Jism Ki Mandi Main Mohabbat Dhundhate Ho
Kis Zamane Ke Aadmi Ho!
!*!
Dhokebaazo Se Waafa Ki Umeed Karte Ho
Kis Zamane Ke Aadmi Ho!
!*!
Beemano Ki Duniya Main Imaandaar Talashte Ho
Kis Zamane Ke Aadmi Ho!
!*!
Nigal Raha Hain Suraj Ko Andhera
Tum Chirag Se Andhera Mitane Ki Baat Karte Ho
Kis Zamane Ke Aadmi Ho!
[written by romil arora-copyright reserved]
1 comment:
Yeh Document, Yeh Meetings, Yeh Features Ki Duniya,
Yeh Insaan Ke Dushman, Cursors Ki Duniya
Yeh Deadlines Ke Bhooke, Management Ki Duniya
Yeh Product Agar Ban Bhi Jaaye To Kya Hai?
Yahaan Ek Khilona Hai Programmer Ki Hasti,
Ye Basti Hai Murda Bug-Fixers Ki Basti
Yahaan Par To Raises Hai,Inflation Se Sasti,
Yeh Review Agar Ho Bhi Jaaye To Kya Hai?
Har Ek Keyboard Ghayal,Har Ek Login Pyaasi,
Excel Mein Uljhan, Winword Mein Udaasi
Yeh Office Hai Ya Aalame Microsoft Ki,
Yeh Release Agar Ho Bhi Jaaye To Kya Hai?
Jalaa Do Ise, Phoonk Daalo Yeh Monitor,
Mere Saamne Se Hataa Daalo Yeh Modem
Tumhaara Hai Tumhi Sambhaalo Yeh Computer,
Yeh Product Agar Chal Bhi Jaaye To Kya Hai?
Post a Comment