Friday, July 31, 2009

dil dhoondta hai...

dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
dil dhoondta hai phir wohi

jaadon ki narm dhoop aur aangan mein let kar

aankhon pe kheench kar tere daaman ke saaye ko

aundhe pade rahe kabhi karwat liye hue
dil dhoondta hai
dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
dil dhoondta hai phir wohi

ya garmiyon ki raat jo purwaayian chale
ya garmiyon ki raat jo purwaayian chale
thandi safed chaadron pe jaagein der tak

taaron ko dekhte rahein chhat par pade hue
dil dhoondta hai
dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
dil dhoondta hai phir wohi

barfeeli sardiyon mein kisi bhi pahaad par

waadi mein goonjti hui khamoshiyaan sune

aankhon mein bheege bheege se lamhe liye hue
dil dhoondta hai
dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
baithe rahein tasavvur e jaana kiye hue
dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
dil dhoondta hai phir wohi

[not written by me]

No comments: