Friday, May 30, 2008

Aaj Hawaa Ka Jhokha

"Aaj Hawaa Ka Jhokha"

Aaj hawaa ka jhokha jaise kuch keh raha hai,
warna yuhi deewar par latki hui tumhari tasveer na heeli hoti...

barish ki boondein, jaise koi sandesha,
in band khidakiyon (window) par likh rahi ho, 

aaj pata nahi kyon, 
hamare ghar par baithkar kauwa (crow), kau-kau kar raha hai,

barso se band tha jo kamra (room) hamara, 
na jaane kyon aaj us kamre mein jaane ko mera dil kar raha hai,

woh kursi tumhari, jo dhool se bhari hui hai,
woh deeware jo chatak kar lakeerein bana chuki hai,
dhoop jo baar-baar toote hue band kamre se aandar aana chah rahi hai,

aaj pata nahi kyon hawaaon ka jhokha jaise mujhse kuch reh raha hai...

na jaane kyon aaj meri nigaah goan ke us door chaurahe par tak-taki lagaye baithi hai,

na jaane kyon aaj martabano mein rakkhe hue aachar se mehak mujhe aa rahi hai,

na jaane kyon aaj tumhari aawaz door gagan se, 
mere kaano mein sunai de rahi hai,

aaj pata nahi kyon hawaaon ka jhokha jaise mujhse kuch kehna cha raha hai,
warna tumhari deewar par latki hui tasveer na heeli hoti...
aaj pata nahi kyon...
[written by romil arora - copyright reserved]

1 comment:

Anonymous said...

itna pyaar tumne usse kyon kiya,
itna intezaar tumne uska kyon kiya,
hai woh bewafa yeh saara jahaan tumse kehta raha,
fhir tumne uspar aitbaar kyon kiya.

bolo raj kyon kiya gunn par.


sandhiya