Friday, May 23, 2008

"Bhini-Bhini uski mehandi ki khushboo aati hogi"



"Bhini-Bhini uski mehandi ki khushboo aati hogi"

Bhini-Bhini uski mehandi ki khushboo aati hogi,
Khushi ke din main woh khushiya manati hogi,

Apni mehandi ko dekh kar sapno ki laadi woh banati hogi,
apne saajan se milane ke baatein soch-soch kar apni khoobsurat palake woh jhukati hogi,
Aansoo ke beech khushi ka woh pal yaad karti hogi,
Judai ka gum yaad kar-karke dil dhadkate hogi,
Babul ka ghar chut jaane ka darr usko satata hoga,
Bachpan ki yaadein, yaad karke dil bhar aata hoga,

Pal bhar main kaise badal jaate hai rishte,
yeh mehandi usko samjhate hogi,

Bhini-Bhini uski mehandi ki khushboo aati hogi..
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: