Monday, July 28, 2008

Rab Se Jyada, Use Chahana Mujhe Hai...

Sanam Ke Sajde Mein Sar Jhukana Mujhe Hai,
Rab Se Jyada, Use Chahana Mujhe Hai...

सनम के सजदे में सर झुकाना मुझे है,
रब से ज्यादा, उसे चाहना मुझे है...

Itni Mohabbat Kyon Main Sanam Se Karta Hu, Rab Sab Janta Hai,
Mere Haal-E-Dil Ko Pehchanta Hai,
Bas Uske Pehlu Mein Mar Jana Mujhe Hai,
Rab Se Jyada, Use Chahana Mujhe Hai...

इतनी मुहब्बत क्यों मैं सनम से करता हूँ, रब सब जानता है
बस उसके पहलू में मर जाना मुझे है
रब से ज्यादा, उसे चाहना मुझे है...

Meri Har Chahat Uske Liye,
Yeh Duniya Bhi Jannat Bana Du Uske Liye,
Har Veerani Mein Phool Khila Du Uske Liye,
Saari Fiza Ko Rangeen Bana Du Uske Liye,
Bas Uski Khushi Mein Fanaa Ho Jana Mujhe Hai,
Rab Se Jyada, Use Chahana Mujhe Hai...


मेरी हर चाहत उसके लिए
यह दुनिया भी जन्नत बना दूँ उसके लिए
हर वीरानी में फूल खिला दूँ उसके लिए 
सारी फिज़ा को रंगीन बना दूँ उसके लिए 
बस उसकी खुशी में फ़ना हो जाना मुझे है
रब से ज्यादा, उसे चाहना मुझे है...

Sanam Ke Sajde Mein Sar Jhukana Mujhe Hai,
Rab Se Jyada, Use Chahana Mujhe Hai!*!

सनम के सजदे में सर झुकाना मुझे है,
रब से ज्यादा, उसे चाहना मुझे है...

#Romil
#रोमिल

Gunehgar Hai Hum...

Apni Barbaadi Ke Khud Gunehgar Hai Hum,
Mohabbat Jo Ki Thi, Khud Sazadar Hai Hum,
Ab Kisse Kahe Haal-E-Dil Apna,
Jalte Hue Ghar Ke Chirag Hai Hum

#Romil

अपनी बर्बादी के ख़ुद गुनहगार है हम,
मुहब्बत जो की थी, ख़ुद सज़ादार है हम,
कब किससे कहे हाल-ए-दिल अपना,
जलते हुए घर के चिराग़ है हम...

#रोमिल

Tarafate Hum Rehte Hai.....

Aapki Jhalak Paane Ke Liye Sanam Khayal Hum Dekhate Hai,
Magar Khayalon Se Raahat Nahi Milte,
Mil Jata Hai Sirf Zaara Sa Sakun,
Magar Saari Raat Tarafate Hum Rehte Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

dosti aur pyar....

"Dosti Hamesha Honthon Par Muskaan Lati Hai
Sang-Sang Hasati Hai
Gale Lagati Hai, Saath Milati Hai
Pyar Badati Hai
Wafa Karti Hai
Aashiq Ko Saccha Insaan Banati Hai
"


"Pyar Hamesha Aankhon Mein Aansoo Lata Hai
Tanhai Mein Rulata Hai
Judai Lata Hai, Dooriyan Badata Hai,
Dushmani Badata Hai
Bewafai Karta Hai
Aashiq Ko Pagal Banata Hai
"

!!fir bhi duniya-e-jahan dosti ko samajh nahi pati hai,
hamesha ise pyar ka naam dete hai,
jab ki dono ek dusare se juda hai,
dono ka apna alag-alag rang-roop hai,
fir bhi duniya dosti ki kadr samajh nahi pati hai,
hamesha pyar ko dosti se bada samajhati hai!!

#BestAnswers
#Romil

Yaadon Ki Galiyaan Yaad Hai Mujhe

Yaadon Ki Galiyaan Yaad Hai Mujhe 
यादों की गलियां याद है मुझे

Woh Gudda-Gudiya Ki Shaadi Rachana
!*!Yaad Hai Mujhe!*! 
वो गुड्डा-गुड़िया की शादी रचाना 
याद है मुझे

Woh Baarishon Mein Khoob Jhoom Kar Nachana
!*!Yaad Hai Mujhe!*!
वो बारिशों में खूब झूमकर नाचना 
याद है मुझे

Woh Saawan Main Jhula Jhulana
!*!Yaad Hai Mujhe!*!
वो सावन में झूला झूलना
याद है मुझे

Woh Chote-Chote Haathon Mein Mehandi Rachana
!*!Yaad Hai Mujhe!*!
वो छोटे-छोटे हाथों में मेहंदी रचाना
याद है मुझे

Woh Choti-Choti Baaton Par Ruuth Jaana, Fir Ek-Dusre Ko Manana
!*!Yaad Hai Mujhe!*!
वह छोटी-छोटी बातों पर रूठ जाना 
फिर एक-दूसरे को मनाना
याद है मुझे

Woh Agey-Agey Mera Daudna, 
Peeche Sab Saathiyon Ka Daudna, 
Woh Milkar Rail Gadi Banana, 
Sabka Fir Zor-Zor Se Chillana,
!*!Yaad Hai Mujhe!*!
वह आगे-आगे मेरा दौड़ना 
पीछे सब साथियों का दौड़ना 
वो मिलकर रेलगाड़ी बनाना 
सबका फिर जोर-जोर से चिल्लाना
याद है मुझे

Mitr...Main Kuch Bhi Nahi Bhula...
Yaadon Ki Galiyaan Yaad Hai Mujhe...
मित्र... मैं कुछ भी नहीं भूला... 
यादों की गलियां याद है मुझे...

#Romil
#रोमिल

Saath Nibha Na Saka...

Ya Rabba, Sanam Hamara Humko Jaan Na Saka,
Majboori Woh Hamari Pehchan Na Saka,
Kehta Tha Zindagi Bhar Pyar Karega,
Jo Do Kadam Saath Nibha Na Saka!

#Romil

या रब्बा, सनम हमारा हमको जान ना सका 
मजबूरी वो हमारी पहचान ना सका 
कहता था जिंदगी भर प्यार करेंगे 
जो दो कदम साथ निभा ना सका!

#रोमिल

Saturday, July 26, 2008

!!Sacha Pyar Tumse Hi Karte Rahenge Sanam!!

Janta Hu Tujhe Na Pa Sakenge Zindagi Bhar,
Fhir Bhi Sacha Pyar Tumse Hi Karte Rahenge Sanam!


Janta Hu Haal-e-Dil Zindagi Bhar Kisi Ko Na Bata Sakenge Sanam,
Dil Hi Dil Main Rote Rahenge Hum,
Fhir Bhi Sacha Pyar Tumse Hi Karte Rahenge Sanam!


Zindagi Main Sanam Ko Pa Lena Hi Sabse Badi Kamyabi Hai,
Hum Zindagi Bhar Apni Haar Ko Yaad Rakhenge Sanam,
Fhir Bhi Sacha Pyar Tumse Hi Karte Rahenge Sanam!
[written by romil arora - copyright reserved]

Dhoondata Hu.....

*****
Main Musafir Hu,
Manzil Dhoondata Hu.


Main Wafaadar Hu,
Humsafar Dhoondata Hu/


Main Dard-e-Dil Ka Maariz Hu,
Daava Dhoondata Hu/


Main Haar Chuka Hu Is Be-Dard Sanam Se,
Khud Ke Liye Kabar Dhoondata Hu.

*****
[written by romil arora - copyright reserved]

Aakhir Kyon

~*~Aakhir Kyon~*~

Har Rishtey Se Koi Na Koi Umeed Hoti Hai
~*~Aakhir Kyon~*~

Apne Ban Kar Log Dagaa Karte Hai
~*~Aakhir Kyon~*~

Jab Khawab Toot Jaya Karte Hai, Fir Aankhon Mein Aate Hai
~*~Aakhir Kyon~*~

Jise Hum Duniya-Jahan Se Jyada Pyar Karte Hai Woh Hi Humse Bewafai Karte Hai
~*~Aakhir Kyon~*~

Woh Humko Bhul Jaate Hai Aur Khush Rehte Hai,
Hum Unki Yadoon Main Aansoo Bahate Hai,

~*~Aakhir Kyon~*~

#Romil

~*~आखिर क्यों~*~

हर रिश्ते से कोई ना कोई उम्मीद होती है 
~*~आखिर क्यों~*~ 
अपने बनकर लोग दग़ा करते हैं 
~*~आखिर क्यों~*~
जब ख़्वाब टूट जाया करते है, फिर आंखों में आते हैं 
~*~आखिर क्यों~*~
जिसे हम दुनिया-जहां से ज्यादा प्यार करते हैं वो ही हमसे बेवफाई करते हैं 
~*~आखिर क्यों~*~
वो हमको भूल जाते हैं और खुश रहते हैं, 
हम उनकी यादों में आंसू बहाते हैं...

#रोमिल

Main zinda hoon...

Main zinda hoon...
मैं ज़िंदा हूँ...

Tez hawaon mein diya jal raha hai,
Fir bhi main zinda hoon...
तेज हवाओं में दिया जल रहा है 
फिर भी मैं जिंदा हूं...

Pathar hai logon ke haaton mein, sheesha hai dil mera,
Fir bhi main zinda hoon...

पत्थर है लोगों के हाथों में, 
शीशा है दिल मेरा 
फिर भी मैं जिंदा हूं...

Dulhan ke haathon ki tarah, zakhmo se sazaa hua hai dil mera,
Fir bhi main zinda hu...
दुल्हन के हाथों की तरह जख्मो से सजा हुआ है दिल मेरा 
फिर भी मैं जिंदा...

Janta hoon sab bewafa, matlabi hai, main wafa kar raha hoon,
main band aankhon se aaina dekh raha hu,
Fir bhi main zinda hoon...

जानता हूं सब बेवफा, मतलबी है, मैं वफा कर रहा हूं, 
मैं बंद आंखों से आईना देख रहा हूं, 
फिर भी मैं जिंदा हूं...

#Romil
#रोमिल

khushi ki beekh mangege nahi!


Sar jhuka hai to sirf rabb ke samne jhuka hai,
kis aur ke samne kabhi jhukega nahi,
jo mangana hai usse mangege kisi aur se nahi mangege kabhi,
jo muqaddar main likha hoga gum usne,
kisi aur se khushi ki beekh mangege nahi!
[written by romil arora - copyright reserved]

ek chota sa dil hamara....

ek chota sa dil hamara, jis par zakhm hazaar,
kis-kis ki dawa kare, jab har koi hai yahaan bewafa mere yaar!

#Romil

एक छोटा सा दिल हमारा, जिस पर जख्म हजार, 
किस-किस की दवा करें, जब हर कोई है यहां बेवफा मेरे यार !

#रोमिल

Friday, July 25, 2008

aadat purani hai...

aadat purani hai...

Baarishon mein tumhe yaad karne ki
aadat purani hai...

Tumhari yaadon mein aansoo bahane ki
aadat purani hai...

Tanha hokar Rab ko haal-e-dil sunane ki
aadat purani hai...

Tumhari wafon ki jhooti kahani logon ko sunane ki
aadat purani hai...

Sab kuch ujad gaya hai, fir bhi aashiyana basane ki
aadat purani hai...

Janta hu tum kabhi nahi aaogi, fir bhi tumhara intezar karne ki
aadat purani hai...

#Romil

आदत पुरानी है... 

बारिशों में तुम्हें याद करने की आदत पुरानी है... 

तुम्हारी यादों में आंसू बहाने की आदत पुरानी है... 

तन्हा होकर रब को हाल-ए-दिल सुनने की आदत पुरानी है... 

तुम्हारी वफाओं की झूठी कहानी लोगों को सुनने की आदत पुरानी है... 

सब कुछ उजड़ गया है, फिर भी आशियाना बसाने की आदत पुरानी है... 

जानता हूं तुम कभी नहीं आओगी, फिर भी तुम्हारा इंतजार करने की आदत पुरानी है...

#रोमिल

baarish ki tarah hai....

Sanam Tera Pyar Bhi Baarish Ki Tarah Hai,
Jab Barasta Hai Kisi Par To Jhoom Kar Barasta Hai,
Jab Nahi To
Insaan Chahe Pyasa Marr Jaye,
Nahi Barasta Hai!

#Romil

सनम तेरा प्यार भी बारिश की तरह है 
जब बरसता है किसी पर तो झूमकर बरसता है 
जब नहीं तो 
इंसान चाहे प्यासा मर जाए 
नहीं बरसता है...

#रोमिल

mere yaar k naam...

~~Uski tamanna ke siwa zindagi mein koi tamanna nahi,
mujhe to zarre-zarre mein uska chehra nazar aata hai~~

!!Log kehte hai parwardigaar ke ghar jaaya kar,
main kehta hu usne abhi tak mujhe apna pata bataya nahi!!


~*~Log kehte hai rab ke saamne sar jhukaya kar,
main kehta hu woh kabhi saamne aaya nahi~*~
[written by romil arora - copyright reserved]

Tumse Hum Kuch Chupa Bhi Nahi Sakte

~*~
Kaise Jiye Hai Tumhare Bina Hum Bata Nahi Sakte
!!Magar Sach Hai Sanam Tumse Hum Kuch Chupa Bhi Nahi Sakte!!

Raanton Main Tarafana Mera, Khawabon Main Machalana Mera,
Woh Hum Tumko Bata Nahi Sakte,
!!Magar Sach Hai Sanam Tumse Hum Kuch Chupa Bhi Nahi Sakte!!


Tanhai Main Reh Kar Aansoo Bahana,
Sabke Samne Muskurana,

Woh Hum Tumko Bata Nahi Sakte,
!!Magar Sach Hai Sanam Tumse Hum Kuch Chupa Bhi Nahi Sakte!!

Khud Se Baatein Karna,
Tere Ehsaas Ke Saath Sona,
Woh Raatein Hum Bhula Nahi Sake,
Woh Hum Tumko Bata Nahi Sakte,
!!Magar Sach Hai Sanam Tumse Hum Kuch Chupa Bhi Nahi Sakte!!

~*~
[written by romil arora - copyright reserved]

Woh kehte hai...

!!Woh kehte hai mujhe pyar karo,
Main apni zindagi-e-majboori usko gina deta hoon!!


!!Woh kehte hai yeh jawani mujh par nisaar karo,
Main usko apne haalat-e-aansoo dekha deta hoon
!!

!!Woh kehte hai lipat jao mere badan se,
Main hamesha apna dil-e-dard usko bata deta hoon!!


!!Main Kitna Badnaseeb Hoon,
Rab Yeh Sirf Tu Janta Hai,
Dil Chahta Hai Usko Bepanah Pyar Karne Ke Liye,
Main Bas Har Khawab, Khawab Mein Beeta Deta Hoon!

#Romil

वो कहते हैं मुझे प्यार करो 
मैं अपनी जिंदगी-ए-मजबूरी उसको भुला देता हूं... 

वो कहते है यह जवानी मुझपर निसार करो 
मैं उसको अपने हालात-ए-आंसू दिखा देता हूं... 

वो कहते हैं लिपट जाओ मेरे बदन से 
मैं हमेशा अपना दिल-ए-दर्द उसको बता देता हूं... 

मैं कितना बदनसीब हूं 
रब यह सिर्फ तू जानता है 
दिल चाहता है उसको बेपनाह प्यार करने के लिए 
मैं बस हर ख़्वाब, ख़्वाब में बिता देता हूँ...

#रोमिल

Thursday, July 24, 2008

~*~Main Dua Karta Hu~*~

~*~Main Dua Karta Hu~*~

Kabhi Woh Rooth Jaye To Main Usko Manau
~*~Main Dua Karta Hu~*~

Mere Gusse Par Woh Mujhe Manaye
~*~Main Dua Karta Hu~*~


Main Uski Muskaan, Uski Khushi Par Qurbaan Ho Jayun
~*~Main Dua Karta Hu~*~

Mere Hasane Main, Mere Rone Main Woh Saath De
~*~Main Dua Karta Hu~*~


Woh Kabhi Kisi Gair Se Na Dil Lagaye
~*~Main Dua Karta Hu~*~


Maire Baahon Main Zindagi Beeta De
~*~Main Dua Karta Hu~*~

Raaton Main Woh, Apna Sar Rakh Kar Mere Goad Main So Jaye
~*~Main Dua Karta Hu~*~


Kabhi Saath-Saath Hum Baarishon Main Naahaye
~*~Main Dua Karta Hu~*~

Uski Rooh Se Main Lipath Jayun
~*~Main Dua Karta Hu~*~


Mere Saanson Main Woh Saama Jaye
~*~Main Dua Karta Hu~*~


Kabhi Haanton Main Haanth Lekar Hum Chalte Jaye
~*~Main Dua Karta Hu~*~

Uski Zulfoon Main, Main Phool Sajau
~*~Main Dua Karta Hu~*~


Meri Nazaron Ke Samane Woh Hamesha Rahe
~*~Main Dua Karta Hu~*~


BAS RABB TU ITNA SAMAJ LE
"FHIR AAISA HUMSAFAR NAHI MILEGA MUJHE KISI JANAM MAIN,
GUNN-RAJ JANAMO TAK SAATH RAHE"
~*~MAIN DUA KARTA HU~*~
[written by romil arora - copyright reserved]

dua karo...


"Woh phool hai mere dil-e-aashiana ka,
Dua karo usko duniya-e-bazaar ki hawa na lage"

"Hamari mohabbat se jalne lagi hai dunia-e-jahaan,
Dua karo kisi ki baddua na lage"

"Usse milkar mehakne lagta hai hamara dil-e-chaman,
Dua karo kisi ki nazar na lage"


#Romil

वो फूल है मेरे दिल-ए-आशियाना का 
दुआ करो उसको दिल-ए-बाजार की हवा ना लगे... 

हमारी मुहब्बत से जलने लगी है दुनिया-ए-जहां 
दुआ करो किसी की बद्दुआ ना लगे... 

उससे मिलकर महकने लगता है हमारा दिल-ए-चमन 
दुआ करो किसी की नजर ना लगे...

#रोमिल

basane na diya......


!!Dil-e-dua thi mohabbat-e-gharondha banane ki,
Usko bhi haawaon ne basane na diya!!



!!Dil-e-tamanna thi gharondha main rabb-e-sanam ko pujane ki,
Usko bhi haawaon ne basane na diya!!




!!Naazare-e-chahat thi usko haqiqat-e-aashiana main muskurata dekhane ki,
Usko bhi haawaon ne basane na diya!!




!!Rooh-e-aarzoo thi usko mohabbat-e-ghar main pyar karne ki,
Usko bhi haawaon ne basane na diya!!

[written by romil arora - copyright reserve]

Chalo Sanam

!!chalo sanam!!

~~ chalo sanam dekhte hai mohabbat-e-samundar mein uthar kar,
phir dekhe kinare kaun karta hai ~~


~~ chalo sanam basaate hai ek-dusare ko apni-apni neeghao mein,
phir dekhe aansoo ki baarish kaun karwata hai ~~


~~ chalo sanam mohabbat ka elaan karte hai dushman-e-jahaan mein,
phir dekhe saath-e-humsafar kaun chodata hai ~~


!!CHALO SANAM!!

#Romil

चलो सनम

चलो सनम देखते है मोहब्बत-ए-समुंदर में उतरकर,
फिर देखें किनारे कौन करता है...

चलो सनम बसाते है एक-दूसरे को अपनी-अपनी निगाहों में,
फिर देखें आँसू की बारिश कौन करता है...

चलो सनम मुहब्बत का ऐलान करते है दुश्मन-ए-जहां में,
फिर देखें साथ-ए-हमसफ़र कौन छोड़ता है...

चलो सनम...

#रोमिल

dil se...

"Hum sheher-e-mehfil mein tanha nahi the,
magar koi humsafar nahi mila sanam tere jaisa"

"Silsila mohabbat ka kuch is tarah humne nibhaya hai,
sanam tujhe apna rab banaya hai"

#Romil

हम शहर-ए-महफिल में तन्हा नहीं थे, 
मगर कोई हमसफ़र नहीं मिला सनम तेरे जैसा... 

सिलसिला मोहब्बत का कुछ इस तरह हमने निभाया है, सनम तुझे अपना रब बनाया है... 

#रोमिल

aapki yaad aane lagti hai....

"khushiyoon ke mausam mein udasi chaane lagti hai,
jab sanam aapki yaad aane lagti hai"

"sukhi hui palke, bheegane lagti hai,
jab sanam aapki yaad aane lagti hai"

"bewajah hi nazre intezaar karne lagti hai,
jab sanam aapki yaad aane lagti hai"


#Romil

खुशियों के मौसम में उदासी छाने लगती है 
जब सनम आपकी याद आने लगती है 

सूखी हुए पलके, भीगने लगती है 
जब सनम आपकी याद आने लगती है

बेवजह ही नजरे इंतजार करने लगती है 
जब सनम आपकी याद आने लगती है...

#रोमिल

samaj laite......

~~~ kaash yaar tum dil ki baat samaj laite,
sapno ko hi mulaqat samaj laite,
chand ko hi hamara chehara samaj laite,
hamari aankhon se jo gire hai aansoo usko mohabbat ki barsaat samaj laite~~~
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, July 23, 2008

~~~Daulat ke khareeddar~~~

~~~Daulat ke khareeddar~~~
!!Rishte-Naate Sab Daulat Ki Mandi Main Beekh Jaate Hai,
Yeh Duniya Hai, Mujhe Yahan Sirf Daulat Ke Khareeddar Nazar Aate Hai!!


!!Aansoo-Khushi Sab Dekhawa Naazar Aate Hai,
Yeh Duniya Hai, Mujhe Yahan Sirf Daulat Ke Khareeddar Nazar Aate Hai!!


!!Pyar-Wafa Sab Rasthey Ke Modh Ke Saath, Badal Jaate Hai,
Yeh Duniya Hai, Mujhe Yahan Sirf Daulat Ke Khareeddar Nazar Aate Hai!!


!!Apne-Sapne Sab Waqt Ki Rait Main Udha Jaate Hai,
Yeh Duniya Hai, Mujhe Yahan Sirf Daulat Ke Khareeddar Nazar Aate Hai!!


*****Dekh Kar Tere Bandon Ki Haalat Rabb Mujhe Aaisa Lagta Hai,
Shayad Tere Yahaan Bhi Sirf Daulat Ke Khareeddar Rehte Hai*****
[written by romil arora - copyright reserved]

mujhko.....




Mohabbat ki bulandi chuna chahta tha,
magar mazbooriyoon ne zameen par gira diya mujhko!


Mehfil ki roshani banna chahta tha,
magar tanhaiyoon ne ruswa kar diya mujhko!


Roshani ban kar jalana chahta tha,
magar haawaon ne bhuja diya mujhko!

[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

unke saath rahu!

Wafa bankar unke saath rahu,
dil ki dhadkan bankar unke saath rahu,
honton par muskaan bankar unke saath rahu,
mann to chahta hai zindagi bhar unki zindagi bankar unke saath rahu!

#Romil

वफा बनके उनके साथ रहूं 
दिल की धड़कन बनकर उनके साथ रहूं 
होठों पर मुस्कान बनकर उनके साथ रहूं 
मन तो चाहता है जिंदगी भर उनकी जिंदगी बनकर उनके साथ रहूं... 

#रोमिल

Hum....

Rooh-e-mohabbat ke talabdaar hai hum,
Waafa-e-ishq ke umeeddaar hai hum,
Zindagi-e-mehfil main khushiya paana chahte hai hum,
Shayad itni hi aarzoo-e-dil ke gunehgaar hai hum!
[written by romil arora - copyright reserved]

bhool jaoge!

Vaada na karna
bhool jaoge!
Hadh se jayada mohabbat na karna
bhool jaoge!
Itna yaad na karna
bhool jaoge!
Hamare intezar mein aansoo na bahana, warna
bhool jaoge!
Jo gila, sikwa karna to hamare samne karna,
mehfil mein abhi karogi, to baad mein
bhool jaoge!

#Romil

वादा ना करना 
भूल जाओगे! 
हद से ज्यादा मोहब्बत ना करना 
भूल जाओगे! 
इतना याद ना करना 
भूल जाओगे! 
हमारे इंतजार में आंसू ना बहाना 
वरना 
भूल जाओगे! 
जो गिला, शिकवा करना तो हमारे सामने करना,
महफ़िल में अभी करोगी, तो बाद में 
भूल जाओगे!

#रोमिल

Yaad...

Use Na Yaad Karne Ki Kasam 
Mujhe Baar-Baar Uski Yaad Dilati Hai! 

#Romil

उसे ना याद करने की कसम 
मुझे बार-बार उसकी याद दिलाती है...

#रोमिल

tabhi to hamari jaan hai woh!

Mohabbat mein nadaan hai woh,
Fir bhi hamari jaan hai woh,
Pal bhar mein aankhon se aansoo baha deti hai woh,
Har baat ko dil se laga leti hai woh,
Hamesha Rab, rooh ki baatein karti hai woh,
Bholi hai, masoom hai, duniya se anjaan hai woh,
Tabhi to hamari jaan hai woh!
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, July 22, 2008

kaash is barsaat main sanam...

kaash is barsaat main sanam...

tumhare hoonton ko chu lu,
is reshami badan ko thoda sa pyar kar lu,
tumko apni baahon main lekar thoda sa jhoom lu.
kaash is barsaat main sanam...



kaash is barsaat main sanam...
barasate pani main, apne taan ki pyaas poori kar lu,
tumko goad main baitha kar, teri zulfoon ke saath thodi se shararat kar lu.
kaash is barsaat main sanam...



kaash is barsaat main sanam...
to mujhe tooth kar pyar kare,

main apne saaye se tere saaye ko mila du,
kaash is barsaat main sanam...



kaash is barsaat main sanam...
na tu, tu rahe,
na main, main rahu,
is tarah tujhse bepanah mohabbat kar lu.
kaash is barsaat main sanam...
[written by romil arora - copyright reserved]

Sun Hawa...

Sun Hawa,
Zara Uske Dupatte Ko Chu Kar Aa
Zara Yeh Bata
Kaisi Hai Woh
Kuch To Uska Haal-Chal Suna...
सुन हवा 
जरा उसके दुपट्टे को छूकर आ 
जरा यह बता 
कैसा है वो 
कुछ तो उसका हाल-चाल सुना...

Sun Hawa,
Zara Usko Chu Kar Aa

Uske Badan Ki Khushboo Se Mere Badan Ko Mehka...
सुन हवा 
जरा उसको छूकर आ
उसके बदन की खुशबू से मेरे बदन को महका...

Sun Hawa,
Zara Usko Chu Kar Aa
Uske Hoton Ki Pyas Se Mere Hoton Ki Pyas Bhuja...
सुन हवा 
जरा उसको छूकर आ
उसके होठों की प्यास से मेरे होठों की प्यास बुझा...

Sun Hawa,
Zara Usko Chu Kar Aa

Is Mausam Main Uske Bina Raha Nahi Jaata Hai,
Zara Usko Bhi Mohabbat Ka Ehsaas Karwa...
सुन हवा 
जरा उसको छूकर आ
इस मौसम में उसके बिना रहा नहीं जाता है 
जरा उसको भी मोहब्बत का एहसास करवा...

#Romil
#रोमिल

gum de jaate hai...

aankhon mein aansoo aa jaate hai,
aankhon mein sapne aa jaate hai,
dono hi apne hai, har-baar gum de jaate hai!

#Romil

आंखों में आंसू आ जाते हैं 
आंखों में सपने आ जाते हैं 
दोनों ही अपने हैं, हर बार ग़म दे जाते हैं !

#रोमिल

Chehare ke udasi...

Chehare ki udasi se har baar main kehta hu...

"Dost, Mehfil Mein Mat Aaya Karo,
Sabke Samne Hamara Maazak Mat Banaya Karo"

Chehara, udasi se kehta hai....

"Jab Mehfil Main Tumko Tanha Dekhti Hu Dost,
To Mujhse Raha Nahi Jata Hai,
Bas Teri Tanhai Door Karne Main Chali Aati Hu,
Bas Tera Saath Dene Main Chali Aati Hu,
Koi Na Ho Tera Par Mujhko Apna Samajhana,
Main To Har Waqt Tere Saath Rehna Chahti Hu,
Tera Saath Nibhana Chahti Hu"

#Romil

चेहरे की उदासी से हर बार मैं कहता हूं... 

"दोस्त महफिल में मत आया करो, सबके सामने हमारा मजाक मत बनाया करो..."

चेहरा, उदासी से कहता है... 

जब महफिल में तुमको तन्हा देखती हूं दोस्त 
तो मुझसे रहा नहीं जाता है 
बस तेरी तन्हाई दूर करने मैं चली आती हूं 
बस तेरा साथ देने मैं चली आती हूं 
कोई ना हो तेरा पर मुझको अपना समझना 
मैं तो हर वक़्त तेरे साथ रहना चाहती हूं 
तेरा साथ निभाना चाहती हूं... 

#रोमिल

Monday, July 21, 2008

yeh na seekh sake hum...


Chehare par muskaan laana seekh gaye,
Mehfil main muskurana seekh gaye,
Dukh ko chupana seekh gaye,
Sab kuch seekh gaye sanaam;
!!Bas Teri yadoon main aansoo na bahe yeh na seekh sake hum!!
[written by romil arora - copyright reserved]

pyar kiya hai tumko!

apni har saans main baasa rakha hai tumko,
pal-pal taraf kar yaad kiya hai tumko,
tu nahi is jahaan main to hum nahi,
is kadar pyar kiya hai tumko!
[written by romil arora - copyright reserved]

Teri mohabbat mein sanam...

Teri mohabbat mein sanaam...

Haatheliya to geele ho gayi,
Magar honth payase reh gayi!

Palke to geeli ho gayi,
Magar aankhen payasi reh gayi!


Badan to geele ho gaye,
Magar rooh payasi reh gaye!

#Romil

तेरी मोहब्बत में सनम... 

हथेलियां तो गीली हो गई, 
मगर होंठ प्यासे रह गई... 

पलकें तो गीली हो गई, 
मगर आँखें प्यासी रह गई... 

बदन तो गीले हो गए 
मगर रूह प्यासी रह गई...

#रोमिल

CHUP RAHO!

Kal furshat na mili to kya karogi,
chup raho, aaj sirf pyar karo!

Kal itni mohabbat na mili kisi aur se to kya karogi,
chup raho, aaj sirf pyar karo!

Aaj jo kehna hai neegahoon se keh do, kal shabd na mile to kya karogi,
chup raho, aaj sirf pyar karo!

Aa kar so jayo in baahon main, kal yeh baahein na mili to kya karogi,
chup raho, aaj sirf pyar karo!

Kar laine to deedar in neegahon se, kal agar hamari aankh na khuli to kya karogi,
chup raho, aaj sirf pyar karo!

[written by romil arora - copyright reserved]

Fir se...

Fir se mohabbat-e-ehsaas jaagne laga hai mera,
Fir se honth tarasne lage hai mere,
Fir se jism sulagne laga hai mera,
Fir se tadap utha hu main,
Fir se aankh barsane lagi hai meri,
Fir se wahi shaam aayi hai,
Fir se teri yaad sang layi hai,
Fir se...!

#Romil

फिर से मोहब्बत-ए-एहसास जागने लगा है मेरा 
फिर से होंठ तरसने लगे हैं मेरे 
फिर से ज़िस्म सुलगने लगा है मेरा 
फिर से तड़प उठा हूं मैं 
फिर से आंख बरसने लगी है मेरी 
फिर से वही शाम आई है 
फिर से तेरी याद संग लाई है... 
फिर से...

#रोमिल

na be-dard bana karo sanaam......


Mohabbat walon ko itna na sataya karo sanaam,
Juda karke na tarfaya karo sanaam,
Waqt ke lamhe ke tarah ek din hum chale jayenge,
fhir na sanaam tumhare pass aayenge,
Itna na be-dard bana karo sanaam!
[written by romil arora - copyright reserved]

na tumhari paane ki koiye umeed hai....

Kaise bharega woh zakhm, jisme tumhari kami hai,
Kaise hogi aankhon mein khushi, jisme tumhari naami hai,
Dastaan-e-zindagi kab tak aise hi chalti rahegi,
Jisme na tu hai aur na tumhare paane ki koi umeed hai!

#Romil

कैसे भरेगा वो ज़ख्म, जिसमें तुम्हारी कमी है,
कैसे होगी आँखों में ख़ुशी, जिसमें तुम्हारी नमी है,
दास्तां-ए-ज़िन्दगी कब तक ऐसे ही चलती रहेगी,
जिसमें ना तू है और ना तुम्हारे पाने की कोई उम्मीद है !

#रोमिल

mod aa gaya!!!

Abhi milne ki khushi mili thi,
Ki bichad jaane ka gum tumne de diya,
Ajeeb hai yeh zindagi ke raste,
Kuch kadam hi chale the ki mod aa gaya!

#Romil

अभी मिलने की खुशी मिली थी 
कि बिछड़ जाने का गम तुमने दे दिया, 
अजीब है यह जिंदगी के रास्ते, 
कुछ कदम ही चले थे कि मोड़ आ गया!

#रोमिल

tumko yaad karte hai....


Sab kuch bhul jaana sanaam,
magar itna yaad rakhana,
jisse tum bhul baithe ho,
woh aksar tumko yaad karta hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, July 19, 2008

Rab Main Uski Ada Kya Batau...

Rab Main Uski Ada Kya Batau

!!Woh Mera Dard Lekar,
Lipatkar Rota Hai Kisi Gair Se!!

!!Woh Khud Rota Hai,
Mujhe Chhodne Ki Baat Keh Kar!!

!!Woh Manzil Mujhe Bata Kar,
Apna Rasta Badal Leta Hai!!

!!Woh Khud Jalta Hai,
Dusaron Ko Roshni Dekar!!


#Romil

रब मैं उसकी अदा क्या बताऊं 

वो मेरा दर्द लेकर 
लिपटकर रोता है किसी ग़ैर से... 

वो खुद रोता है 
मुझे छोड़ने की बात कहकर... 

वो मंजिल मुझे बताकर 
अपना रास्ता बदल लेता है... 

वो खुद जलता है 
दूसरों को रोशनी देकर...

#रोमिल

mujhe sirf tera aasara!



Aankhon ke aansoo ko sirf tera aasara!
Har sapne, har aarzoo ko sirf tera aasara!
Mandir ke pujari ko sirf tera aasara!
Manzil se bhatake hue musafir ko sirf tera aasara!
Prem main zakhm paye aashiq ko sirf tera aasara!
Jahan main har kisi ko sirf tera aasara!
Salamat rahe mera yaar, mera pyar, mera sanaam,
m
ujhe sirf tera aasara!
[written by romil arora - copyright reserved]