jaane kitni durr aur jayegi
main aur meri tanhaiye!
~
har rasta, har manzil mujhse begaane hain
kab tak aaise hi dar-badar fhirati rahegi
main aur meri tanhaiye!
~
yeh matlabi chehare
yeh mauka-parasth insaano ki toli
kab tak dhoka khati rahegi
main aur meri tanhaiye!
~
khud ko dhikkarati hue
pal-pal ghutati
mann hi mann jalti
maut ka bhoj kandhe par uthati hue
main aur meri tanhaiya!
[written by romil arora-copyright reserved]
No comments:
Post a Comment