Wednesday, January 21, 2009

Main bhi pareshan hu...Mera rab bhi pareshan hai...

“Main bhi pareshan hu,
Mera Rab bhi pareshan hai,
Dekhkar apne bandoo ke halat,
Wo bhi hairan hai,
Main bhi kuch hairan hu...

Waheguru, Waheguru, Satnaam Waheguru!
http://www.sunny-raj.blogspot.com

Rab ne hamesha,
satya aur aahinsa ke raste par chalna sheekhaya,
Par uska banda, uski baat samajh na paya,
bolta raha jhoot, karta raha manmani,
dekh kar uske h
alat,
Main bola.... Main bhi pareshan hu,
Mera rab bhi pareshan hai,

Waheguru, Waheguru, Satnaam Waheguru!
http://www.sunny-raj.blogspot.com
Rab ne hamesha bataya,
Is jag se to bhaiya padega, ek din jana,
kaudi-kaudi sab jama kiya,
sab chhodkar maal khazana,
yahaan koi na rahega,
maaya se rishta joodh kar,
Par uska banda, uski baat samajh na paya,
maaya ke chakkar mein,
paap ki ghathari bhar laya,
par wo karta raha nadani,
Dekh kar uski halat,
Main bola.... Main bhi pareshan hu,
Maira rab bhi pareshan hai,

Waheguru, Waheguru, Satnaam Waheguru!
http://www.sunny-raj.blogspot.com
Par ek baat samaj lo bhaiya......

Jab-Jab paida hoga Raavan,
Tab-Tab Ram aayega,
Jab-Jab paida hoga Kansh,
Tab-Tab Krishna aayega,
Jab-Jab hogi aahinsa, jhut,
Tab-Tab Bapu aayega.

Isliye...
Main bhi khush hu,
Mera Rab bhi khush hai,
Allah-re-Allah mere Allah,
Waheguru-re-Waheguru maire Waheguru,
Ram-re-Ram mere Ram....

Tum sab se hi hote jag ke saare kaam.
Waheguru, Waheguru, Satnaam Waheguru!
[written by romil arora - copyright reserved]

No comments: