Thursday, June 19, 2008

Maaf kar dena mujhko....

Maaf kar dena mujhko....

Saath tera chhod raha hu,
apni nazron mein na gira dena mujhko...

mere haalat aise hai ki main khawabo ko pura nahi kar pata,
apni aankhon se aansoo ki tarah na bahana mujhko....

main woh vaada nahi kar sakta, jo nibha na saku,
pyar ke ghar mein na jala dena mujhko....

meri majboori ko tum hi samajh sakti ho,
bewafa na kabhi samajhana mujhko....

thokare maar do, ya fir apmaan mera kar lo,
magar apne dil ke kisi kone main basa kar rakhna mujhko...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: