Tuesday, May 20, 2008

Ghar

Ghar

Main Chahta Hu,
Ek Ghar Banana,
Jise Apne Sapno Se Sajana...

Sirf Char Deewari Na Ho Mera Ghar,
Usme Ho Hamari Mohabbat Ki Chhat...
Hawaon Se Khule Woh Kamre Ki Khidaki Nirali,
Bahar Se Aati Ho Chidiyon Ki Aawaz Sureeli...
Bahar Baghechi Mein Phool Muskurate Ho,
Bhaware aur Titaliya Jis Par Mandrate Ho,
Woh Sukoon,
Woh Chain,
Main Us Ghar Mein Chahta Hu,
Main Ek Ghar Banana Chahta Hu,
Jisse Apne Sapno Se Sajana...

Mere Mehboob Ke Kadmo Ki Chhap Mein Payal Ki Aawaz Ghuli Ho,
Haaton Mein Mehandi aur Mohabbat Ke Mahool Mein Chudiyon Ki Jhankar Ghuli Ho...
Rab Ka Jisme Paigam Rehta Ho,
Main Ek Ghar Banana Chahta Hu,
Jise Apne Sapno Se Sajana...

Janta Hu,
Khawab Mere Hasiyat Se Bade Hai,
Magar Main Khawabo Ko Sach Karna Chahta Hu,
Main Ek Ghar Banana Chahta Hu,
Use Apne Sapno Se Sajana...

#Romil

घर 

मैं चाहता हूं 
एक घर बनाना 
जिसे अपने सपनों से सजाना 

सिर्फ चार दिवारी ना हो मेरा घर 
उसमें हो हमारी मोहब्बत की छत 
हवाओं से खुले वो कमरे की खिड़की निराली 
बाहर से आती हो चिड़ियों की आवाज सुरीली 
बाहर बगीचे में फूल मुस्कुराते हो 
भवरें और तितलियां जिसपर मंडराते हो
वो सुकून 
वो चैन 
मैं उस घर में चाहता हूं 
मैं एक घर बनाना चाहता हूं 
जिसे अपने सपनों से सजाना चाहता हूं 

मेरे महबूब के कदम की छाप में 
पायल की आवाज घुली हो, 
हाथों में मेहंदी और मोहब्बत के माहौल में 
चूड़ियों की झंकार घुली हो...
रब का जिसमें पैगाम रहता हो 
मैं एक घर बनाना चाहता हूं 
जिसे अपने सपनों से सजाना चाहता हूं 

जानता हूं
ख़्वाब मेरे हैसियत से बड़े हैं 
मगर मैं ख्वाबों को सच करना चाहता हूं 
मैं घर बनाना चाहता हूं 
उसे अपने सपनों से सजाना चाहता हूं...

#रोमिल

No comments: