Friday, February 6, 2009

Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banai Kyun Hai

Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banai Kyun Hai
Gar Banaye To Muhobbat Main Judai Kyun Hai
~
Kyun Diya Pyar Mujhe Iski Zaroorat Kya Thi
Meri Barbadi Me Shamil Teri Kismat Kya Thi
Meri Raahon Me Khushbu Ka Safar Rahta Tha
Dil Me Aabaad Gulabo Ka Nagar Rahta Tha
Jindgi Khar Bhari Rahome Layi Kyun Hai
Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banai Kyun Hai
~
Mai Hoon Bikhra Hua Gardish Me Sitare Mere
Gam Ke Tufan Mai Dube Hai Kinare Mere
Na Khatavaar Na Mujrim Na Gunahgar Hoon Main
Sach To Ye Hai Ki Muhobbat Ka Parastar Hu Main
Aye Saja Phirbhi Mere Hisse Mai Aye Kyun Hai
Aye Khuda Tune Muhobaat Ye Banae Kyu Hai
~
Mai Agar Rou To Sahra Ko Samandar Kar Doon
Sakht Ho Jaoon Agar Mome Ko Pathar Kar Doon
Raakh Ho Jaye Jaha Mai Jo Agar Aah Bharu
Aasma Tutpade Tujse Jo Fariyad Karu
Etni Gaherae Mere Ishq Mai Aai Kyun Hai
Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banaye Kyun Hai
Agar Banaye To Muhobaat Me Judai Kyun Hai
[not written by me]


1 comment:

Anonymous said...

Rehnewalon Se Nahi,
Jaanewalon Se Pucho
Ki Zindgi Kya Cheez Hoti Hai.

Panewalon Se Nahi,
Khonewalon se Pucho
Ki Izzat Kya Cheez Hoti hai.

Amiron Ko Kya Dekthe Ho,
Zara Garibon Se Pucho
Ki Daulat Kya Cheez Hoti Hai,

Arre Jiss Ne Dil Diya Hai Usse Nahi,
Jiska Dil Toota Hai Usse Pucho
Ki "Mohabbat" Kya Cheez Hoti Hai...