialouge...

mohabbat, pyar, ishq, imandari, waafadari, namak haalal... yeh sab baatein 70 mm parde par aachi lagti hain... duniya-daari main nahi... yahan par to keval do hi baat chalti hain ek rupiya dusari jism...
[written by romil - copyright reserved]

bhool gaye...

muskurakar milne ka saleeka hum bhool gaye
tum kya gaye zindagi se hum zindagi jeene ka saleeka bhool gaye...
patjhad hi patjhad hai mere jeevan mein
hum baharon ka mausam bhool gaye...
teri galiyon mein aana hamara kuch is tarah hua
hum apne ghar ka rasta bhool gaye...

#Romil

मुस्कुराकर मिलने का तरीका भूल गए 
तुम क्या गए जिंदगी से हम जिंदगी जीने का तरीका भूल गए...
पतझड़ ही पतझड़ है मेरे जीवन में 
हम बहारों का मौसम भूल गए... 
तेरी गलियों में आना हमारा कुछ इस तरह हुआ 
हम अपने घर का रास्ता भूल गए...

#रोमिल

ijazat de do...

teri kabr par main apni duniya basa lu ijazat de do...
aapne aansuon se usko saaza du ijazat de do...
~
mujhe qaid kar lo apni rooh mein
yeh zindagi tujh par loota du ijazat de do...
~
nahi shauk raha ab mujhe jeene ka
teri kabr ke saath apni kabr bana lu ijazat de do...

#Romil

तेरी कब्र पर मैं अपनी दुनिया बसा लूं इजाजत दे दो... 
अपने आंसुओं से उसकी सजा दूं इजाजत दे दो... 

मुझे कैद कर लो अपनी रूह में 
यह जिंदगी तुझपर लुटा दूं इजाजत दे दो... 

नहीं शौक रहा अब मुझे जीने का 
तेरी कब्र के साथ अपनी कब्र बना लूं इजाजत दे दो...

#रोमिल

Friday, March 27, 2009

bewafai...

jab koi puchata hai uske baare mein
main haans kar baat taal deta hu Romil
magar aankhen uski bewafai ki dastaan suna deti hai...

#Romil

जब कोई पूछता है उसके बारे में 
मैं हंसकर बात ताल देता हूं रोमिल 
मगर आंखें उसकी बेवफाई की दास्तान सुना देती है...

#रोमिल

Thursday, March 26, 2009

~khud se rubaru~ ~sach se rubaru~

humne hamesha uspar aitbaar kiya...bina dekhe usse pyar kiya...magar usne ek baar bhi humpar aitbaar nahi kiya...
"humne nikal kar rakh di, jaan unke samne Romil
magar woh bole, yeh kafi nahi aitbaar-e-mohabbat ke liye"

humne hamesha uski har baat par aitbaar kiya...usne jhoot bhi bola tab bhi aitbaar kiya...magar usne ek baar bhi humpar aitbaar nahi kiya...
"usse jo jhoot bolane ki aadat padh gaye hain Romil,
kasoor mera tha jo uski har baat par aitbaar kar leta tha"
woh humko apna rabb kehti thi...magar ek baar bhi apne rabb se nahi milana chah...aur hum hamesha usse milane ke liye betaab rahe...
"main sochata tha woh shaks mujhe phool samajhata hain Romil
magar woh mujhe kaanta samaj kar pass na aaya kabhi"
usne kahan hum maut ke daaman main hain...fhir bhi humne uska saath nahi choda...maut ke safar main bhi uska haath pakade rahe, nahi choda...magar jab hamara accident hua, tab woh insaan ek baar bhi humse hamara haal bhi nahi puchane aaya...
"woh humko bewafa kehta hain Romil
zaara unse koiye waafa ka matlab to puche"
humne har kadam par uska saath daine ki poori koshish ki...uska har dukh apna maana...uske har dukh main hum rooye...magar aaj hum khush hain to unke parivar wale yeh keh rahe hain ki hum khush kyon nahi....kyon jee rahe hain apni zindagi....kya kiya uske parivar waalon ne kabhi hamare dukh-dard ke liye jo aaj woh hamari khushi par aitraaz kar rahe hain....
"jab unki judai main hum footh-footh kar roye to kisi ne dekha nahi Romil
aaj unki baanton ko yaad kar-karke muskura rahe hain to gunehgaar ho gaye"
kasoor kissa tha romil...yeh main nahi keh sakta...magar hum itna jante hain ki hamara kasoor bilkul nahi tha...bilkul nahi tha...
"yeh kehna bahut mushkil hain ki kasoor kiska tha Romil
mera ya uska...
magar itna janta hu ki dono ne zindagi khoye hain...
ek ne maut paaye hain to ek ne tanhai paaye hain..."

[written by romil arora - copyright reserved]

chala gaya...

mere har khawab woh todkar chala gaya
mujhe gum ke andhere mein tanha chodkar chala gaya
main karta raha hamesha uska intezaar mohabbat-e-sagar mein
woh mujhe toofan mein akela chodkar chala gaya...

#Romil

मेरे हर ख़्वाब वो तोड़कर चला गया
मुझे ग़म के अँधेरे में तन्हा छोड़कर चला गया
मैं करता रहा हमेशा उसका इंतेज़ार मुहब्बत-ए-सागर में
वो मुझे तूफान में अकेला छोड़कर चला गया...

#रोमिल

sannata...

itna sannata kabhi nahi tha mere aas-pass romil
jo aaj uske jaane ke baad hai... 

#Romil

इतना सन्नाटा कभी नही था मेरे आस-पास रोमिल
जो आज उसके जाने के बाद है...

#रोमिल

Wednesday, March 25, 2009

woh rab hai...

uske qatil ko dekha nahi kabhi Romil
lekin dil yeh kehta hai ki woh Rab hai...
woh Rab hai... 

#Romil

उसके क़ातिल को देखा नहीं कभी रोमिल...
लेकिन दिल यह कहता है कि वो रब है...
वो रब है...

#रोमिल

talash kar...

rehne de romil, 
ab na kisi ki talash kar 
jo apna tha, woh tanha chhod kar chala gaya 
ab na kisi ki talash kar... 
~ 
har aarzoo poori ho jaati teri 
agar khuda tere saath hota 
rehne de romil, 
ab na khuda ki talash kar... 
~ 
kya kahe kya guzari hai dil par 
zinda rahe bas jhooti muskaan ke saath 
ab na zindagi ki talash kar...

#Romil

रहने दे रोमिल 
अब ना किसी की तलाश कर 
जो अपना था, वो तन्हा छोड़कर चला गया 
अब ना किसी की तलाश कर... 

हर आरजू पूरी हो जाती तेरी 
अगर खुदा तेरे साथ होता 
रहने दे रोमिल 
अब ना खुदा की तलाश कर... 

क्या कहें क्या गुजरी है दिल पर 
जिंदा रहे बस झूठी मुस्कान के साथ 
अब ना जिंदगी की तलाश कर...

#रोमिल

uske deedar ke liye...

uske deedar ke liye dil muddat se beqarar tha

naseeb to nahi the milane ke,

fhir bhi aankhon ko intezaar tha...

***

chor kar raah main akela, chal diya mujhko

main baitha raha rashtee main tanha

mujhe uske laut aane ka yakeen tha...

***

milkar rukhsat bhi na kar saka usko

mere allah ka yeh kaisa insaaf tha...

***

aaj tak yeh nahi samaj paya romil

kyon mere zindagi main, nahi kisi ka pyar tha...

[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, March 24, 2009

Yakeen...

Yakeen nahi hai use teri ibadat par Romil
Jiski zindagi ki dua tu har roz Khuda se mangata hai!

#Romil

यक़ीन नहीं है उसे तेरी इबादत पर रोमिल
जिसकी ज़िन्दगी की दुआ तू हर रोज ख़ुदा से मांगता हैं...

#रोमिल

marne ke baad...

marne ke baad apni mazaar mere naam likh jana
main use apna aashiyana bana lunga...

#Romil

मरने के बाद अपनी मजार मेरे नाम लिख जाना 
मैं उसे अपना आशियाना बना लूंगा... 

#रोमिल

dua-e-umar

apne rabb se main fhir maang raha hu uski dua-e-umar

jisne mujhe mohabbat sheekhaye thi...

jisne mujhe bandagi sheekhaye thi...

[written by romil arora - copyright reserved]

dua kar raha hu...

tere har aarzoo main puri kar raha hu

tere sang apna naam fhir likh raha hu!

~*~

muddat hue tujhe apna kahe hue

le mere humdum aaj main tujhe apna likh raha hu!

~*~

nahi tha naseeb main tu mera, is baat ka khuda se koiye gila nahi

tu bas hamesha khush rahe, yeh fariyaad kar raha hu!

~*~

zindagi jee-jee kar bhi roz main maara ja raha hu

tujhe sau saalon ki umar lage yeh dua kar raha hu!

[written by romil arora - copyright reserved]

mubarak ho tujhe...

naye zindagi
naya safar
mubarak ho tujhe...
zamane ki har khushi mubarak ho tujhe...
~*~
kaanton ki seej ho mere liye
phoolon ka palang mubarak ho tujhe...
~*~
hum mil jaye mitti main
aasman ki uchahaiyoon mubarak ho tujhe...
~*~
naye zindagi,
naya safar
mubarak ho tujhe...
zamane ki har khushi mubarak ho tujhe...

[written by romil arora - copyright reserved]

naazar aata hain...

ab to yeh shehar maatam ka shehar naazar aata hain
har taraf chitta jalti ho
har koiye murda naazar aata hain...
~*~
na insaniyat hain kahi
na koiye aapna hain
na kahi khuda naazar aata hain...
~*~
ab to yeh shehar maatam ka shehar naazar aata hain
[written by Romil Arora - copyright reserved]

chal diye tum...

kehte the tere saath zamana jiyenge hum
khud zamane ko chhod kar chal diye tum...
[written by romil - copyright reserved]

Monday, March 23, 2009

dil se...

khuda ne diya tha dil 
humne kisi aur ko apna samajh kar de diya...
woh bewafa nikla
ab khata khud se hui hai
to saza ki shikayat kisse kare...

#Romil

खुदा ने दिया था दिल 
हमने किसी और को अपना समझ कर दे दिया... 
वह बेवफा निकला 
अब ख़ता खुद से हुई है 
तो सजा की शिकायत किससे करें...

#रोमिल

jee karta hai...

aa lautkar aa fir dil lagane ko jee karta hai
fir tere pehlu mein aansoo bahane ko jee karta hai...
~*~
dub chuka hai jo mohabbat ka chand
aa fir use khilane ko jee karta hai...
~*~
bahut mile the mujhe husn wale is shehar mein
teri yaadon ko koi dil se nikal na saka
aa fir unhi yaadon ka shehar basane ko jee karta hai...
~*~
aansoo bahut baha chuka hu teri judai mein
aa kuch pal ab muskurane ko jee karta hai...

#Romil

आ लौटकर आ फिर दिल लगाने को जी करता है 
फिर तेरे पहलू में आंसू बहाने को जी करता है... 

डूब चुका है जो मोहब्बत का चाँद 
आ फिर उसे खिलाने को जी करता है... 

बहुत मिले थे मुझे हुस्न वाले इस शहर में 
तेरी यादों को कोई दिल से निकाल ना सका 
आ फिर उन्हीं यादों का शहर बसाने को जी करता है... 

आँसू बहुत बहा चुका हूँ तेरी जुदाई में 
आ कुछ पल अब मुस्कुराने को जी करता है...

#रोमिल

na dekh itni hasrat se raste ko...

na dekh itni hasrat se raste ko aye Romil
jo chala gaya, woh laut kar nahi aane wala!
[written by Romil Arora - copyright reserved]

aansoo

yeh aansoo nahi samundar hai
ise keval pani ki boondh mat samajhana...varna dubb jaoge!

#Romil

यह आंसू नहीं समुन्दर है 
इसे केवल पानी की बूंद मत समझना... वरना डूब जाओगे...

#रोमिल

Sunday, March 22, 2009

ro pada hoga...

ro pada hoga khuda bhi us samay Romil
jab teri haathon ki lakeeron se use mitaya hoga!

#Romil

रो पड़ा होगा खुदा भी उस समय रोमिल 
जब तेरी हाथों की लकीरों से उसे मिटाया होगा... 

#रोमिल

pyar ki nishani hai...

aapki aankhon mein jo aansoo hai
yeh aansoo nahi pyar ki nishani hai...
~
chehare par jo udasi hai
mehfil mein bhi jo tanhai ka aalam hai
kuch aur nahi
yeh pyar ki nishani hai...
~
apno mein bhi baiganapan lagne lagta hai
jaise har pal kisi ka intezar hai
kuch aur nahi
yeh pyar ki nishani hai...
[written by romil arora-copyright reserved]

woh...

woh mera dost, mera humdum
woh hi mera saaya hai...
~
uski aankhon mein sirf mera chehra hai
woh mera aaina hai...
~
woh hi namaz, woh hi meri dua hai
woh hi mera khuda hai...
~
woh hi ghazal, woh hi shayari
woh hi mera har lafz hai...
~
woh sirf meri mohabbat nahi
woh hi mera sab kuch hai
woh dost hai...
woh dost hai...

#Romil

वो मेरा दोस्त, मेरा हमदम 
वो ही मेरा साया है... 

उसकी आंखों में सिर्फ मेरा चेहरा है 
वो मेरा आईना है... 

वो ही नमाज़, वो ही मेरी दुआ है 
वो ही मेरा खुदा है... 

वो ही गजल, वो ही शायरी 
वो ही मेरा हर लफ्ज़ है...

वो सिर्फ मेरी मोहब्बत नहीं 
वो ही मेरा सब कुछ है 
वो दोस्त है... 
वो दोस्त है... 

#रोमिल

Saturday, March 21, 2009

koi na koi baat to jarur hogi...

koi aise rishte nahi tod deta
koi na koi baat to jarur hogi...
~
koi aise nahi judai ke gum ko seh leta
koi na koi baat to jarur hogi...
~
aansoo bahana koi khel nahi hota
chhup-chhup kar rona koi aasaan nahi hota
koi na koi baat to jarur hogi...
~
sacchi mohabbat ke samne to rab ka bhi dil pighal jata hai
insaan ko mohabbat-e-ehsaas na ho, aisa hargiz nahi hota
koi na koi baat to jarur hogi...
koi na koi baat to jarur hogi...

#Romil

कोई ऐसे रिश्ते नहीं तोड़ देता 
कोई ना कोई बात तो जरूर होगी... 

कोई ऐसे नहीं जुदाई के गम को सह लेता 
कोई ना कोई बात तो जरूर होगी... 

आंसू बहाना कोई खेल नहीं होता 
छुप-छुप कर रोना कोई आसान नहीं होता
कोई ना कोई बात तो जरूर होगी... 

सच्ची मोहब्बत के सामने तो रब का भी दिल पिघल जाता है 
इंसान को मोहब्बत-ए-एहसास ना हो, ऐसा हरगिज़ नहीं होता
कोई ना कोई बात तो जरूर होगी... 
कोई ना कोई बात तो जरूर होगी... 

#रोमिल

kitni hasrat thi...

kitni hasrat thi
tumko apna banane ki
khawab sajane ki
tere sang duniya basane ki...
~*~
aanchal mein tere chup jaye aasman
chand bhi tera deedar kare
kitni hasrat thi
tujhko sajane ki...
~*~
tujhse hi to mere ghar ki pehchan hogi
tu hi to meri aarzoo, mere armaan hogi
kitni hasrat thi
tujhko apna saaya banane ki...
~*~
duniya dekhegi, mohabbat apni
bandagi apni, chahat apni
kitni hasrat thi
tujhko apna rab banane ki...
~*~

kitni hasrat thi
tumko apna banane ki
khawab sajane ki
tere sang duniya basane ki...


[inspired written by romil arora-copyright reserved]

hum kaise....

sab rishtey bikhare hai motiyon ki tarah
hum kis-kis ko sambhal lete...
aansoo gire hai aankh se barsaat ke pani ki tarah
hum kaise usko rok lete...
pucha jo kisi ne kyon udaas hai chehara tera
hum kaise tera naam bata dete...

#Romil

nadaan..

woh fir mujhe barbaad karne aa gaya Romil
hum kitne nadaan hai Khuda ka sukriya kehne lage!

#Romil

वो फिर मुझे बर्बाद करने आ गया रोमिल,
हम कितने नादान है ख़ुदा का शुक्रिया कहने लगे!

#रोमिल

is kadar...

is kadar uski mohabbat ki bediyon mein bandha raha Romil
na uska ho saka, na kisi aur ka.

#Romil

इस कद्र उसकी मुहब्बत की बेड़ियों में बंधा रहा रोमिल
ना उसका हो सका, ना किसी और का...

#रोमिल

haaton ki lakeeron...

haaton ki lakeeron ko dekhata hu Romil
kis tarah anjaan log isme bas jaaya karte hai...

#Romil

हाथों की लकीरों को देखता हूं रोमिल 
किस तरह अनजान लोग इसमें बस जाया करते हैं... 

#रोमिल

Friday, March 20, 2009

hum kya kare...

ho gaya kasoor hum kya kare
dil hi naa-samaj tha
hum kya kare...
~
lagi sabse pyari surat wahi
aankhen jo kha gaye dhoka
hum kya kare...
~
bani se bhi jyada paak lagte the bol uske
kaan jo sun na sake sachai
hum kya kare...
~

aitbaar tha mujhe ki uski rooh farishtey si hai
mann jo samaj na saka
hum kya kare...

[written by Romil Arora-copyright reserved]

mausam rangeen...

mausam rangeen
shama bhi hain suhana
dil main hain dard bhara
hoonton par bas tera hi afsaana...
~
kisse kahe dard apna
har koiye to hain yahaan begana...
manzile hain juda-juda
fhir bhi begano sang hain chalte jaana...
~
na koiye shikwa-gila
na koiye ab kissa hain batana
bas mujhe akele hi chalte jaana...
mausam rangeen
shama bhi hain suhana
dil main hain dard bhara
hoonton par bas tera hi afsaana...

[written by Romil Arora-copyright reserved]

shaam...

"shaam ka kaisa khumaar chaaya hain
aaisa lagta hain har taraf tera hi saaya hain"
~*~
"dhundhala-dhundhala yeh mausam kyon hain
chand par yeh kisne parda daala hain"
[written by Romil Arora-copyright reserved]

aacha hota....

"kuch keh kar jaati to aacha hota
do-char ilzaam lagati to aacha hota
main intezaar nahi karta rehta uska
agar woh bewafa keh kar jaati to aacha hota"
[written by Romil Arora-copyright reserved]

bin maange

duaon ke baad bhi nahi milta kisi ko koi Romil,
koi bin maange hi pa jata hai jaanat-e-jahan!

#Romil

दुआओं के बाद भी नहीं मिलता किसी को कोई रोमिल 
कोई बिन मांगे ही पा जाता है जन्नत-ए-जहां!

#रोमिल

Wednesday, March 18, 2009

kaisa mazaak yeh zindagi mere saath karti hai...

kaisa mazak yeh zindagi mere saath karti hai
"banakar roshan lau, hawa tez kar deti hai"

#Romil

कैसा मजाक यह जिंदगी मेरे साथ करती है 
बनाकर रोशन लौ, हवा तेज कर देती है...

#रोमिल

Monday, March 16, 2009

faqr


unko gumaan hain apni daulat par
humko faqr hain apni mohabbat par!
[written by Romil Arora-copyright reserved]

minnat aur mannat

kya rakha hai aaisi pal do pal ki zindagi mein Romil
Jo minnat aur mannat par teeki hai...
[written by Romil Arora-copyright reserved]

fark

tumhare jaane se meri zindagi main bas itna sa fark aaya hain
pehle main akela tanha rehta tha
ab tumhari yaadon ke saath tanha rehta hu.
[written by Romil Arora - copyright reserved]

choti si baat...

choti si baat hai magar badalon ko kaun samjhaye
chand ko khilauna batakar meri maa mujhe sulati hai...

#Romil

छोटी सी बात है मगर बादलों को कौन समझाये 
चाँद को खिलौना बताकर मेरी माँ मुझे सुलाती है...

#रोमिल

---guftagu---

bahaaron se kabhi fursat mile to humse bhi pal do pal guftagu kar lena
phoolon ko bhi kaanton ka dard pata hona chahiye...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

Kal ki Tarah

gaya aaj ka din bhi kal ki tarah
usne mujhe yaad nahi kiya kal ki tarah...
~!~
hawan bhi lai nahi koi paigam uska
hum karte rahe intezaar uska kal ki tarah
gaya aaj ka din bhi kal ki tarah
usne mujhe yaad nahi kiya kal ki tarah...
~!~
mehfil sajate rahe gum-e-tanhai ki
hum raat bhar roote rahe kal ki tarah
gaya aaj ka din bhi kal ki tarah
usne mujhe yaad nahi kiya kal ki tarah...
~!~
pucha na haal kisi ne mera
ek nigah bhi nahi dali kisi ne pyar ki
hum fhir akele rahe kal ki tarah
gaya aaj ka din bhi kal ki tarah
usne mujhe yaad nahi kiya kal ki tarah...

#Romil

गया आज का दिन भी कल की तरह 
उसने मुझे याद नहीं किया कल की तरह... 

हवा भी लाई नहीं कोई पैगाम उसका 
हम करते रहे इंतजार उसका कल की तरह है
गया आज का दिन भी कल की तरह 
उसने मुझे याद नहीं किया कल की तरह... 

महफिल सजाते रहे ग़म-ए-तन्हाई की 
हम रात भर रोते रहे कल की तरह
गया आज का दिन भी कल की तरह 
उसने मुझे याद नहीं किया कल की तरह... 

पूछा ना हाल किसी ने मेरा 
एक निगाह भी नहीं डाली किसी ने प्यार की 
हम फिर अकेले रहे कल की तरह
गया आज का दिन भी कल की तरह 
उसने मुझे याद नहीं किया कल की तरह... 

#रोमिल

Sunday, March 15, 2009

dil se


sar dhak kar rakha karo dost mere
rab ka hamesha sar par haath rehta hai...
aafaton se khuda hamesha dur rakhta hai...
kaum ka hamesha maan rehta hai...

#Romil

सर ढक कर रखा करो दोस्त मेरे
रब का हमेशा सर पर हाथ रहता है...
आफ़तों से ख़ुदा हमेशा दूर रखता है...
कौम का हमेशा मान रहता है...

#रोमिल

kuch is tarah usse mohabbat ki kadiya jodi maine...

kuch is tarah usse mohabbat ki kadiya jodi maine Romil
ki paaon ki zanjeer ban gai...

#Romil

कुछ इस तरह उससे मोहब्बत की कड़िया जोड़ी मैंने रोमिल 
की पांव की जंजीर बन गई... 

#रोमिल

Chhoti si baat ka tamasha bana gaya...

usko to bahana chahiye tha mujhse khafa hone ka Romil,
chhoti si baat ka tamasha bana gaya...

#Romil

उसको तो बहाना चाहिए था मुझसे ख़फ़ा होने का रोमिल,
छोटी सी बात का तमाशा बना गया...

#रोमिल

dialouge

main aap logon ko bata raha hu ki main isse shaadi karne ja raha hu
aap log hamare rishtee ko sweekaar karenge ya nahi, yeh nahi puch raha hu
sirf bata raha hu
main isse shaadi karne ja raha hu...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, March 14, 2009

sachse rubaru

mere mann aur aankhon mein roz kasmakas hoti hai...

"aankhen kehti hai mann se
tu sochana band kar main sona chahti hoon"
"mann kehta hai aankhon se
tu pehle palke band kar le main fir sochana chod deta hoon"

#Romil

मेरे मन और आंखों में रोज कशमकश होती है... 

"आंखें कहती है मन से तू सोचना बंद कर मैं सोना चाहती हूं...
मन कहता है आंखों से तू पहले पलके बंद कर ले मैं फिर सोचना छोड़ देता हूं..."

#रोमिल

zamana hi badal gaya...

bahut suna tha mohabbat ka naam
ishq ka kalaam
laila-majnu ke kisse
heer-ranjha ka pyar...
hum jawan hue aur zamana hi badal gaya :-) 

#Romil

बहुत सुना था मोहब्बत का नाम 
इश्क़ का क़लाम 
लैला-मजनू के किस्से 
हीर-रांझा का प्यार... 

हम जवान हुए और जमाना ही बदल गया

:-)

#रोमिल

khata to koi yaad nahi mujhe...

khata to koi yaad nahi mujhe
bas bandagi ka gunehgaar hu main...
***
sajde mein sar kya jhuka diya uske
usne to sar qalam hi kar diya...

#Romil

खता तो कोई याद नहीं मुझे 
बस बंदगी का गुनहगार हूं मैं... 

सजदे में सर क्या झुका दिया उसके 
उसने तो सर कलम ही कर दिया... 

#रोमिल

mohabbat bandagi hai...

mohabbat bandagi hai
bande ki khuda se ho jaise...
isme husn ka koi bhi wajood nahi...

#Romil

मोहम्मद बंदगी है 
बंदे की खुदा से हो जैसे 
इसमें हुस्न का कोई भी वजूद नहीं... 

#रोमिल

hum hi nahi...

hum hi nahi bewafai ki chot khaye hue
zamane mein aur bhi hai...
~~~
hum hi nahi firte galiyon mein awara bankar
zamane mein aur bhi hai...
~~~
hum hi nahi, jo ishq mein duniya bhulaye hue
zamane mein aur bhi hai...

#Romil

हम ही नहीं बेवफाई की चोट खाए हुए 
जमाने में और भी हैं... 

हम ही नहीं फिरते गलियों में आवारा बनकर 
जमाने में और भी है... 

हम ही नहीं, जो इश्क में दुनिया भुलाए हुए 
जमाने में और भी है...

#रोमिल

Friday, March 13, 2009

magar dua teri kamyab ho gayi...

tumse durr rehne ka kaam bahut mushkil tha
magar dua teri kamyab ho gayi...
~~~
woh mohabbat bhi kya mohabbat thi,
jisme nazdikiyon ke saath deewarein bhi thi,
tumko pass dekh kar, durr rehna bahut mushkil tha
magar dua teri kamyab ho gayi...
~~~
mohabbat tum thi meri
ibadat tum thi meri
bandagi tum thi meri
tumhare siva kisi aur ki bandagi karna mushkil tha
magar dua teri kamyab ho gayi...

#Romil

तुमसे दूर रहने का काम बहुत मुश्किल था 
मगर दुआ तेरी कामयाब हो गई... 

वो मोहब्बत भी क्या मोहब्बत थी 
जिसमें नज़दीकियों के साथ दीवारें भी थी 
तुमको पास देखकर दूर रहना बहुत मुश्किल था 
मगर दुआ तेरी कामयाब हो गई... 

मोहब्बत तुम थी मेरी 
इबादत तुम थी मेरी 
बंदगी तुम थी मेरी
तुम्हारे सिवा किसी और की बंदगी करना मुश्किल था 
मगर दुआ तुम्हारी कामयाब हो गई... 

#रोमिल

sach se rubaru

jala diye the maine sabhi kamyabi ke parche
nakamiyoon ne mujhe itna dard diya tha...
~*~
mann chahta hain ki noch lu sabhi sitare aasman se
meri waafa ki lau kisi ko nahi dikhaiye di thi...
~*~
pathar ka chota sa tukda bhi mujhe toodh jaata tha
sachai ka main aaina tha...
[written by Romil Arora-copyright reserved]

aansoo...


meri aankhon se jhalak jaate hain teri bewafai ke aansoo
ab inko aankhon main panah nahi de jaati mujhse...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

sitam..

mohabbat-e-gum bahut purana hain
bas haseenao ke sitam dhaane ka andaz badal gaya hain...
[written by Romil Arora-copyright reserved]

dialouge...

mujhe yeh nahi pata ki meri shaadi kisse hogi
magar main itna jarur janta hu ki mujhe mohabbat kisse karni hain...
~*~
mujhe yeh nahi pata ki woh meri zindagi main aayegi ki nahi
magar main itna jarur janta hu ki main umar bhar uska intezaar kar sakta hu...
~*~
mujhe yeh nahi pata ki mujhe zindagi main kya chahiye
magar main itna jarur janta hu ki mujhe zindagi main kya nahi chahiye...
[written by romil arora - copyright reserved]

mohabbat...

mohabbat karne se darte ho TUM,
na jaane fir kyon mohabbat ko talashte ho TUM
~~~~~~~~~
dhoka khaye logo se mohabbat ka zikr na karna,
jab himmat na ho to mohabbat na karna,
dil behlane ke liye bahut milenge tumko yahan
kabhi kisi wafadar se bewafai mat karna.

#Romil

मोहब्बत करने से डरते हो तुम 
ना जाने फिर क्यों मोहब्बत को तलाशते हो तुम... 

धोखा खाए लोगों से मोहब्बत का जिक्र न करना 
जब हिम्मत ना हो तो मोहब्बत ना करना 
दिल बहलाने के लिए बहुत मिलेंगे तुमको यहां 
कभी किसी वफादार से बेवफाई मत करना... 

#रोमिल

Tuesday, March 10, 2009

badkismati...

kitne saal nikal gaye bina holi khele dost,

aa meri haatoon ki badkismati ko to dekh...

[written by Romil Arora-copyright reserved]

holi ke mausam main...

holi ke mausam mein jab log holi khela karte hai
hum chhat par akele baithe tumko yaad kiya karte hai...
~~~
pani se jab log, ek-dusare ko bhigoya karte hai
hum aansuon se khud ko bhigo liya karte hai...
~~~
rangon se jab log chehare ko ranga karte hai
hum rangon me
in teri tasveer dhundha karte hai...
~~~
jab shaam hoti hai
chand bhi tanha akela hota hai
hum chupe-chupe chhat par baithe
chand sang holi khela karte hai...
~~~
holi ke mausam mein jab log holi khela karte hai
hum chhat par akele baithe tumko yaad kiya karte hai...

#Romil

होली के मौसम में जब लोग होली खेला करते हैं 
हम छत पर अकेले बैठे तुमको याद किया करते हैं... 

पानी से जब लोग एक-दूसरे को भिगोया करते हैं 
हम आंसुओं से खुद को भिगो लिया करते हैं... 

रंगों से जब लोग चेहरे को रंगा करते हैं 
हम रंगों में तेरी तस्वीर ढूंढा करते हैं... 

जब शाम होती है 
चांद भी तन्हा अकेला होता है 
हम छुपे-छुपे छत पर बैठे 
चांद संग होली खेला करते हैं... 

होली के मौसम में जब लोग होली खेला करते हैं 
हम छत पर अकेले बैठे तुमको याद किया करते हैं... 

#रोमिल