Saturday, June 28, 2008

kuch dil ke alfaaz...

kuch dil ke alfaaz...

Mangi thi dua aashiana ki,

magar khandhar bhi naseeb na hua,

Chah thi dil mein mohabbat ki,

magar koi apna bhi naseeb na hua!

Anjaane mein mohabbat kar baithe,

zakhm hazaro dil par kha baithe,

mehboob ko apna banane ke liye is tarah hue deewane,

ki apna naam tak badal baithe,

chaha tha zindagi main jeene ko,

par saari umar gham-e-tanhai men beeta baithe!

[written by romil arora - copyright reserved]

2 comments:

Anonymous said...

kehte hai ki jab koi kisi ko bahut yaad karta hai to 1 tara aasmaan me kahi tuth ke girta hai,
1 din saara aasman khali ho jayega aur saara ilzaam humare sar aayega.

ROMIL ARORA said...

MashAllah

jawab nahi aapka g.

bahut khoob shabd.