Monday, June 2, 2008

school ki yaadein...

"school ki yaadein..."
स्कूल की यादें...

Chalo school ki yaadon mein saath chale,
Kuch hase, kuch khele...

चलो स्कूल की यादों में साथ चले 
कुछ हँसे, कुछ खेलें...

Yaad hai woh tumhara mujhe school jane ke liye aawaz lagana,
aur mera tab bistar se jagna,
woh tumhara gussa karna aur fir mera sorry kehna.

याद है वो तुम्हारा मुझे स्कूल जाने के लिए आवाज लगाना 
और मेरा तब बिस्तर से जागना 
वो तुम्हारा गुस्सा करना फिर मेरा सॉरी कहना...

school mein hamara sabse pehle seat par baithana,
aur tumhara mere right mein jabardasti baithana.

स्कूल में हमारा सबसे पहले सीट पर बैठना 
और तुम्हारा मेरे राइट में जबरदस्ती बैठना...

Hindi ki class mein tumhara udas hokar drawing karna,
aur fir english ki class mein mera udas hokar us drawing mein coloring karna.

हिंदी की क्लास में तुम्हारा उदास होकर ड्राइंग करना 
और फिर इंग्लिश की क्लास में मेरा उदास होकर उस ड्राइंग में कलरिंग करना...

Maths ki class mein dono ka dimaag lagana,
History ki class mein historical character par acting karna,
Geography ki class mein chand-taaron ke sapne dekhna.

मैथ की क्लास में दोनों का दिमाग लगाना 
हिस्ट्री की क्लास में हिस्टोरिकल कैरेक्टर पर एक्टिंग करना 
जियोग्राफी की क्लास में चांद-तारों के सपने देखना...

Lunch time mein saath baith kar khana khana,
Woh aaloo ke parathe, woh imli ki chatni.
Woh ice-cream aur churan ka thela,
Woh bhel-poori aur khatti-meethi toffee..

लंच टाइम में साथ बैठकर खाना खाना 
आलू के पराठे, वो इमली की चटनी, 
वो आइसक्रीम और चूर्ण का ठेला, 
वो भेलपुरी और खट्टी मीठी टॉफी...

Saath main ghar wapas jana aur
raste bhar school ki bakwas karna.

साथ में घर वापस जाना और 
रास्ते भर स्कूल की बकवास करना...

Yaad aaya dost... school ki yaadein...
याद आया दोस्त... स्कूल की यादें...

#Romil
#रोमिल

No comments: