Friday, May 30, 2008

Ghazal Kya, Maine To Zindagi Tere Naam Kar Di"

"Ghazal Kya, Maine To Zindagi Tere Naam Kar Di"

Ghazal kya, maine to zindagi tere naam kar di, 

Shaam kya, maine to har subah, har raat, tere naam kar di, 

Izhar-e-mohabbat ke intezar mein tum hamesha rahe, Shayad meri nazaron ne mujhse bewafai kar di, 

Ab to leta hu sar-e-aam tera naam, bewafai mein, 

kyonki dushmani mein tune apni saari hadein paar kar di, 

Ab to tujhse juda rehne ki dua mein roz mangata hoon, 

kyonki dosti mein tune, meri har khushi tamam kar di, 

Sochata hoon, darta hoon aksar is ehsaas se aaye meri “hitler”,

ameeron ki mehfilon ne kyon garibon ke liye raat kar di, 

Ab na barbaad ho, koi aashiq mohabbat mein, 

isliye maine husn ki tareef karna band kar di, 

Ghazal kya, maine to zindagi tere naam kar di!!!

[written by romil arora - copyright reserved]

1 comment:

Anonymous said...

janti hu sab kuch tumne maira naam kar diya
har khushi har sapna maire naam kar diya
ab tanha hu tum yeh bhi mujhe pata hai
sabne diya hai tumko dhoka yeh bhi pata nahi
sab janti hu main fhir bhi majboor hu.