Kahin to.. kahin to
Hogi wo,
Duniya jahan tu mere saath hai..
~
~
Jahan mein, jahan tu,
Aur jahan, bass tere mere jazbaat hai,
Hogi jahan subah teri,
Palko ki, kirano mein,
Lori jahan chand ki,
Sune teri baahoin mein..
~
(Jaane naa kahan wo duniya hai,
Jaane naa wo hai bhi ya nahi,
Jahan meri zindagi mujhse,
Itni khafa nahi..) - 2
~
Saasein kho gayi hai kiski aahon mein,
Mein kho gayi hu jaane kiski baahon mein,
Manzilon se raahein doodhti chali,
Kho gayi hai manzil kahin rahon mein..
~
Kahin to, kahin to,
Hai nasha..
Teri meri har mulaqaat mein,
Hoton se, hoton ko,
Chumti, o rehte hai hum har baat pe,
Kehti hai fiza jahan,
Teri zamin aasmaan..
~
Jahan hai tu, meri hassi,
Meri khushi, meri jaan…
~
(Jaane naa kahan wo duniya hai,
Jaane naa wo hai bhi ya nahi,
Jahan meri zindagi mujhse,
Itni khafa nahi..) - 3
(not written by me)
No comments:
Post a Comment