Saturday, February 28, 2009

khilauno ke liye tarsa hai bachpan mera...

khilauno ke liye tarsa hai bachpan mera
main apne khawabo se khela karta tha
roz banata tha naye khawab
fir use tod diya karta tha...
~
chand ko dekh kar
burf ka gol, gola bana liya karta tha,
din mein titliyon se
raat mein jugnu se dosti kiya karta tha,
ek hi fun aata tha mujhe
main dusaron ke dukh mein ro liya karta tha...
~
khilauno ke liye tarsa hai bachpan mera
main apne khawabo se khela karta tha...

[written by romil arora-copyright reserved]

No comments: