Saturday, July 11, 2009

tum hoti to...

jab bhi baithata hu main tanha
khud se rubaru hota hu
bas yahi baat sochata hu
tum hoti to kaisa hota
tum hoti to waisa hota...
~*~
meri goad main tum soya karti
baithe rehti aur baatein karti rehte...
tum is baat par khush hoti
tum us baat par rooth jaya karte...
tum hoti to kaisa hota
tum hoti to waisa hota...
jab bhi baithata hu main tanha
khud se rubaru hota hu
bas yahi baat sochata hu
tum hoti to kaisa hota
tum hoti to waisa hota...

~*~
raaton main khawab sajate
teri zulfoon ke saaye main so jaate
deeware jo apne beeche thi sab gira daite
aaye gunjan tere sulagate jism ki mehak main kho jate...
ab yeh haalat kisse kahe hum
kab tak khamosh rahe aur jalate rahe hum
kyon na yeh duriya hum mita de
aa saare zamane ko hum bata de
nahi jee sakte ek-dusare ke bina
nahi jee sakte ek-dusare ke bina...
jab bhi baithata hu main tanha

khud se rubaru hota hu
bas yahi baat sochata hu
tum hoti to kaisa hota
tum hoti to waisa hota...
~*~
khidki main baithe sar jhuka kar tum mera intezaar karti
chup-chap dhalate hue chand ko dekhate
meri aahat pate hi bhaaghi hue darwaze par aati
meri naazaron main khud ka chehara pati
tum hoti to kaisa hota
tum hoti to waisa hota

jab bhi baithata hu main tanha
khud se rubaru hota hu
bas yahi baat sochata hu
tum hoti to kaisa hota
tum hoti to waisa hota...
~*~

haawaon ka jhoka tumhara ehsaas de jata hain
chand aankhon hi aankhon main tumhare labz bayaan kar jata hain
yeh pani ki boondon, jaise tumne mere badan ko chuha ho
main janta hu tum kahin nahi ho
magar yeh dil keh raha hain tum yahi kahin ho
jab bhi baithata hu main tanha
khud se rubaru hota hu
bas yahi baat sochata hu
tum hoti to kaisa hota
tum hoti to waisa hota...
[written by romil arora - copyright reserved - inspired]

No comments: