Wednesday, January 21, 2009

Main to shyam-shyam hi kehne lagi...

"Saara jag yeh kahe Meera diwani
Shyam ke prem mein bhool gai zindgani
Kuch bhi wo Shyam se na maange
Bas kehti rahe main naam diwani.
http://www.sunny-raj.blogspot.com/

Main to shyam-shyam hi kehne lagi!
Main to shyam-shyam hi kehne lagi!

Shyam ki murat khud maati se banaye
Usko apne dupatte se saja
ye
Shyam se hi karti rahe baatein
Shud - bhud sab, jag bhulaye


Main to shyam-shyam hi kehne lagi!
Main to shyam-shyam hi kehne lag!
[written by romil arora - copyright reserved]

1 comment:

Anonymous said...

MAIN MOHABBAT HOON..

Main Mohabbat hoon Mohabbat karke dekh, Main Mohabbat na doon to kehna!!
Main Muskurahat hoon mujhe hansa kar dekh, Na sajoon tere honton pAr to kehna!!
Main Khushboo hoon mujhe mehsoos karke dekh, Na mehkoon teri zindagi main to kehna!!
Main Dhadkan hoon mujhe sun kar dekh, Na Dhadkoon tere Dil main to kehna!!
Main Phool hoon mujhe hath laga kar dekh, Na mehkoon din raat to kehna!!
Main Mohabbat hoon mujhe apna karr dekh, Na banun main teri to kehna....!!!!