haal-e-dil
Janta hu ek din manzil ko pa jaunga,
magar shayad rishton ki deewaron ko tod jaunga,
ek din tanha main sahil par baitha honga,
aur apni akeli gumsum manzil ko dekh kar muskuraunga!
Jab woh thi nahi apni fir usse mohabbat kyon hai?
Itne dhokhe khaye hai maine uski mohabbat mein,
fir bhi zalim uska intezar kyon hai?
kaash tum meri dhadkan ko sun pati,
mohabbat kya hai yeh pehchan pati,
yeh bad-nasebi to hai hamari,
jo hamari dil todkar tum gair ki baahon mein so jaati!
Mujhse door jaane ki majboori kya thi unki
mujhko bataya to hota,
bewafai kyon ki unhone mujhe kaash yeh samjhaya to hota,
unke liye to hum apni jaan bhi de dete muskurate hue,
yeh unhone dil-e-khawaish batai to hoti!
#Romil
2 comments:
Na jeene ki khushi hai na marne ka gum,
unse milne ki dua karte hai hum,
jeete hai is aas main ki ek din wo aayege,
marte isliye nahi hai ki woh tanha reh jayenge.
SubanAllah.
bahut hi khoobsurat andaaz hai aapka.
Post a Comment