"Aankhon Mein Ek Sapna Ban Kar Aa Jaana"
Maine tumse kahan tha dost,
mujhe is tarah chhod kar mat jaana,
mujhe akela chhod kar mat jaana,
zindagi se ladna, kabhi bhi zindagi se naaraz mat hona,
jab jaana to mujhe neend se jaga jaana,
apne haalchal bata kar jaana.
aacha ab jab tum chali gaye ho to suno rab ke ghar mein khushi-khushi rehna,
jo meri yaad aaye to bas ek aawaz lagana,
aankhon se aansoo kabhi girne nahi dena,
naachana, geet gaana, aur mujhe duur se neharana.
jab tum rab ke ghar se dekho mujhe tanha,
bas aankhon mein ek sapna ban kar aa jaana.
[written by romil arora - copyright reserved]
2 comments:
HELLO,
change the pic g, jin aankho me khoobsoorat naaz ho, un aankho me dard hoha chaiye, khoof nahi
marvelous, tremendos n heart priking poetries g
jab tak yeh aankhen gunn ka naazara nahi kar laite, tab tak in aankhon main hamesha dard rahega g.
Post a Comment