waqt ki gehraiyoon main tumko yaad rakhe hua main
jaise koiye kitabon main zindagi ko qaid karta hua...
~*~
yaad aata hain woh beeta hua subah-shaam ka mausam
jab tum titliyoon ke peeche bhagha karti thi...
woh tumhare paaoon ke nishan ab tak un gheeli mitti par pade hue hain
jisme main tumko subah-shaam dhundhata hua...
~*~
pehle tumhare khat aate rehte the
in saanson ko jaise koiye raahat mil jaya karti thi
un khaton ko main seene se laga laita tha
raat main sote hue un khaaton ko apne jism main chupa laita tha
jaise koiye moor pankhon ko kitaboon main chupa laita hain
ab to bahut din hue taire khatoon ko mile hue
aaj bhi wahi pyar ka ehsaas main talasta hua...
~*~
ek arsha hua tumhari aawaz ko sune hue
tera woh khil-khila kar baatein karna
woh dheemhe se aansoon ko gira dena
bahut din beeth gaye
teri aawaaz ki boondon main bheegha nahi hu main
aaj bhi un boondon ko mehsus karta hua...
~*~
waqt ki gehraiyoon main tumko yaad rakhe hua main
jaise koiye kitabon main zindagi ko qaid karta hua...
[written by romil arora - copyright reserved]
2 comments:
wll dn raj, whoz ur inspiration, aaaannn leh me guess, NAAZ m i true,
well one frm my side,
MERY NASEEB MAI LIKHA NAHI GIA TUJHKO
MAGR MAI CHAHTI HU HD SAY BHI ZIADA TUJHKO
TERA HI AKS NUMAYAN HAI MERI ANKHOON MAIN
KAREEB A K DIKHAU MAI AAINA TUJHKO
MUJHAY TU TERI KHUSHI ZINDAGI SAY BARH KR HAI
KHAFA HUA HAI MUJH HI SAY YE KIA HUA TUJH KO
MUJHAY TU JAGANA HAR SHAB TERAY KHAYALOON MAI
JO SO BHI JAON TU KHWABOON MAIN DEKHU TUJH KO
TU CHAND BAN K MERAY GHAR MAIN CHANDNI KARTA
MAGAR RUTTOON KI GHATA NAY CHUPA LIYA TUJH KO
MAIN JANTI HOON K TU BAYWAFA NAHI HAI MAGAR
KABHI MILI HI NAHI MOHLAT-E-WAFA TUJH KO
KABHI PADHO GY AGR ,TOO MIL HI JAIY GA
MERI GHAZAL MAIN KAHIN TERA MADDA TUJH KO.
INDU Ji inspiration ka kya bolu????
bas itna samaj lo ki....
"jaise pathjad main paidon se peele patthe girane lagate hain
usse tarah meri qalam se yeh shabd girane lage.
pata nahi kab tak yeh pathjad ka mausam rahega...
aur yeh shabd girate rahenge"
Post a Comment