Friday, May 30, 2008

"Jo kabhi"

"Jo kabhi"

Dil jalane ke baat wo kya jaane,
Jo kabhi kisi se dil laga na sake,

Zahrelaiye-qaatil kehne wale wo kya jaane,
Jo kabhi kisi ko ek guat pani peela na sake,

Wafa-Bewafai ke baat karne wale wo kya jaane,
Jo kabhi mehboob ke mohabbat par naaz kar na sake,

Galiyoon main mujhe doondhane wale wo kya jaane,
Jo kabhi mehboob ke ghar ka rastha yaad kar na sake,

Sahara dekar ehsaan jatane wala wo kya jaane,
Jo kabhi khud be-sahara hua karte the,

Soya karte hai jo gair ki baahon main saada, wo kya jaane,
Jo kabhi mehboob ki yaadon main jaag na sake,

Aarzoo ke baat karne wale wo kya jaane,
Jo kabhi be-aarzoo jiya karte the,

Yaar ki baat to bade aaram se kehde tumne kehne wale,
Jo kabhi apne dost ki yaari samaj na sake,

“Hitler” ko yakeen delate hue rukshat ho jayunga main is duniya se,
Aur wo hai jo kabhi hum par yakeen kar na sake........

[written by romil arora - copyright reserved]

2 comments:

Anonymous said...

khataiye maire hai,
gunah maire hai,
jiska koiye hisab nahi,

hu main bewafai,
hu main sandil,

magar itna tum jaan lo,
hu main tumhari,
sirf tumhari,
rooh se tumhari,
hamesha rooh se tumhari.

tumhari
sandhiya.

ROMIL ARORA said...

badiya lines.....sandhiya..