Monday, December 8, 2008

kya jeevan hai...

kya jeevan hai...
kabhi hasana, kabhi rona hai, do aankhon main jeevan ka phitara hai
kya jeevan hai...
insaan bana khilona hai, aana aur jaana hai
kya jeevan hai...
saanson ko paana, saanson ko khona hai
kya jeevan hai...
mutthi band karke sansar main aana hai, mutthi band karke sansar se jaana hai
kya jeevan hai...
chaadar main bunn kar sukh aur dukh ka taana durr kahin jaana hai
kya jeevan hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: